Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 4 May 2020

Inmein se kaunse shaqs ke roze ki Allah Subhanahu ko Zaroorat nahi

❗Only-Qiran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai

Sawal: Inmein se kaunse shaqs ke roze ki Allah Subhanahu ko Zaroorat nahi

A: Chori karne wale ki
B: Dagabazi karne wale ki
C: Jahiliyat karne wale ki
D: Shirk karne wale ki
E: Zina karne wale ki
F: Waledain ki nafarmani karne wale ki
G: Na insafi karne wale ki
H: Takabbur karne wale ki 
 I: Biddat karne wale ki
J: Jhoot bollne wale ki

 K: Sahi Jawab ka Intezaar

******************

Sahi Jawab -BJ✅

Roze ki halat mein na Jhoot bole na dagabazi kare

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya agar koi shaqs jhoot bole aur dagaa bazi karna (Roza rakh kar bhi) na chodhe toh Allah Subhanahu taala ko iss ki koi zaroorat nahi ke wo apna khana peena chode de.
-----
Narrated By Abu Huraira : The Prophet Sallalahu Alaihi wasallam said, "Whoever does not give up forged speech and evil actions, Allah is not in need of his leaving his food and drink (i.e. Allah will not accept his fasting.)"
------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، اگر کوئی شخص جھوٹ بولنا اور دغا بازی کرنا  ( روزے رکھ کر بھی )  نہ چھوڑے تو اللہ تعالیٰ کو اس کی کوئی ضرورت نہیں کہ وہ اپنا کھانا پینا چھوڑ دے۔ 
------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari hadees #1903

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...