❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Fatah Makkah wale saal ek shaks ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke iqteda mein namaz padhi thi
Sawal: uss waqt Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kaunsi dua kar rahe thy
A: Allaahummaghfir lee, warhamnee, wahdinee, wa 'aafinee warzuqnee.
B: Allahumma laa thukzini yaum Al-Qiyamah
C: Allahummastur awrati, wa amin raw'ati
D: Allahumma Rahmataka Arju Fala Takilni ila nafsi tarfata Aynin wa aslih li sha'ni kullahu, La ilaha ila anta
E: Allahummaghfirli, wahdini, warzuqni wa 'afini. A'udhu billahi min diqil-maqami yawmal-qiyamah
F: Allahumma inni auzubika min diqil duniya wa diqil yawmal-qiyamah
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
*********
Sahi Jawab - B✅
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki dua
Reference📚:
----
Yahya bin Hassan se riwayat hain ke banu kananah ke ek aadmi ne kaha Mein ne Fatah Makkah wale saal Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki iqteda Mein Namaz padhi aur Aap Sallallahu Alaihi wasallam ko ye dua karte huwe suna:
اَللّٰھُمَّ لَا تُخْزِنِی یَوْمَ الْقِیَامَۃِ
Allahumma laa thukzini yaum Al-Qiyamah
(Eh Allah ! roz-e- Qayamat mujhe ruswa na karna)
----
یحییٰ بن حسان سے مروی ہے کہ بنو کنانہ کے ایک آدمی نے کہا: میں نے فتح مکہ والے سال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کی اقتدا میں نماز پڑھی اور آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کویہ دعا کرتے ہوئے سنا: اَللّٰھُمَّ لَا تُخْزِنِی یَوْمَ الْقِیَامَۃِ (اے اللہ! روزِ قیامت مجھے رسوا نہ کرنا)۔
-----
Musnad Ahmed#5649-Sahih
No comments:
Post a Comment