Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 10 January 2021

Wo kaunsa amal hai jiske karne wale ke liye farmaya gaya hain ke wo Allah Subhanahu ki raah mein Jihaad karne wale ki terhan hain jab tak wo ghar laut ke na aaye

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗

Sawal: Wo kaunsa amal hai jiske karne wale ke liye farmaya gaya hain ke wo Allah Subhanahu ki raah mein Jihaad karne wale ki terhan hain jab tak wo ghar laut ke na aaye

A: Allah ki raza ke khatir mareez ki ayadat karne wale
B: Allah ki raza ke khatir sadqat vasuli karne wale
C: Allah ki raza ke khatir apne maa baap ke liye mehnat karne wale
D: Allah ki raza ke khatir bewa aur miskeen ki madad ke liye ghar se nikalne wale
E: Allah ke raza ke khatir apne nafs ko paak karne le liye mehnat karne wale
F: Allah ke raza ke khaitr kheti baadi mein mehnat karne wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahih Jawab - B✅

Allah Subhanahu ke khatir Sadqat ki vasuli karne wala Allah ki raah mein Jihaad karne wale ki terhan hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya, Allah Subhanahu ki Raza ki khatir sadqat ki vasuli karne wala Allah Subhanahu ki raah mein Jihaad karne wale ki terhan hain, yahan tak ke wo ghar laut aaye.
Musnad Ahmed#3466-Sahih
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: The one who receives alms for the sake of Allah is like the one who fights in the way of Allah until he returns home.
----
 ۔ سیدنارافع بن خدیج رضی اللہ عنہ  سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اللہ تعالیٰ کی رضا کی خاطر صدقات کی وصولی کرنے والا اللہ تعالیٰ کی راہ میں جہاد کرنے والے کی طرح ہے، یہاں تک کہ وہ گھر لوٹ آئے۔ 
Musnad Ahmed#3466-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...