❗Only-Quran-Hadith-Quiz 899 ❗
Sawal: wo kaunsa amal hain jisko dajjal se bhi zayda khatarnaak kaha gaya hain?
A: Dhikawe ke liye kisi ki madad karna
B: Maal hote huyee bhi zakat adda nahi karna
C: Amanat mein khayanat karna
D: Do rukha shakhs
E: kisi ka Aib zahir karna
F: waqt par namaz nahi padna
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - G✅
Hadith: Posheeda Shirk wo hain ke jab koi shakhs namaz ke liye khada hota hain to srif bagal wale shakhs ko dhikhane ke liye khoobsurti se namaz padhta hain
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya main tumko aisi cheez ke bare mein na bata du jo mere nazdeek Maseeha Dajjal se bhi zyada khatarnaak hain? Hum ne Arz kiya: kyun nahi? Aap Sallallahu Alaihi ne farmaya: Wo posheeda (chupa huwa) shirk hain jo ye hain ke aadmi Namaz padhne khada hota hain, aur jab usay malum hota hain ke koi usay dehk raha hain to apni Namaz ko sirf is wajah se khoobsurti se ada karta hain
---
حضرت ابوسعید خدری رضی اللہ عنہ سے روایت ہے ، انہوں نے فرمایا : رسول اللہ ﷺ ہمارے پاس ( گھر سے ) باہر تشریف لائے جب کہ ہم مسیح دجال کا ذکر کر رہے تھے ۔ آپ نے فرمایا :’’ کیا میں تمہیں ایسی چیز نہ بتاؤں جو میرے نزدیک تمھارے لیے مسیح دجال سے بھی زیادہ خطرناک ہے ؟‘‘ ہم نے کہا کیوں نہیں ( فرمائیے ۔ ) رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ چھپا ہوا شرک ۔ ( وہ یہ ہے ) کہ آدمی نماز پڑھنے کھڑا ہوتا ہے ، جب اسے معلوم ہوتا ہے کہ کوئی اسے دیکھ رہا ہے تو اپنی نماز کو خوبصورت بناتا ہے ۔‘‘
--
It was narrated that Abu Sa’eed said: “The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam came out to us when we were discussing Dajjal (False Christ) and said: ‘Shall I not tell you of that which I fear more for you than Dajjal?’ We said: ‘Yes.’ He said: ‘Hidden polytheism, when a man stands to pray and makes it look good because he sees a man looking at him.’”
---
Sunnan e Ibn e Maja#4204-Sahih
No comments:
Post a Comment