Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 7 August 2022

Allah Subahanu in mein se kis ki nekiyon ko akhirat ke din udte huwe zarre ki tarah bana denge ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 902 ❗

Sawal : Allah Subahanu in mein se kis ki nekiyon ko akhirat ke din udte huwe zarre ki tarah bana denge ?

A. Jisne dikhawe ke liye namaaz padhi 
B. Jisne nahaq qatal kiya
C. Jisne padosi ko takleef di
D. Jusne jhoot bola
E. Jisne dikhawe ke liye duniya mein amal kiya
F. Jisne apne maa baap ki kidmat nahi ki
G. Jisne sabke samne neik kaam kiye lekin akele mein haram kaam kiye
H. Jisne namaz ke baad dua nahi mangi 
I. Jisne apne baap ka inkaar kiya
J. Jisne yateem ka maal kha liya
K. In mein se koi nahi
L. Sahi jawab ka intezaar
***
Sahi jawab : G ✅

Reference : 📚
---------
Rasoolallah Sallellahu Alahi WaSallam ne farmaya main apni ummat mein se aise logo ko janta hu jo Qayamat ke din Tihmaha ke pahadon ke barabar nekiyan le kar ayenge Allah Subhanaahu unko fiza mein udte huye zarre ki tarha bana dega, Thawban Radi Allahu Anhu ne arz kiya Ya Rasoolallah Sallellahu Alahi WaSallam un logo ka haal humse bayan farmaye aur khol kar bayan farmaye taake hum lailmi aur jhahlat ki wajah se un mein se na ho jaye Aap Sallellahu Alahi WaSallam ne farmaya jaan lo ke wo tumahare bhaiyon mein se hi hain aur tumhari qaum mein se hain wo bhi raaton ko isi tarha ibadat karenge jaise tum ibadat karte ho lekin wo aise log hai ke jab tanhayi mein honge to haram kaamon ka irtekaab karenge
--------
ثوبان ؓ کہتے ہیں کہ  نبی اکرم ﷺ نے فرمایا:  میں اپنی امت میں سے ایسے لوگوں کو جانتا ہوں جو قیامت کے دن تہامہ کے پہاڑوں کے برابر نیکیاں لے کر آئیں گے، اللہ تعالیٰ ان کو فضا میں اڑتے ہوئے ذرے کی طرح بنا دے گا ، ثوبان ؓ نے عرض کیا: اللہ کے رسول! ان لوگوں کا حال ہم سے بیان فرمائیے اور کھول کر بیان فرمایئے تاکہ لاعلمی اور جہالت کی وجہ سے ہم ان میں سے نہ ہوجائیں، آپ ﷺ نے فرمایا:  جان لو کہ وہ تمہارے بھائیوں میں سے ہی ہیں، اور تمہاری قوم میں سے ہیں، وہ بھی راتوں کو اسی طرح عبادت کریں گے، جیسے تم عبادت کرتے ہو، لیکن وہ ایسے لوگ ہیں کہ جب تنہائی میں ہوں گے تو حرام کاموں کا ارتکاب کریں گے ۔  
-------
It was narrated from Thawban that the Prophet (ﷺ) said:
“I certainly know people of my nation who will come on the Day of Resurrection with good deeds like the mountains of Tihamah, but Allah will make them like scattered dust.” Thawban said: “O Messenger of Allah, describe them to us and tell us more, so that we will not become of them unknowingly.” He said: “They are your brothers and from your race, worshipping at night as you do, but they will be people who, when they are alone, transgress the sacred limits of Allah.” 
-------
Ibn Maja#4245-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...