❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Do Sawal hain❗
Sawal: Kaunse qaum ke liye Allah subhanahu ne ek muqammal surat nazil ki thi jismein srif unhe ka zikr kiya gaya hain
A: Bani israeel
B: Qaum e Aad
C: Qaum e Samood
D: Qaum e Noah
E: Qaum e Loot
F: Qaum e Saleh
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
Sawal2: wo kaunsa surah tha?
A: Surah Al-Bani Isra
B: Surah Al-Kahaf
C: Surah An-Anbiya
D: Surah Al-Quraish
E: Surah Al-Fil
F: Surah Al-Ankaboot
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezar hai
******
Sahi Jawab - GD✅
Quraish ke logo ki fazilate
Reference📚:
-----
Umm Hani RadiAllahu Anhu se rivayat hain ke Allah Subhanahu ne Quresh ko saath baaton ki wajah se fazilat di
1. Iss baat se fazilat di ki unhone dus saal Allah ki ibadat ki jabke Quresh ke alawa koi aur Allah ki ibadat nahi karta tha
2. Iss baat ki wajah se fazilat di ki Allah Subhanahu ne haati wale din inki madad ki halake wo mushrik thy
3. Unke baare mein Quran ki ek mukammal surat nazil huwi ke unke ilawa is mein kisi aur ka zikr nahi kiya gayi (لِاِیۡلٰفِ قُرَیۡشٍ) (Surah Al Quresh)
4. Un mein Nabuwat rakhi
5. Khilafat rakhi
6. Bait Allah ki hifazat ki zimme daari
7. Hajion ko pani pilane ki zimmedari rakhi.
------
ام ہانی رضی اللہ عنہ سے مرفوعاً مروی ہے کہ: اللہ تعالیٰ نے قریش کو سات باتوں کی وجہ سے فضیلت دی:۱۔اس بات سے فضیلت دی کہ انہوں نے دس سال اللہ کی عبادت کی جبکہ قریش کے علاوہ کوئی اور اللہ کی عبادت نہیں کرتا تھا۔ ۲۔ اس بات کی وجہ سے فضیلت دی کہ اللہ تعالیٰ نے ہاتھی والے دن ان کی مدد کی حالانکہ وہ مشرک تھے۔۳۔ ان کے بارے میں قرآن کی ایک مکمل سورت نازل ہوئی کہ ان کے علاوہ اس میں کسی اور کاتذکرہ نہیں کیاگیا : لِاِیۡلٰفِ قُرَیۡشٍ ۙ﴿۱﴾ (قریش: ۱) ۔۴۔ان میں نبوت رکھی۔۴۔ خلافت رکھی۔۶۔بیت اللہ کی حفاظت کی ذمہ داری۔۷۔حاجیوں کو پانی پلانے کی ذمہ داری رکھی۔
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#3522-Sahih
No comments:
Post a Comment