Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 10 January 2021

Bait Allah ke 7 chakkar lagana aur uss dauran ek aisa amal kare jo kisi se baat kare bagair kare to usko har kalme ke badle 10 gunah maaf kar diye jaate hain 10 nekiya likhi jaati hai aur 10 darjaat buland kar diye jaate hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Bait Allah ke 7 chakkar lagana aur uss dauran ek aisa amal kare jo kisi se baat kare bagair kare to usko har kalme ke badle 10 gunah maaf kar diye jaate hain 10 nekiya likhi jaati hai aur 10 darjaat buland kar diye jaate hain

Sawal: Wo amal kaunsa hain

A: Sayyad-Al-Astigfar
B: SubhaAllahi wa Bihamdihi, SubhanAllahi Azeem
C: Radaitu billahi Rabba wa bil-Islami dina wa bi Muhammadin ﷺ nabiyya
D: SubhanAllah walhamdullilah wa la ilaha illahu waAllahu Akbar
E: SubhanAllah walhamdullilah wa la ilaha illahu waAllahu Akbar, la hawla wala quwwata illah billah
F: La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar, wa La Hawla wa La Quwwata illa Billah
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
***********
Sahi Jawab - E✅

Bait Allah ka Tawaf karne ke baad ye azkar padhne se 10 gunah maaf, 10 nekiya, 10 darjaat buland kardiye jaate hain

Reference📚:
---
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Allaihi wasallam ne farmaya jo shakhs bait Allah ke 7 chakkar lagaye aur is dauran
سُبحـان اَللّه
والحَمدُ لِلّه
ولَا إِلَهَ إِلا اَللّه 
واللّهُ أَكبَر
ولاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللّه
SubhanAllah
Walhamdulillah
Wa lailaha illAllah
WallahuAkbar
Wa La hawla wa la Quwwata illa Billah
Allah ki zaat paak hain
aur tamam tarifein Allah ke liye hain
aur Allah ke siwa koi ibadat ke layaq nahi
aur Allah sabse bada hain
aur Allah ki madad ke bagair gunah se bachne ki taqat aur Neki karne ki quwwat nahi hain
ke siwa koi baat na kare to is ke 10 gunah maaf kar diye jate hain, is ke liye 10 nekiya likhi jati hain aur is ke 10 darjaat buland kar diye jate hain. aur jo shakhs tawaf kare aur is douran baatein kare to wo is haal mein aisa hai ke is ke pav (feet) to rehmat mein hain (lekin upar ka hissa rehmat mein nahi) jaisse kisi ne apne pav (feet) pani mein duubo rakkhe ho
----
حضرت ابوہریرہ   ؓ  سے روایت ہے کہ نبی صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ جو شخص بیت اللہ کے سات چکر لگائے اور اس دوران سبحان اللہ ........ الا باللہ ’’ اللہ پاک ہے ، ہر قسم کی تعریف اللہ کے لیے ہے ، اللہ کے سوا کوئی معبود برحق نہیں ، اللہ سب سے بڑا ہے ، گناہ سے بچنا اور نیک عمل کرنا محض اللہ تعالیٰ کی توفیق کے ساتھ ہے ۔‘‘ کے سوا کوئی بات نہ کرے تو اس کے دس گناہ معاف کر دیے جاتے ہیں ، اس کے لیے دس نیکیاں لکھی جاتی ہیں اور اس کے دس درجات بلند کر دیے جاتے ہیں ۔ اور جو شخص طواف کرے اور اس دوران باتیں کرے تو وہ اس حال میں ایسے ہے کہ اس کے پاؤں تو رحمت میں ہیں (لیکن اوپر کا حصہ رحمت میں نہیں) جیسے کسی نے اپنے پاؤں پانی میں ڈبو رکھے ہوں ۔‘‘ ، رواہ ابن ماجہ ۔
-----
Mishkat ul Masabeeh#2591-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...