❗Only-Quran-Hadith-Quiz 851❗
❗Jawab ek se ziyada hain
Sawal: Wo kaun hai jiski taraf Allah Subanahu nahi dekhega
A: Qible ki taraf thukne wale
B: apne sohar ki nashukrani karne wali Aurat
C: Mehman aane par naraz hone wale
D: apna izhar takkabur se zameen par ghaseet kar chalne wale
E: Namaz mein idhar udhar dhekne wale
F: Madad karke ehsaan jatlane wale
G: Badon ki izzat nahi karne wale
H: jo aurat ki pichli sharamgah mein sohbat kare
I: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - BDFH✅
Hadith: Qayamat ke din in amal karne walo ki taraf Allah Subahanhu nahi dekhega
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallalallahu Alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Subhanahu is ki taraf Qayamat ke din nazar rehmat nahi karega jo apna kapda takkabur o ghuroor se zameen par ghaseet kar chalta hain.
---
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”اللہ تعالیٰ اس کی طرف قیامت کے دن نظر رحمت نہیں کرے گا جو اپنا کپڑا تکبر و غرور سے زمین پر گھسیٹ کر چلتا ہے۔
---
Sahih Bukhari#5783
****
Rasool-Allah Sallalallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Allah Subahnahu is Aurat ki taraf nahi dekhega jo apne shohar ki shukar guzari nahi karti, halaanke wo is ke bagair reh bhi nahi sakti.
----
عبداللہ بن عمرو رضی اللہ عنہما سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ اس عورت کی طرف نہیں دیکھے گا جو اپنے شوہر کی شکر گزاری نہیں کرتی ،حالانکہ وہ اس کے بغیر رہ بھی نہیں سکتی۔
---
The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: “Allah will not look at a woman who is not thankful to her husband, although she cannot live without him.”
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2018
***
Rasool-Allah Sallalallahu Alaihi wasallam ne farmaya ” Allah Subhanahu is shakhs ki taraf (rehmat ki nazar se) nahi dekhega jo kisi mard ya kisi aurat ki dubur (pichli sharamgah) mein sohbat (jamaa) kare “ .
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اللہ اس شخص کی طرف ( رحمت کی نظر سے ) نہیں دیکھے گا جو کسی مرد یا کسی عورت کی دبر ( پچھلی شرمگاہ ) میں صحبت کرے“۔
----
Ibn Abbas narrated that The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: “Allah will not look at a man who enters a man or a woman in the behind.
----
Jami` at-Tirmidhi-1165-Sahih
****
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Teen shakhs aisay hain ke Allah Subhanahu qayamat ke din unko (nazar rehmat o mohabbat se) nahi dekhega, aur na un ko paak karega aur un ke liye takleef da Azaab hoga. Wo shakhs jo apne kuch de kar ya madad karke Ehsaan jatlata hai jo shakhs apna tehband latkata hain aur jo shakhs jhoot bol kar apna samaan bechta hain.
----
It was narrated from Abu Dharr that the Prophet said: There are three at whom Allah will not look on the Day of Resurrection, nor will He sanctify them, and theirs will be a painful torment: The one who does not give anything but he reminds (the recipient of his gift), the one who drags his Izar (below the ankles), and the one who sells his product by means of false oaths.
----
حضرت ابوذر رضی اللہ عنہ سے منقول ہے کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ تین شخص ایسے ہیں کہ اللہ تعالیٰ قیامت کے دن ان کو ( نظر رحمت و محبت سے ) نہیں دیکھے گا ، اور نہ ان کو پاک کرے گا اور ان کے لیے تکلیف دہ عذاب ہو گا ۔ وہ شخص جو اپنے عطیے پر احسان جتلاتا ہے ۔ جو شخص اپنا تہبند لٹکاتا ہے اور جو شخص جھوٹ بول کر اپنا سامان بیچتا ہے ۔‘‘
-----
Sunnan e Nisai#4464-Sahih