❗ Only-Quran-Hadith-Quiz ❗
Ek aisa amal hain jisne usse aada kiya to isse pehle aur iske baad koi iske amal tak nahi pahonch sakta siwaye uske jis ne isse Afzal amal kiya
Sawal: Wo kaunsa amal hain
A: Subah aur Sham ko 100 martaba ye padhne se.. SubhanAllah, Alhumdullilah, La ilaha illAllah Allah hu Akbar kehne per
B: Subah aur Sham ko 100 martaba ye padhne se.. SubhanAllahi wa bihamdihi kehne per
C: Subah aur Sham ko 100 martaba Astagfirullah padhne se..
D: Subah aur Sham ko 100 martaba ye padhne se…
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd, wa huwa Ala kulli shai'in qadir
E: Fajar aur Maghrib ki namaz ke baad 10 baar ye padhne se..
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir
F: Subah aur Sham ko Ayat Al Kursi padhne se..
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
*******
Sahi Jawab - D✅
Subah Shaam 100 martaba La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd, wa huwa Ala kulli shai'in qadir padhne ki fazeelat
Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: jis shakhs ne (subah ke waqt 100 martaba aur shaam ke waqt 100 martaba) 200 martaba kaha
لَا إِلٰه إِلَا الله، وَحْدَه لَا شَريك لَه، لَه الْمُلك، وَلَه الْحَمْد، وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير
La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in qadir
Allah ke ilawa koi saccha mabud nahi, Wo akela hain iska koi sharik nahi hain, ussi ke liye baadshahi hain aur ussi ke liye tarifein hain Aur wo har cheez par qadir hain.
to isse pehle aur iske baad koi is ke amal tak nahi pahonch sakta siwaye is shakhs ke jis ne is se afzal amal kiya (yani aur ziyada dafa isse padha)
Al-Silsila-tus-Sahiha#2973-Sahih
-----
The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever recites (a hundred times in the morning and a hundred times in the evening) two hundred times
لَا إِلٰه إِلَا الله، وَحْدَه لَا شَريك لَه، لَه الْمُلك، وَلَه الْحَمْد، وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير
La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in qadir
None has the right to be worshipped but Allah. He is the Only One and has no partners . For Him is the Kingdom and all the praises are due for Him.
Then No one can reach his deeds before and after, except the one who has done better than him. (or recited more then him)
Al-Silsila-tus-Sahiha#2973-Sahih
-----
عمرو بن شعیب اپنے والد سے وہ ان کے دادا(عبداللہ بن عمرورضی اللہ عنہما) سے بیان کرتے ہیں کہ رول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص نے (صبح کے وقت سو مرتبہ اور شام کے وقت سو مرتبہ)دو سو مرتبہ کہا: اللہ کے علاوہ کوئی سچا معبود نہیں، وہ اکیلا ہے اس کا کوئی شریک نہیں، اسی کے لئے بادشاہت ہے اور اسی کے لئے تعریف ہے اور وہ ہر چیز پر قادر ہے۔ اس سے پہلے اور اس کے بعد کوئی اس کے عمل تک نہیں پہنچ سکتا سوائے اس شخص کے جس نے اس سے افضل عمل کیا
------
Al-Silsila-tus-Sahiha#2973-Sahih