Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 29 April 2020

Kaunse shaqs ke liye farnaya gaya goya wo Allah ke raha mein Jihad karta hai aur lagatar namaz aur roze rakhta hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse shaqs ke liye farnaya gaya goya wo Allah ke raha mein Jihad karta hai aur lagatar namaz aur roze rakhta hain

A: rozana tahajjud padne wala
B: subha aur shaam ke azkar padhne se
C: bewa aur muskeen ki madad karne se
D: din mein 70 baar astagfaar padhne se
E: Shawwal ke 6 roze rakhne se
F: har mahine 13, 14, 15 ke roze rakhne se
G: Jihad mein din raat pehrah dene wale
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka intezaar

❗Note agar apka jawab H hai toh sahi jawab likhiye

**************
Sahi jawab - C✅

Bewa aur miskeen ki madad karne wale ko lagatar roze aur namaz padhne ka ajar

Reference📚:
---------------------
Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh bewaon (widows) aur miskeen ke liye kamaye (ya mehnat karey) wo aisa hai jaise Allah ki raah mein Jihad karne wala, aur main sochta hu ye bhi farmaya ki wo aisa hai jaise jo namaz ke liye bina thake (continuesly) khada rahe aur jaise lagatar (continuesly) roza rakhe.
Sahih Muslim, Jild 6, 7468
-------------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu reported that Allah's Messenger may peace be upon him said: One who makes efforts (for earning to be spent) on a widow and the poor  , is like a striver in the cause of Allah, and I think he also said: He is like one who constantly stands for prayer and observes fast without breaking it.

Sahih Muslim, Book 42, 7107

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...