Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 4 May 2020

kis ke kiye Allah Subahnahu ne aadhi namaz maaf kardi hain, wo kaun log hai jinke liye Allah Subhanahu ne roze maaf kar diye hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Dusre sawal mein Jawab ek se ziyada hai

Sawal1: kis ke kiye Allah Subahnahu ne aadhi namaz maaf kardi hain

Sawal2: wo kaun log hai jinke liye Allah Subhanahu ne roze maaf kar diye hain? 

A: Ghulam
B: Fakeer
C: Hamila aurat
D: Qarzdaar
E: Musafir
F: Muflis log
G: Doodh pilane wali aurat
H: Miskeen

I: Sahi Jawab ka intezaar
**************
Sahi Jawab - E/CEG✅

Jinke liye Allah Subhanahu ne roze maaf kardiye hai

Reference📚:
---------
Abdullah bin Kaab ke ek shakhs ne bayan kiya ke Rasool-Allah Sallallahu Alahi wasallam ke sawaar hamare upar hamla aawar huwe toh mein Aap Sallallahu Alahi wasallam ke paas aaya, aur Aap dophar ka khana tanawal farma rahe thy Aap Sallallahu Alahi wasallam ne farmaya qareeb aa jao aur khao mein ne kaha : mein roze se hu, Aap Sallallahu Alahi wasallam ne farmaya : baitho mein tumhe roze ke silsilay mein batata hu Allah Subhanahu taala ne Musafir se aadhi namaz maaf kar di hai, aur Musafir, Haamila aur doodh pilanay wali Aurat se roze maaf kar diye hai, Qasam Allah ki Nabi Sallallahu Alahi wasallam ne yeh dono baatein farmaye, ya ek baat farmayi, ab mein apne upar afsos karta hu ke mein ne Aap ke khanay mein se kyun nahi khaya
--------
It was narrated from Anas bin Malik that a man from the tribe of Banu ‘Abdul-Ashhal, while (one narrator) ‘Ali bin Muhammad said (he was) a man from the tribe of Banu ‘Abdullah bin Ka’b, said: “The cavalry of the Messenger of Allah (Sallallahu Alahi wasallam) attacked us, so I came to the Messenger of Allah (Sallallahu Alahi wasallam) while he was eating a meal. He said: ‘Come and eat.’ I said: ‘I am fasting.’ He said: ‘Sit down and I will tell you about fasting. Allah has relieved the traveler of half of the prayer, and He has relieved the traveler, the pregnant, and the nursing mothers of the duty to fast.’ By Allah, the Prophet (Sallallahu Alahi wasallam) said them, both, or one of them, and now I feel so disappointed that I had not eaten of the food of the Messenger of Allah (Sallallahu Alahi wasallam).”
--------
قبیلہ بنی عبدالاشہل کے اور علی بن محمد کہتے ہیں کہ قبیلہ بنی عبداللہ بن کعب کے ایک شخص نے بیان کیا کہ رسول اللہ (ﷺ) کے سوار ہمارے اوپر حملہ آور ہوئے تو میں آپ (ﷺ) کے پاس آیا، اور آپ دوپہر کا کھانا تناول فرما رہے تھے، آپ (ﷺ) نے فرمایا: قریب آ جاؤ اور کھاؤ میں نے کہا: میں روزے سے ہوں، آپ صلی (ﷺ) نے فرمایا: بیٹھو میں تمہیں روزے کے سلسلے میں بتاتا ہوں اللہ تعالیٰ نے مسافر سے آدھی نماز معاف کر دی ہے، اور مسافر، حاملہ اور مرضعہ ( دودھ پلانے والی ) سے روزہ معاف کر دیا ہے، قسم اللہ کی نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے یہ دونوں باتیں فرمائیں، یا ایک بات فرمائی، اب میں اپنے اوپر افسوس کرتا ہوں کہ میں نے آپ کے کھانے میں سے کیوں نہیں کھایا۔ 
---------
Sahih Hadees
Sunnan Ibne Maja hadees # 1667

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...