Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 7 September 2020

Wo kaun kaunse azkar hai jinko ek daffa padne se 10 likha jaata hai aur dus (10) daffa padhne se sav (100) daffa padne ka sawab likha jata hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se ziyada hai

Sawal: Wo kaun kaunse azkar hai jinko ek daffa padne se 10 likha jaata hai aur dus (10) daffa padhne se sav (100) daffa padne ka sawab likha jata hain


A: SubhanAllah

B: Alhamdulillah

C: La ilaha illAllah 

D: Allahu Akbar

E: Astagfirullah

F. La Hawla wa La Quwwatailla billah

G: SubhanAllahi wa biHamdihi


H: Sahi Jawab ka intezaar


***************

Sahi Jawab BDG✅


Aise kalimat jinko ek dafa adda karne per dus ka sawab aata hota hain


Reference📚:


Sanaa ke Ek aadmi ayub ban Salman se riwayat hai, woh kehte hain : hum Makkah muakram mein Ata khurasani ke paas Masjid ki deewar ke sath baithy huwe thy, na hum ne un se sawal kiya aur nah unhon ne hamein kuch bayan kiya, phir Syedna Ibn Umar Radi Allahu Anhu ke paas is terhan baith gaye, jaisay tumahray paas baithy hain, un se bhi nah hum ne koi sawal kiya aur nah unhon ne hamein kuch bayan kiya, bil aakhir unhone kaha tum logon ko kya ho gaya hai, na tum baat karte ho, na Allah Subhanahu taala ka zikar karte ho, yeh zikar karo  اَللّٰہُ اَکْبَرُ، اَلْحَمْدُ لِلّٰہِ، سُبْحَانَ اللّٰہِ وَبِحَمْدِہِ، (Allah hu Akbar, Alhumduliah SubhanAllahi waBihumdehi) Allah taala Ek kalme ke badlay das (10) likhega aur das (10) ke badlay sav (100) likhega, jis ney ziyada zikar kiya, Allah Subahnahu taala is ko ziyada sawab dega aur jo khamosh hogaya, Allah taala is ko bakhash dega

------------

صنعاء کے ایک آدمی ایوب بن سلمان سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: ہم مکہ مکرمہ میں عطاء خراسانی کے پاس مسجد کی دیوار کے ساتھ بیٹھے ہوئے تھے، نہ ہم نے ان سے سوال کیا اور نہ انھوں نے ہمیں کچھ بیان کیا، پھر سیدنا ابن عمر  رضی اللہ عنہما کے پاس اس طرح بیٹھ گئے، جیسے تمہارے پاس بیٹھے ہیں، ان سے بھی نہ ہم نے کوئی سوال کیا اور نہ انھوں نے ہمیں کچھ بیان کیا، بالآخر انھوں نے کہا: تم لوگوں کو کیا ہو گیا ہے، نہ تم بات کرتے ہو، نہ اللہ تعالیٰ کا ذکر کرتے ہو، یہ ذکر کرو: اَللّٰہُ اَکْبَرُ، اَلْحَمْدُ لِلّٰہِ، سُبْحَانَ اللّٰہِ وَبِحَمْدِہِ، اللہ تعالیٰ ایک کلمے کے بدلے دس لکھے گا اور دس کے بدلے سو لکھے گا، جس نے زیادہ ذکر کیا، اللہ تعالیٰ اس کو زیادہ ثواب دے گا اور جو خاموش ہو گیا، اللہ تعالیٰ اس کو بخش دے گا، …۔

-----

Musnad Ahmed#5454-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...