❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Allah Subhanahu Qayamat ke din dozak ki aag kis per haram kar denge
Sawal: Allah Subhanahu Qayamat ke din dozak ki aag kis per haram kar denge
A: Tahajjud ki char rakat padhne walo par
B: Asar se phele char rakat padhne walo par
C: Mehman nawazi karne walo par
D: Sila Rehmi karne walo par
E: jiska Akhlaq bahut achcha ho
F: Har Peer aur Jumerat ka roza rakhne walo par
G: Inmein se koi nahi
H: Sahih jawab ka intezaar
*******
Sahih Jawab - G✅
Allah Subahnahu ki khushnadi hasil karne ke liye sache dil se La illaha illAllah ka iqrar karne walo per dozakh ki aag haram kar di jayegi
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam mere yahan tashreef laaye aur farmaya ”koi bandah jab Qayamat ke din is haalat mein paish hoga ke is ne kalma Laa Ilaha illAllah ka iqraar kiya hoga aur isse is ka maqsood Allah Subahnahu ki khushnadi haasil karna hogi to Allah Subhanahu taala dozakh ki aag ko is par haram kar dega.
-------
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم میرے یہاں تشریف لائے اور فرمایا ”کوئی بندہ جب قیامت کے دن اس حالت میں پیش ہو گا کہ اس نے کلمہ «لا إله إلا الله» کا اقرار کیا ہو گا اور اس سے اس کا مقصود اللہ کی خوشنودی حاصل کرنا ہو گی تو اللہ تعالیٰ دوزخ کی آگ کو اس پر حرم کر دے گا۔“
-----
Narrated `Utban bin Malik Al-Ansari: who was one of the men of the tribe of Bani Salim: Allah's Apostle came to me and said, If anybody comes on the Day of Resurrection who has said: La ilaha illal-lah, sincerely, with the intention to win Allah's Pleasure, Allah will make the Hell-Fire forbidden for him.
-----
Sahih Bukhari Hadees # 6423-Sahih
No comments:
Post a Comment