Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 7 August 2022

Kaunse shaqs ko Qayamat ke din Izzat ka libaas pehnaya jayega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 901❗

Sawal: Kaunse shaqs ko Qayamat ke din Izzat ka libaas pehnaya jayega

A: Bewa aur miskeen ki madad karne wala
B: Quran seekhne aur usper amal karne wala
C: Jo duniya mein achche aur mehange libaas nahi pehna ho
D: Jo kisi museebat mein mubtila momeen ki madad kare
E: Jo log Shaheed huwe
F: Jo kisi momeen ke kafan ka intezaam kare
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*****
Sahi Jawab - D✅

Hadith: Museebat mein mubtila Momeen ki madad karne wale shakhs ko qayamat ke din izzat ka libaas pehnaya jayega

Reference📚:
---------
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo koi momeen kisi museebat mein apne momeen bhai ko tasalli (madad) deta hain is se taaziyat karta hain to Allah Subhanahu Ta’aala Qayamat ke din use izzat ka libaas pehnayega.
-------
محمد بن عمرو بن حزم رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے كہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جو كوئی مومن كسی مصیبت میں اپنے مومن بھائی كو تسلی(مدد) دیتا ہے اس سے تعزیت کرتا ہے  تو اللہ تعالیٰ قیامت كے دن اسے عزت كا لباس پہنائے گا۔
--------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3305

No comments:

Post a Comment

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...