Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 29 January 2020

Kaunsi Qaum Qayamat ke din Allah Subahnahu se yh kahegi ke humare pass tera koi Nabi nahi aaya tha



Only-Quran-Hadith-Quiz


Sawal: Kaunsi Qaum Qayamat ke din Allah Subahnahu se yh kahegi ke humare pass tera koi Nabi nahi aaya tha?

A: Quam E Loot
B: Quam E Aad
C: Quam E Samud
D: Quam E Noah
E: Bani Israiel
F: Quam E Mohammed Sallalahu Alehi Wa sallam
G: Quam E Madayen
H: In mein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar



Sahi Jawab - D

Reference📚:
-------------------
Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Qayamat ke din Nooh Alehi Salam bargaah Ellahi mein haazir honge. Allah Subahnahu taala daryaft farmaiye ga, kya mera paigham tum ne pouncha diya tha? Nooh Alehi Salam Arz karenge mein ne tera paigham pouncha diya tha. Eh RABB bulIzzat! Ab Allah Subahnahu ta’ala un ki ummat se daryaft farmaiye ga, kya Nooh Alehi Salam ne tum taq mera paigham pouncha diya tha? woh jawab denge nahi, hamaray paas tera koi Nabi nahi aaya is par Allah Subahnau ta’ala Nooh Alehi Salam se daryaft farmaiye ga, is ke liye Aap ki taraf se koi gawahi bhi de sakta hai? woh Arz karenge ke Mohammad Sallallahu Alahih Wasallam aur un ki ummat ke log mere gawah hain chunancha hum is baat ki shahadat denge ke Nooh Alehi Salam ne Allah Subhanahu ta’ala ka paigham apni qoum taq pohanchaya tha aur yahi mafhuum Allah jal Zikr ka irshad ka hai «وكذلك جعلناكم أمة وسطا لتكونوا شهداء على الناس‏»”aur isi terhan hum ne tumhe ummat wast banaya' taake tum logon par gawahi do. “ aur « wast » ke maienay darmiyani ke hain.
-----------
 نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ” ( قیامت کے دن )  نوح علیہ السلام بارگاہ الٰہی میں حاضر ہوں گے۔ اللہ تعالیٰ دریافت فرمائے گا، کیا  ( میرا پیغام )  تم نے پہنچا دیا تھا؟ نوح علیہ السلام عرض کریں گے میں نے تیرا پیغام پہنچا دیا تھا۔ اے رب العزت! اب اللہ تعالیٰ ان کی امت سے دریافت فرمائے گا، کیا  ( نوح علیہ السلام نے )  تم تک میرا پیغام پہنچا دیا تھا؟ وہ جواب دیں گے نہیں، ہمارے پاس تیرا کوئی نبی نہیں آیا۔ اس پر اللہ تعالیٰ نوح علیہ السلام سے دریافت فرمائے گا، اس کے لیے آپ کی طرف سے کوئی گواہی بھی دے سکتا ہے؟ وہ عرض کریں گے کہ محمد صلی اللہ علیہ وسلم اور ان کی امت  ( کے لوگ میرے گواہ ہیں )  چنانچہ ہم اس بات کی شہادت دیں گے کہ نوح علیہ السلام نے اللہ تعالیٰ کا پیغام اپنی قوم تک پہنچایا تھا اور یہی مفہوم اللہ جل ذکرہ کے اس ارشاد کا ہے «وكذلك جعلناكم أمة وسطا لتكونوا شهداء على الناس‏» ”اور اسی طرح ہم نے تمہیں امت وسط بنایاتاکہ تم لوگوں پر گواہی دو۔اور «وسط» کے معنی درمیانی کے ہیں۔
----------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 3339

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...