Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 6 December 2020

kaunse amal ke liye farmaya gaya hain ke baatil log usse karne ki taaqat nahi rakhte

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunse amal ke liye farmaya gaya hain ke baatil log usse karne ki taaqat nahi rakhte

A: Tahajud padhna 
B: Fajar ki namaz aada karna 
C: Surah Baqrah ki tilawat karna
D: Quran ko Fajar ke waqt padhna 
E: Namaz ke baad Zikr karna  
F: Asar ki namaz ki hiffazat karna
G: Inmein se koi nahi 
H: Sahi Jawab ka intezaar
*******
Sahi Jawab – C✅

Surah Al Baqarah ki tilawat karna baais e barkat hain aur baatil log usse padhne ki taaqat nahi rakhte

Reference📚:
Abu Amama RadiAllahu Anhu se riwayat hain kehte hain ke mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna farma rahe thy Quran padha karo kyunke ye qayamat ke din apne padhne walon ke liye sifarshi bankar aayega khilte huwe phoolon ki manind do suraten Surah Al Baqarah aur Surah Ale Imran padha karo, kyun ke ye dono qayamat ke din badliyon ki soorat mein ye dono parindon ki soorat mein ya par phelaaye huwe parindon ke do gulloh (group) mein ayengi aur apne padhne walon ke barre mein jhagdha karengi. Surat Al Baqrah padha karo kuyke iska padhna baais e barkat aur iska chodhna baais hasrat hain aur baatil log usse padhne ki taaqat nahi rakhte.
----
Abu Amama RadiAllahu Anhu said that he heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam saying that recite the Qur'an, for it will be an intercessor for those who recite it on the Day of Resurrection. Recite two Surahs like Surah Al-Baqarah and Surah Ale-Imran, because on the Day of Resurrection both of them will come in the form of changes or in the form of two birds or in two groups of birds spread out and will quarrel about their readers. Recite Surah Al-Baqarah because reciting it is a blessing and leaving it is a cause of regret and false people do not have the strength to recite it.
----
ابو امامہ باہلی رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہتے ہیں کہ میں نے رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا فرما رہے تھے:قرآن پڑھا کرو کیوں کہ یہ قیامت کے دن اپنے پڑھنے والوں کے لئے سفارشی بن کر آئے گا۔کھلتے ہوئے پھولوں کی مانند دو سورتیں سورة البقرہ اور آل عمران پڑھا کرو، کیوں کہ یہ دونوں قیامت کے دن  بدلیوں کی صورت میں یایہ دونوں پرندوں کی صورت میں یا پر پھیلائے ہوئے پرندوں کے دو غولوں میں آئیں گی اور اپنے پڑھنے والوں کے بارے میں جھگڑا کریں گی۔ سورة البقرة پڑھا کرو کیوں کہ اس کا پڑھنا باعث برکت اور اس کا چھوڑ نا باعث حسرت ہےاور باطل لوگ اسے پڑھنے کی طاقت نہیں رکھتے۔ 
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2772

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...