Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday 10 October 2020

Jumma k din mujh per zyada se zyada darood bheja karo

 





Bismillahirrhamanirrahim

Hadith: Jumma k din mujh per zyada se zyada darood bheja karo
-----------
Hazrat Aws bin Aws Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wassalam ne farmaya tumhare tamam dinon men Jumma ka din sabse afzal hai ki is din Hazrat Aadam Alaihi salam ko paida kiya gaya aur usi din unki rooh qabz ki gayi aur usi din soor  phunka jayega aur isi din sab behosh honge isliye is roz (Juma ko)mujh per zyada se zyada darood bgeja kero kyunki tumhara darood padhna mujh per pesh kiya jata hai, logon ne kaha ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam humara darood parhna aap per kis tarah se pesh honge to aap Sallallahu Alaihi wassallam ne farmaya Allah subhanahu ne Anbiya karam ke jism ko mitti per haram kar diya hai.
Sunnan Abu Dawud,Vol 1, 1035-Sahih
----------------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  تمہارے دنوں میں سب سے افضل (بہترین) جمعہ کا دن ہے، اسی دن آدم علیہ السلام پیدا ہوئے، اسی میں ان کی روح قبض کی گئی، اور اسی دن صور پھونکا جائے گا، اور اسی دن بیہوشی طاری ہو گی، لہٰذا تم مجھ پر زیادہ سے زیادہ صلاۃ (درود و رحمت) بھیجو کیونکہ تمہاری صلاۃ (درود و رحمت) مجھ پر پیش کیے جائیں گے ؎ لوگوں نے عرض کیا: اللہ کے رسول! ہماری صلاۃ (درود و رحمت) آپ پر کس طرح پیش کی جائیں گی حالانکہ آپ ریزہ ریزہ ہو چکے ہوں گے یعنی وہ کہنا چاہ رہے تھے، کہ آپ بوسیدہ ہو چکے ہوں گے، آپ نے فرمایا:  اللہ تعالیٰ نے زمین پر حرام کر دیا ہے کہ وہ انبیاء علیہم السلام کے جسم کو کھائے ۔
---------
Narrated By Aws Radi Allahu Anhu Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam said: Among the most excellent of your days is Friday; on  this day Adam Alaihi salam was created, on this day  he died, on this day the last trumpet will be blown, and on this day the shout will be made, so send more blessings on me this day (means on friday), for your blessings will be submitted to me. The people asked: Ya Rasool-Allah SallallahuAlaihi Wasallam  how can it be that our blessings will be submitted to you while your body is decayed? Rasool-Allah SallallahuAlalhi Wasallam replied: Allah Subhanahu has prohibited the earth from consuming the bodies of Prophets. 
Sunan Abu Dawud, Book 3, 1042-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...