Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 10 January 2021

Ek Sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wa sallam se pucha ke Qayamat mein wo apko kaha kaha talaash kare to app Sallallahu Alaihi wasallam ne kya irshad farmaya?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Ek Sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wa sallam se pucha ke Qayamat mein wo apko kaha kaha talaash kare to app Sallallahu Alaihi wasallam ne kya irshad farmaya? 

A: Jannat ke darwaze ke pass
B: Maqam e Mahmood ke pass
C: Pool sirat ke pass
D: Hauz e Kauther ke pass
E: Meezan ke pass
F: Sidratul Muntaha ke pass
G: Allah Subhanahu ke Arsh ke kareeb
H: Maidan e Mahshar mein
I: Sahi Jawab ka intezaar
*******
Sahi Jawab - CDE✅

Qayamat ke din Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko talash karne ke maqammat

Reference📚:
----
Nadr  bin Anas RadiAllahu Anhu apne walid se riwayat karte hain ki maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se sawal kiya ke aap Qayamat ke din meri sifarish karenge? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya zaroor karoonga mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mein Qayamat ke din mein aap ko kahan talaash karu? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya sabse pehle tum mujhe Pool Siraat par talaash karna, mein ne kaha agar mein aap se Pool Siraat par na mil saku? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tab Meezan ke paas mujhse milna, mein ne kaha agar mein aap ko Meezan ke paas na pauu to? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya to Hauz e Kauther par dehk lena kuyke un teen maqamat mein se kahi na kahin zaroor paooge
----
An-Nadr bin Anas bin Malik narrated from his father who said: "I asked the Prophet (s.a.w) to intercede for me on the Day of Judgement. He said: 'I am the one to do so.'" [He said:] "I said: 'O Messenger of Allah! Then where shall I seek you?' He said: 'Seek me, the first time you should seek me is on the Sirat.'" [He said:] "I said: 'If I do not meet you upon the Sirat?' He said: 'Then seek me at the Meezan.' I said:'And if I do not meet you at the Meezan?' He said: 'Then seek me at the Hauz, for indeed I will not me missed at these three locations.'"
-----
نضر بن انس بن مالک اپنے والد رضی اللہ عنہ  سے بیان کرتے ہیں، کہتے ہیں کہ میں نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے سوال کیا: کہ آپ قیامت کے دن میری سفارش کریں گے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:ضرور کروں گا ۔میں نے کہا: اے اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم قیامت کے دن میں آپ کو کہاں تلاش  کروں ؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: سب سے پہلے تم  مجھے پل صراط پر تلاش کرنا، میں نے کہا:  اگر میں آپ سے پل صراط پر نہ مل سکوں ؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تب میزان کے پاس مجھ سے ملنا، میں نے کہا: اگر میں آپ کو میزان کے پاس نہ پاؤں تو؟آپ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:تو حوض پر پاؤ گے،ان تین مقامات میں سے کہیں نہ کہیں ضرور پاؤ گے ۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2524-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...