Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 7 August 2022

Allah Subhanahu ko inmein se bande ka kaunsa amal sabse pyara lagta hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 897❗

Sawal: Allah Subhanahu ko inmein se bande ka kaunsa amal sabse pyara lagta hain

A: Musafir ki madad karna
B: Azan ke baad ki dua padna
C: Isha ki namaz ba jamaat padhna
D: ba wazu hone ke baad bhi fir se wazu karna
E: Chast ki Namaz padhna
F: Masjid ki taraf chal kar anna
G: inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - G✅

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah Subhanahu ko insaan ka sabse pyara amal wo lagta hai jo mustaqil ho agarche thoda he ho

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tum mein se kisi shakhs ko is ka amal Jannat mein daakhil nahi kar wa sakega (aur na he aag se nijaat dilaiga) sahaba ne kaha: Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Kya aap ke sath bhi yahi surat e haal hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Haan mere sath bhi yahi surat e haal hain (aur apne haath ke sath, apne sir ki taraf ishara kiya) magar ye hain ke Allah Subhanahu taala apne fazal aur rehmat se usay dhaanp le (do martaba ya teen martaba kaha) (seedhay ho jao, qareeb ho jao) (aur khush ho jao) (subah o shaam aur raat ko Naik amal karo, miyana rawi ikhtiyar karo, maqsad ko pahonch jaoge) (aur jaan lo ke Allah Subhanahu ko tumhara sab se pyara amal wo lagta hain jo mustaqil ho agarche thoda he ho..
----
آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تم میں سے كسی شخص كو اس كا عمل جنت میں داخل نہیں كر وا سكے گا( اور نہ ہی آگ سے نجات دلائے گا)صحابہ نے كہا: اے اللہ كے رسول ! كیا آپ كے ساتھ بھی یہی صورتحال ہے؟ آپ نے فرمایا: ہاں میرے ساتھ بھی یہی صورتحال ہے( اور اپنے ہاتھ كے ساتھ اپنے سر كی طرف اشارہ كیا) مگر یہ كہ اللہ تعالیٰ اپنے فضل اور رحمت سے اسے ڈھانپ لے( دو مرتبہ یا تین مرتبہ كہا) (سیدھے ہو جاؤ، قریب ہو جاؤ) ( اور خوش ہو جاؤ) (صبح و شام اور رات كو نیك عمل كرو، میانہ روی اختیار كرو، مقصد كو پہنچ جاؤ گے)( اور جان لو كہ اللہ تعالیٰ كو تمہارا سب سے پیارا عمل وہ لگتا ہے جو مستقل ہو اگرچہ تھوڑا ہی ہو)۔ یہ حدیث ....... سے مروی ہے
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Anyone’s actions will not make them enter Paradise (nor save them from the Fire). The Companions said: O Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam! Is the same situation with you? He said: Yes, the situation is the same with me (and he pointed to his head with his hand), but May Allah Subhanahu cover it with His grace and Mercy (said twice or thrice) (Straighten up, Draw near) (and be happy) (do good deeds in the morning and evening and at night, adopt a moderate attitude, you will reach the goal) (and know that the most beloved of your deeds to Allah is that which is permanent). (even if done only little or slightly). 
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#3667

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...