❗Only-Quran-Hadith-Quiz 906❗
Sawal 1 : Qayamat ke din sabse pahle in mein se kiska sawal hoga ?
Sawal 2 : Aur uski kami kounse amal ke zariye se puri hogi ?
A. Niyamat
B. Qatal
C. Namaz
D. Zulm
E. Qisas
F. Sila rahmi
G. Sadqa
H. Sabar
I. In mein se koi nahi to apna jawab likhein
J. Sahi jawab ka intezaar
***
Sahih jawab : 1. C/ 2. I. Nawafil Namaz ✅
Bismillahirahmanirrahim
Hadith: Qayamat ke din Sabse pahle Namaz ka Sawal hoga agar Farz namaz mein kami huyi to nawafil se pura hoga
Reference : 📚
--------
Rasoolallah Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya sabse pahle bande se namaz ki baaz paras hogi (sawal hoga) agar usne use pura kiya ( to theek hai) warna Allah Azwajal farmega : Dekho mere bande ke paas koi nawafil (Namaz) hai ? Agar uske paas koi Nawafil mila to farmaega uske zariye farz pura kar do
---------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: سب سے پہلے بندہ سے نماز کی بازپرس ہو گی، اگر اس نے اسے پورا کیا ہے ( تو ٹھیک ہے ) ورنہ اللہ عزوجل فرمائے گا: دیکھو میرے بندے کے پاس کوئی نفل ( نماز) ہے؟ اگر اس کے پاس کوئی نفل ملا تو فرمائے گا: اس کے ذریعہ فرض پورا کر دو ۔
---------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said: The first thing for which a person will be brought to account will be his Salah. If it is complete (all well and good), otherwise Allah will say: 'Look and see if My slave did any voluntary prayer.' If he is found to have done voluntary prayers, his obligatory prayers will be completed therewith.
-------
Sunan Nisai#468-Sahih
No comments:
Post a Comment