Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 10 January 2021

Ek Nabi ka zikr quran ki ek ayat mein kiya gaya to Qaum ke log Khushi se zor zor se chillane lage

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hain! Pehle sawal mein jawab ek se ziyada hain

Ek Nabi ka zikr quran ki ek ayat mein kiya gaya to Qaum ke log Khushi se zor zor se chillane lage

Sawal1:Wo kaun kaunse Nabi thy

A: Ibrahim Alaihi Salam 
B: Yusuf Alaihi Salam
C: Yayah Alaihi Salam 
D: Musa Alaihi Salam
E: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam
F: Isa Alaihi Salam
G: Zakariya Alaihi Salam
H: Sahi Jawab ka Intezaar

Sawal2: Wo kaunsi qaum ke log thy

A: Bani israeel
B: Ansar
C: Quresh
D: Muhajireen
E: Banu Tamim
F: Banu Qurayza
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahi Jawab - EF/C✅

Yaqeenan (Isa Alaihi Salaam) qayamat ki alamat mein se ek alamat hain
Reference📚:
-----
Abdullah bin Abbas RadiAllahu Anhu razi Allah anhuma se riwayat hain kehte hain ke mujhe Quran ki ek aayat ke bare mein maloom hai jis ke bare mein kisi shakhs ne kabhi bhi mujhse sawal nahi kiya mujhe nahi maloom ke logon ko iska ilm hain is liye sawal nahi kiya, ya wo usse samjhe he nahi is liye sawal nahi kiya? phir humein hadees bayan karne lage jab aap uth gaye to hum ne ek dusre ko malamat ki ke hum ne unse is aayat ke bare mein poocha nahi mein (Ravi) ne kaha kal jab wo (Ibn Abbas RadiAllahu Anhu) ayenge to mein unse sawal karoonga dusre din jab wo aaye to mein ne kaha Eh Ibn Abbas RadiAllahu Anhuma! kal aap ne zikar kiya tha ke quran ki ek aayat ke bare mein kabhi kisi ne aap se sawal nahi kiya, aap ko ye bhi nahi maloom ke logon ko iska ilm hain is liye sawal nahi kiya ya usse samjhe he nahi? Mujhe is aayat aur isse pehle wali ayaton ke bare mein batlaye jo aap ne padhi hain? unhon ne kaha theek hain Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Quresh se kaha : Eh Quresh ki jamaat! Allah ke ilawa jis ki bhi ibadat ki jaye is mein khair nahi. Quresh ko maloom tha ke Isaai Isa bin Maryam Alaihi Salam ki ibadat karte thy, aur Mohammad (Sallallahu Alaihi wasallam) ke baare mein baatein karte thy. Quresh kehne lage Eh Mohammad (Sallallahu Alaihi wasallam)! kya aap ko yaqeen nahi ke Isa Alaihi Salaam Allah ke Nabi aur is ke Naik Saleh bande thy? tab Allah Subahnahu taala ne ye ayaat nazil ki : ( الزخرف : ۵۷ ) Tarjuma : Aur Jab Ibn Mariyam ki misaal bayan ki gayi to isse teri qaum ( khushi se) cheekhne lagi mein ne kaha uska ka kya matlab hain? kehne lage cheekh wa pukaar karte hain ( الزخرف : 61 ) ”aur yaqeenan (Isaa Alaihi Salaam) qayamat ki alamat hain“. Ye qayamat se pehle Isa Alaihi Salaam ka niklana hain (aur ek riwayat mein hain utarna hain)
-----
عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہما سے مروی ہے کہتے ہیں کہ مجھے قرآن کی ایک آیت کے بارے میں معلوم ہے جس کے بارے میں کسی شخص نے کبھی بھی مجھ سے سوال نہیں کیا۔ مجھے نہیں معلوم کہ لوگوں کو اس کا علم ہے اس لئے سوال نہیں کیا، یا وہ اسے سمجھے ہی نہیں اس لئے سوال نہیں کیا؟ پھر ہمیں حدیث بیان کرنے لگے۔ جب آپ اٹھ گئے تو ہم نے ایک دوسرے کو ملامت کی کہ ہم نے ان سے اس آیت کے بارے میں پوچھا نہیں ۔میں (راوی) نے کہا کل جب وہ (ابن عباس رضی اللہ عنہ) آئیں گے تو میں ان سے سوال کروں گا ۔ دوسرے دن جب وہ آئے تو میں نے کہا: اے ابن عباس رضی اللہ عنہما! کل آپ نے ذکر کیا تھا کہ قرآن کی ایک آیت کے بارے میں کبھی کسی نے آپ سے سوال نہیں کیا، آپ کو یہ بھی نہیں معلوم کہ لوگوں کو اس کا علم ہے اس لئے سوال نہیں کیا یا اسے سمجھے ہی نہیں ؟ مجھے اس آیت اور اس سے پہلے والی آیتوں کے بارے میں بتلایئے جو آپ نے پڑھی ہیں؟ انہوں نے کہا: ٹھیک ہے۔ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے قریش سے کہا: اے قریش کی جماعت! اللہ کے علاوہ جس کی بھی عبادت کی جائے اس میں خیر نہیں۔قریش کو معلوم تھا کہ عیسائی عیسیٰ بن مریم علیہ السلام کی عبادت کرتے تھے، اور محمد ( صلی اللہ علیہ وسلم )کے بارے میں باتیں کرتے تھے۔ قریش کہنے لگے:اے محمد( صلی اللہ علیہ وسلم )! کیا آپ کو یقین نہیں کہ عیسیٰ علیہ السلام اللہ کے نبی اور اس کے نیک صالح بندے تھے؟ تب اللہ تعالیٰ نے یہ آیات نازل کیں:(الزخرف:۵۷) ترجمہ :”اورجب ابن مریم کی مثال بیان کی گئی تو اس سے تیری قوم(خوشی سے)چیخنے لگی“۔میں نے کہا: ﯞ کاکیامطلب ہے؟کہنےلگے:چیخ وپکارکرتےہیں۔ (الزخرف:۶۱) ”اور یقیناً(عیسی)قیامت کی علامت ہیں“۔یہ قیامت سے پہلے عیسی کا نکلنا ہے(اور ایک روایت میں ہے:اترنا ہے)
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2638-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...