Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 29 April 2020

Kaunse shaqs ke liye farnaya gaya goya wo Allah ke raha mein Jihad karta hai aur lagatar namaz aur roze rakhta hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse shaqs ke liye farnaya gaya goya wo Allah ke raha mein Jihad karta hai aur lagatar namaz aur roze rakhta hain

A: rozana tahajjud padne wala
B: subha aur shaam ke azkar padhne se
C: bewa aur muskeen ki madad karne se
D: din mein 70 baar astagfaar padhne se
E: Shawwal ke 6 roze rakhne se
F: har mahine 13, 14, 15 ke roze rakhne se
G: Jihad mein din raat pehrah dene wale
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka intezaar

❗Note agar apka jawab H hai toh sahi jawab likhiye

**************
Sahi jawab - C✅

Bewa aur miskeen ki madad karne wale ko lagatar roze aur namaz padhne ka ajar

Reference📚:
---------------------
Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh bewaon (widows) aur miskeen ke liye kamaye (ya mehnat karey) wo aisa hai jaise Allah ki raah mein Jihad karne wala, aur main sochta hu ye bhi farmaya ki wo aisa hai jaise jo namaz ke liye bina thake (continuesly) khada rahe aur jaise lagatar (continuesly) roza rakhe.
Sahih Muslim, Jild 6, 7468
-------------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu reported that Allah's Messenger may peace be upon him said: One who makes efforts (for earning to be spent) on a widow and the poor  , is like a striver in the cause of Allah, and I think he also said: He is like one who constantly stands for prayer and observes fast without breaking it.

Sahih Muslim, Book 42, 7107

Tuesday 28 April 2020

Allah Subhanahu ko inmein se wo kaunsi Ibadat bahut ziyada muaziz hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Allah Subhanahu ko inmein se wo kaunsi Ibadat bahut ziyada muaziz hain?

A: Awal waqt mein namaz adaa karna
B: Roza
C: Zakat adaa karna
D: Dua
E: Wazu ke halat mein rehna  
E: Miswak karna
F: Ek Namaz ke bad dusri Namaz ka intezar karna
G: Saber
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab Ka Intezar

Note agar apka jawab H hai toh apna jawab likhiye

***************

Sahi Jawab - D✅

Allah Subhanahu ke nazdik sabse ziyada aziz Dua hain

Reference📚:
------
Nabi Akram Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaye:"Allah Subhanahu ke Nazdik DUA se Muaziz aur Makrum (Bahut Aziz) koi Cheez (Ibadat) nahi hai
-----
 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اللہ کے نزدیک دعا سے زیادہ معزز و مکرم کوئی چیز  ( عبادت )  نہیں ہے“ ۱؎۔ 
_
Abu Hurairah narrated that:
The Prophet said: “There is nothing more honorable with Allah [Most High] than supplication.”
----
Sahih Hadees
JameTirmizi Hadith# 3370

wo kaunsa sa amal hai agar koi shaqs kabira gunaaho se ijtinab kar raha ho aur inmein se maujuda amal kare toh wo unke darmiyan ke gunaho ko mitane ka sabab ban jata hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se ziyada hai

Sawal: wo kaunsa sa amal hai agar koi shaqs kabira gunaaho se ijtinab kar raha ho aur inmein se maujuda amal kare toh wo unke darmiyan ke gunaho ko mitane ka sabab ban jata hai

A: ek namaz ke baad dusre namaz ka intezaar karne se
B: Tahhajjud padhne se
C: paanch namaze adda karne se
D: ek jumme se dusre jumme tak
E: ek ramadhan se dusre ramadan tak
F: ek umrah se lekar dusre hajj tak
G: neki ka hukum kare aur burai se mana kare
H: Fajar ki namaz ke baad chast ki namaz adda karne se

I: Sahi Jawab ka Intezaar

*********************

Sahi Jawab - CDE✅

Aise amal jiske karne wale ke darmiyan ke arse mein hone wale gunaho ko mitane ka sabab ban jati hai

Reference📚:
-----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam farmaya karte thy jab (Insaan) kabira gunaaho se ijtinab kar raha ho to paanch namazain, ek jummay (dosray) jummay taq aur ek Ramadhan dusray Ramadhan taq, darmiyan ke arse mein honay walay gunaaho ko mitanay ka sabab hain
-----
Abu Huraira reported:
Verily the Messenger of Allah ( ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم ‌ ) said: The five (daily) prayers and from one Friday prayer to the (next) Friday prayer, and from Ramadhan to Ramadhan are expiations for the (sins) committed in between (their intervals) provided one shuns the major sins. 
-----
 ابوہریرہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ ‌ ‌ سے روایت کی کہ رسول اللہ ﷺ فرمایا کرتے تھے : ’’جب ( انسان ) کبیرہ گناہوں سے اجتناب کر رہا ہو تو پانچ نمازیں ، ایک جمعہ ( دوسرے ) جمعہ تک اور ایک رمضان دوسرے رمضان تک ، درمیان کے عرصے میں ہونے والے گناہوں کو مٹانے کا سبب ہیں ۔ ‘ ‘ 
-------
Sahih Hadees
Sahih Muslim#552

Sunday 26 April 2020

Yaqeenan tum sab ka khuda sirf Allah hai




Bismillahirrahmannirrahim

إِنَّمَا إِلَـٰهُكُمُ اللَّهُ
----
Yaqeenan tum sab ka khuda sirf Allah hai
----
 یقینا تم سب کا خدا صرف اللہ ہے
----
Your God is only Allah
----
Surah Taha: (20:98)

Saturday 25 April 2020

bandoh ka wo kaunsa kalimat hai joh Allah Subhanahu taala ko sabse ziyada mehboob hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: bandoh ka wo kaunsa kalimat hai joh Allah Subhanahu taala ko sabse ziyada mehboob hai

A:
سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، 
SubhanAllahi wa bihamdihi 
B: 
لا اله الا الله وحده لا شريك له 
له الملك وله الحمد وهو على كل شي قدير
La ilaha , illAllahu wahdahu La sharikalahu, lahul mulku wa lahul hamdu, wa huwa Ala kulli shayeen Qadeer
C:
الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
Alhamdulillahi Rabbil Aalamin
D: 
سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالٰی جَدُّكَ وَلَا إِلَهَ غَيْرَكَ
Subhanaka Allahumma Wa bi hamdika, Wa tabarakas-muka, wa taala jadduka, wa la ilaha gairuka.
E:
حَسْبِـيَ اللّهُ لا إلهَ إلاّ هُوَ عَلَـيهِ تَوَكَّـلتُ 
وَهُوَ رَبُّ العَرْشِ العَظـيم 
Hasbiyallahu la ilaha illa Huwa 'alayhi tawkkaltu 
wa Huwa Rabbul- 'Arshil-'Azim
F:
سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ 
SubhanAllahi wa bihamdihi SubhanAllahil Adheem

G: In mein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note❗ agar apka jawab G hai toh sahi jawab likiye

*************

Sahi Jawab - D✅

Reference📚:
-------
Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Bandoh ka sabse Mehboob kalaam Allah Subhanahu taa'la ko lagta hai..
-----------
Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya Allah Subhanahu taala ko sab se Mehboob kalaam yeh hai ke bandah kahey: 

سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالٰی جَدُّكَ وَلَا إِلَهَ غَيْرَكَ

Eh Allah to paak hai apni tareef ke saath, tera naam babarkat hai, teri shaan buland hai, aur tairay ilawa koi sacha mabood nahi aur Allah Subhanahu taala ko sab se na pasandeeda baat yeh lagti hai ke koi shakhs kisi dosray se kahey Allah se darr ja, to woh kahey khud ko dekh
------------
The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said the words most loved by Allah is when his slaves says
سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالٰی جَدُّكَ وَلَا إِلَهَ غَيْرَكَ
Subhanaka Allahumma Wa bi hamdika, Wa tabarakas-muka, wa taala jadduka, wa la ilaha gairuka.

Glory and praise be to You, O Allah, blessed be Your Name and exalted be Your majesty, none has the right to be worshipped but you.
-----------
عبداللہ بن مسعودرضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ کو سب سے محبوب کلام یہ ہے کہ بندہ کہے: اے اللہ تو پاک ہے اپنی تعریف کے ساتھ، تیرا نام بابرکت ہے، تیری شان بلند ہے، اور تیرے علاوہ کوئی سچا معبود نہیں۔ اور اللہ تعالیٰ کو سب سےنا پسندیدہ بات  یہ لگتی ہے ۔کہ کوئی شخص کسی دوسرے سے کہے: اللہ سے ڈر جا ، تو وہ کہے: خود کو دیکھ
-----------
عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ مَسْعُودٍ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم : إنَّ أَحَبَّ الْكَلامِ إِلَى اللهِ أَنْ يَقُولَ الْعَبْدُ: سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالٰی جَدُّكَ وَلَا إِلَهَ غَيْرَكَ، وإن أبغضَ الْكَلَامِ إِلَى اللهِ أَنْ يَقُولَ الرَجُل لِلرَجُل: اتَّقِ الله فَيَقُول: عَلَيْكَ بنَفْسِكَ. 
------------
Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2809

Mahfhum e hadith ke mutabiq wo kaun sa Amal hai agar koi shaqs dhiklawe ke khatir kare toh goya usne shirk kiya

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se ziyada hai

Sawal: Mahfhum e hadith ke mutabiq wo kaun sa Amal hai agar koi shaqs dhiklawe ke khatir kare toh goya usne shirk kiya

A: Maaf mein riyakari karne mein
B: Sadqa dena 
C: Quran ki tilawat karne mein
D: kisi ki madad karna 
E: Roza rakhna 
F: kisi ko iftaar karana
G: Namaz padhna

H: Sahi Jawab ka intezaar

*****************

Sahi Jawab - BEG✅

Jisne dikhlawe ke liye Roza rakha ya namaz padhi ya sadqa diya to usne shirk kiya

Reference📚:
--------
Shaddad bin aws Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaye Jo Shaks dikhlawe ki khatir Namaz padhta hai to usne Shirk kiya, Jo Shaks dikhlawe ki khatir Roza rakhta hai to usne Shirk Kiya aur Jo Shaks dikhlawe ke liye Sadqa karta hai to usne Shirk Kiya
--------
رسول اللہ ﷺ نے فرمایا جو شخص دکھلاوے کی خاطر نماز پڑھتا ہے تو اس نے شرک کیا ، جو شخص دکھلاوے کی خاطر روزہ رکھتا ہے تو اس نے شرک کیا ، اور جو شخص دکھلاوے کی خاطر صدقہ کرتا ہے تو اس نے شرک کیا
--------
Narrated by Shaddad Bin Aws Radi Allahu Anhu that Rasool-Allah Sallallahu Alahai Wasallam said, The one who prays and wants people to see them has committed shirk. The one who fasted and they want the people to know about their fasting has committed shirk. The one who gave sadaqah (charity) and wants people to know about their charity has committed shirk.
---------
Mishkat , Jild 4, 1260-Hasan
Baihiqi,  Shuab Al Imaan 6340-Hasan

Jab main Beemar hota hu to wohi (Allah) mujhe Shifa deta hai





Bismillahirrahmanirrahim

وَإِذَا مَرِضتُ فَهُوَ يَشْفِينِ
-----
Jab main Beemar hota hu to wohi (Allah) mujhe Shifa deta hai
-----
جب میں بیمار ہوتا ہوں تو  وہی (الله) مجھے شفا  دیتا ہے
-----
When I am ill, it is He (Allah) who cures me.
-----
Surah Ash-Shuraa: (26:80)

Friday 24 April 2020

10 Ghulam Aazad, 100 Buraii mita di jayegi, 100 Nekiyn likh di jayegi aur




Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : 10 Ghulam Aazad, 100 Buraii mita di jayegi, 100 Nekiyn likh di jayegi aur….

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jis ne ye kalma

لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

 “La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in qadir"  

Din mein 100 martaba Parh liya usey 10 ghulamo ko Aazad karney ka sawab milega, aur uskey liye 100 Nekiyan likhi jayegi aur uski 100 buraeeyan mita di jayegi aur us din wo sham tak ke liye shaitan ke shar(buraii) se mehfooz rahega aur koi shaksh us din us se behtar kaam karney wala nahi samjha jayega siwa uskey jo us sey ziyada karey.

Sahih Bukhari, Vol7, 6403
---------------------------------------
English Translation:
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said," Whoever says: "La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in qadir," one hundred times will get the same reward as given for manumitting (freeing) ten slaves; and one hundred good deeds will be written in his accounts, and one hundred sins will be deducted from his accounts, and it (his saying) will be a shield for him from Satan on that day till night, and nobody will be able to do a better deed except the one who does more than he

Sahih Bukhari, Vol 8, Book 75, No. 412

Naye chand ko dekhkar padhne ki dua









Bismillahirrahmanirrahim

Naye chand ko dekhkar padhne ki dua

اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه هِلالُ رُشْدٍ وخَيْرٍ
--------------
Talha bin Ubaidullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam jab chand dekhte to ye dua padhte

Allahumma ahillahu alaina bil-amni wal-iman, was-salamati wal-Islam, Rabbi wa Rabbuk-Allah, Hilalu rushdin wa khairin
Tarjuma: Eh Allah hum par is chand ko khair , imaan , salamati aur islam ke saath tulu farma (Eh chand) mera aur tera RAB Allah hi hai, ye chand hidayat aur khair wala ho
Jamia Tirmidhi, Vol 2, 1376-Hasan
--------------
तल्हा बिन अब्दुल्लाह रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैही वसल्लम जब चाँद देखते तो ये दुआ पढ़ते 
अल्लहुम्मा अहिल्लाहू अलैना बिल-अमनि वल-ईमान, वस-सलामती 
वल-इस्लाम, रब्बी वा रब्बुक-अल्लाह, हिलालू रुश्दिन व ख़ैरीन
तर्जुमा : एह अल्लाह हम पर इस चाँद को खैर , ईमान , सलामती और इस्लाम के साथ तुलु फरमा, (एह चाँद) मेरा और तेरा रब अल्लाह ही है, ये चाँद हिदायत और खैर वाला हो
जामी तिरमिज़ी , जिल्द 2, 1376-हसन
--------------
طلحہ بن عبد اللہ رضی الله انہو سے روایت ہے کی رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم جب چاند دیکھتے تو یہ دعا پڑھتے 
اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه هِلالُ رُشْدٍ وخَيْرٍ
اے اللہ ہم پر اِس چاند کو خیر ، ایمان ، سلامتی اور اسلام كے ساتھ طلوع فرما ( اے چاند) میرا اور تیرا رب اللہ ہی ہے ، یہ چاند ہدایت اور خیر والا ہو 
١٣٧٦ - حسن جامہ ترمزی جلد ٢ حدیث 
--------------
Bismillahirrahmanirrahim

Dua:At the sight of the new Moon
--------------------------------
Narrated Talhah bin Ubaidullah Radi Allahu Anhu At the sight of the new moon, the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam used to supplicate:

اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه هِلالُ رُشْدٍ وخَيْرٍ
Allahumma ahillahu alaina bil-amni wal-iman, was-salamati wal-Islam, Rabbi wa Rabbuk-Allah, Hilalu rushdin wa khair

O Allah, let this moon appear on us with security and Iman; with safety and Islam. (O moon!) Your RAB and mine is Allah, May this moon be bringing guidance and good
Jamin Tirmidhi, Book 9, 1228-Hasan

Allahumma Salli Ala Muhammed




Bismillahirahmanirrahim

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّد

Allahumma Salli Ala Muhammed
----
Eh Allah Rahmat nazil farma Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam par 
--------
اے الله رحمت نازل فرما محمد صلی علیہ وسلم پر 
-------
 एह अल्लाह रहमत नाज़िल फरमा मुहम्मद सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  पर
-----
Oh Allah send blessings on Prophet Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Ramadan Nasheed - Shukran YA RABBI


Ramadan Check List

✅ Ramadan Check List ✅

Try to make all the following deeds your routine during these days of Ramadan.


1️⃣ Fasting

(The fast in which you're going to abandon backbiting, lying, immoral talk and listening, watching or uttering immodesty along with abandoning eating and drinking.)


2️⃣ Obligatory Prayers:

▪️Fajr
▪️Duhr
▪️Asar
▪️Maghrib
▪️Isha

(Try to offer all the five prescribed prayers at their prefferable time, which is the first time (right after the call of prayer) for rest of the four prayers, but as for Isha, if you are not praying it in congregation, the best time to offer it is the first third of the night.)


3️⃣ Voulantary (Nawafil) Prayers:

▪️12 Rakah Sunan al- Rawatib (Sunnah Mu'akkadah)

(four before the Zuhr, two Rak’ah after Zuhr, two Rak’ah after Maghrib, two Rak’ah after the ‘Isha’ and two Rak’ah before Fajr.)

▪️Duha (Chasht/ Ishraq/ Awabeen)

▪️Night Prayer (Taraweeh/ Qiyam-al-Layl/ Tahajjud)

♦️ Note: Taraweeh, Qiyyam al-Layl and Tahajjud are the different names of the same prayer. It can be prayed anytime after isha till the fajr starts. It's masnoon (sunnah) rakahs are 8 but you can pray more or less than this according to your ease.

Chasht, Ishraq, and Awabeen are the different names of the same prayer, The time for this prayer begins when the sun has risen to the height of a spear, which is fifteen or twenty minutes after sunrise, until just before the dhuhr prayer begins. The masnoon (sunnah) number of its rakahs is 4 but you can pray less or more than this according to your ease.

Every Voulantary prayer should be prayed two by two. (Say tasleem after every 2 rakahs).


4️⃣ Quran:

▪️Recitation (Try to recite at least one chapter (para) of the Qur'an daily, so that your Qur'an may completed in Ramadan.)

▪️Reading with understanding: (Translation & Tafseer)

▪️Memorization (Hifz): (Memorize some part of the Qur'an daily, either it's the small surahs or a few verses from any Surah, and the best and easy way to revise them is to recite them in your prayers, i.e. recite them after reciting Surah Al-Fatihah so that they may get saved in your long term memory)

▪️Recitation of Surah Al-Mulk and Surah Al-Sajdah before sleeping at night.


5️⃣ Adhkar (Supplications):

▪️Morning & Evening Adhkar
▪️Adhkar before sleeping at night
▪️Adhkar after each obligatory prayer

(All the Dua's (supplications) among these Adhkar are proved from the sunnah, making these supplications hold different rewards mentioned in different ahadeeth, and you can get saved from different evils by making these supplications.)

♦️For Adhkar, install the following apps:

🔗 Hisnul Muslim: https://play.google.com/store/apps/details?id=com.admads.android.HisnulMuslim_Google_JQM

🔗 Wa Iyyaka Nastaeen: https://play.google.com/store/apps/details?id=com.alhuda.duas.iyykanastaeen


6️⃣ Duas:

During Ramadan when you make your own supplications, try to make Duas present in Qur'an and Sunnah. Especially in the last hour of the night and at the end of tash'hud (after reciting darood) in Salah (prayer), these are the times of acceptance of Dua. If you haven't memorized the duas from Qur'an and Sunnah, try to memorize them (if you can put efforts in worldy matters, your akhirah is more deserving of your efforts). Enough duas are mentioned in the apps aforementioned.


7️⃣ Dhikr

The following dikhrs are mentioned in ahadeeth, and they hold great rewards.

▪️ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ

▪️ سُبْحَانَ اللَّهِ (100 times)

▪️ الْحَمْدُ لِلَّهِ

▪️ اللَّهُ أَكْبَرُ

▪️ سُبْحَانَ اللَّهِ وَبِحَمْدِهِ (100 times)

▪️ لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّهِ

▪️ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ ، لَهُ لَهُ الْمُلْكُ ، وَلَهُ الْحَمْدُ ، وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ (100 times) 

▪️ أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لَا إِلَهَ إِلَّا هُوَ الْحَيَّ الْقَيُّومَ وَأَتُوبُ إِلَيْه

▪️ سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ

▪️ سُبْحَانَ اللَّهِ وَبِحَمْدِهِ ، سُبْحَانَ اللَّهِ الْعَظِيمِ

▪️ قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ • اللَّهُ الصَّمَدُ • لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ • وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ • (10 times)

▪️ اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ • اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ

♦️ Note: Only those dhikr's specific number of recitation is mentioned, whose numbers are found in ahadeeth with different virtues. So apart from those you can make dhikr according to your ease.

Thursday 23 April 2020

Ramadan mein sawab ki niyat se kaunse amal hai jis se bande ke pichle tamam gunah maaf hote hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai!

Sawal: Ramadan mein sawab ki niyat se kaunse amal hai jis se bande ke pichle tamam gunah maaf hote hai? 

A: Raat mein qayam karna 
B: Zakat ada karne per 
C: Lailatul qadr mai qiyaam karna
D: Kisi ko roza Iftar karwana
E: Roza rakhna
F: Ramadan ke Akhri ashare mein Umrah karne per 
G: Sehri khana

H: Sahi Jawab ka Intezaar

***********

Sahi Jawab - ACE✅

Ramadan mein jisne sawab ki niyat se yh amal kiye toh uske pichle tamam gunah maaf hojate hai

📚Reference:
------
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : ”jis ne ramadaan mein imaan ke sath sawab ki niyat se roza rakha, is ke pichlle gunah bakhash diye jayen ge “ .
------
It was narrated from Abu Hurairah that the Prophet (ﷺ) said: "Whoever fasts in Ramadan out of faith and in the hope of reward, he will be forgiven his previous sins." '
-------
رسول اللہ (ﷺ) نے فرمایا: ”جس نے رمضان میں ایمان کے ساتھ ثواب کی نیت سے روزہ رکھا، اس کے پچھلے گناہ بخش دئیے جائیں گے“۔ 
------------------------
Sahih Hadees
Reference : Sunan an-Nasa'i 2203
In-book reference : Book 22, Hadith 114 
English translation : Vol. 3, Book 22, Hadith 2205
--------
Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya : ”jis ne ramadan mein rozay rakhay, ( aur kitaab ki riwayat mein hai ke) Nabi (ﷺ) ne farmaya : ”jis ne ramadan ke maheena mein Emaan ke sath sawab ki niyat se qiyam ul lail kiya, yani namaz taraweeh parhi, is ke pichle gunah bakhash diye jayen ge, aur jo shabe qadr mein imaan ke sath sawab ki niyat se qiyam ul lail kiya, yani namaz taraweeh parhi, is ke ( bhi ) pichle gunah baksh diye jayen ge “ .
--------
Abu Hurairah narrated that: The Messenger of Allah Nabi (ﷺ) said: "Whoever stands (in the voluntary night prayer of) Ramadan out of faith and in the hope of reward, his previous sins will be forgiven. And whoever spends the night of Lailat Al-Qadr in prayer out of faith and in the hope of reward, his previous sins will be forgiven.
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جس نے رمضان میں روزے رکھے، ( اور قتیبہ کی روایت میں ہے کہ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جس نے رمضان کے مہینہ میں ایمان کے ساتھ ثواب کی نیت سے قیام اللیل کیا، یعنی نماز تراویح پڑھی، اس کے پچھلے گناہ بخش دئیے جائیں گے، اور جو شب قدر میں ایمان کے ساتھ ثواب کی نیت سے قیام اللیل کیا، یعنی نماز تراویح پڑھی، اس کے ( بھی ) پچھلے گناہ بخش دئیے جائیں گے“۔
-------
Sahih Hadees
Reference : Sunan an-Nasa'i 5027
In-book reference : Book 47, Hadith 43
English translation : Vol. 6, Book 47, Hadith 5030

Ramadan Mubarak GIF greetings













Ramadan Mubarak Nasheed We welcome oh Ramadan


Ramadan Greeting with beautiful Nasheed Shukran YA RABBI


Ramadan Nasheed - We Welcome you oh Ramadan


Ramadan Greetings


















Tuesday 21 April 2020

Mahfhum e hadith ke mutabiq wo kaun hai jiske kaan se le kar kaandhey taq ka fassla saat so saal ki masafat ka hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfhum e hadith ke mutabiq wo kaun hai jiske kaan se le kar kaandhey taq ka fassla saat so saal ki masafat ka hain?

✒️📚 Apna jawab khud likhe______

H: Sahi JawAab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - Arsh ko uthany wale farishton mein se ek Farishta  ✅

Reference📚:
------
Jabir RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke mujhe ijazat di gayi hai ke Allah Subhanahu taala ke arsh ko uthany wale farishton mein se ek farishte ke baare mein batao, is ke kaan se le kar kaandhey taq ka faasla saat so saal ki masafat ka hai.
----
جابر‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: مجھے اجازت دی گئی ہے کہ اللہ تعالیٰ کے عرش کو اٹھانے والےفرشتوں میں سے ایک فرشتے کے بارے میں بتاؤں ،اس کے کان سے لے کر کاندھے تک کا فاصلہ سات سو سال کی مسافت کا ہے۔
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3090

Momeen ka wo kaun kaunsa amal hai jiske karne wale ko maut ke baad bhi uske liye sadqa e jariya ya Eesal-e-sawab ka zariya ban jata hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Momeen ka wo kaun kaunsa amal hai jiske karne wale ko maut ke baad bhi uske liye sadqa e jariya ya Eesal-e-sawab ka zariya ban jata hain?

A: wo ilm jis se log fahida utaye
B: neik aulad ka jo uske liye dua kare
C: Aulad ka apne waledain ke liye sadqa karna
D: koi darakhta lagana aur fir logo ka yh janwar ka usse fahida uthana 
E: Waledain ke liye uske faut hone ke baad hajj karna 
F: Raah-e-khuda mein tainati ki halat mein faut hona 
G: Aulad ka apne walidain ke liye astagfar karna
H: padosi se husn suluk karna

I: Sahi Jawab ka Intezaar

*******************

Sahi Jawab - ABCDEFG✅

Reference📚:
------
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jab koi insan mar jata hai to uska amal moquf ho jata hai (ruk jata hai) magar ten cheezon ka sawab jari rahta hai ek sadqa e jariya ka, dusra wo ilm jis se log fayda uthaye, teesra neik bachche ka jo uske liye dua kare
Sahih Muslim, Vol 4, 4223
-------
Sad bin 'Ubada Radhi allahu anhu ki Maa ka jab inteqal hua to wo unki khidmat mein mojud nahi they unhoney aakar Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se farmaya, ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam meri walida ka jab inteqal hua to main unki khidmat mein hazir nahi tha, agar main koi cheez sadqa karu to us sey unhey fayda pahunch sakta hai Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan, unhoney kaha main Aapko gawah banata hun mera Makhraf naam ka baag unki taraf se sadqa hai.
Sahih Bukhari, Vol 4, 2756
---------
Anas Bin Malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar koi musalman koi darakht lagata hai aur is darakht se koi insaan ya janwar khata hai to lagane wale ke liye wo sadqa hota hai(yani jab tak koi isme se khayega sadqe ka sawab milta rahega)
Sahih Bukhari, Vol 7, 6012
----------
 Ayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki ek shaksh aaya aur usney Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se pucha ki meri Maa achanak mar gayee aur waseeyat na kar saki, agar wo bolti to jarur sadqa deti, ab agar main Uski taraf se sadqa du to kya usey Sawab hai ? Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya HAAN
Sahih Muslim, Vol 3, 2326
----------
Ibn Abbbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek aurat ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se apni walid ke bare mein pucha jiska inteqal bagair hajj kiye ho gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum unki taraf se hajj karo
Sunan Nasaii, Vol 2, #545 -Sahih
-----------
Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek shaksh ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se farmaya ki mere walid ki wafat ho gayi aur wo hajj nahi kar sakey , kya main unki janib se hajj kar sakta hu, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar tumhare walid sahib par karz hota to kya tum unki taraf se wo karz ada kartey ? usney kaha ji haan to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir Allah subhanahu ka karz ada karney ka haq zyada hai
Sunan Nasaii, Vol 2, 550 -Sahih
-------------
Umma Aayesha Radhi allahu anhu se rivayat hai ki ek shakhsh ne Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam se pucha ki Meri Maa ka achanak inteqal ho gaya aur mera khayal hai ki agar unhein baat karney ka moka milta to wo kuch na kuch khairat karti ,agar main unki taraf se kuch khairat karu to kya unhein iska sawab milega ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya , Haan milega 
Sahih Bukhari , Vol 2, 1388 
------------
Abu Hurairah Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo raah-e-khuda mein tainati ki halat mein is duniya se gaya to jo bhi ( achcha) amal wo karta tha ALLAH subhanahu uska ajar jaari farma dega aur Allah iska rizq bhi (Qabr mein) jari farma dega Aur wo Qabr ki aazmayeesh se mehfooz rahega aur ALLAh usey qayamat ke roz har tarah ke khauff aur ghabrahat se mutmaeen uthayega 
Sunan ibn Majah, Vol 2, 924-Sahih
----------
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jannat mein mard ka darja buland kar diya jata hai to wo arz karta hai ye kaise hua irshad hota hai ki tumhare Aulad ke tumhare haq mein astigfar ke sabab.
Sunan Ibn majah, Jild 3, 541-Hasan

wo kaun log honge jo roze qayamat Jannat ki khusboo bhi nahi payege?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai!

Sawal: wo kaun log honge jo roze qayamat Jannat ki khusboo bhi nahi payege?

A. Namaz mein dairi karne wale
B. Neik kaamo se rokne wale
C. Burey kaam karne ko kahne wale
D. Zina karne wale mard
E.  Naqli baal lagane wali aurtein
F.  Khula lene wali aurtein
G. Aisa shaqs jo duniyawi maal hasil karne ke liye ilm seekhe
H. Apne imamo ko qatl karne wale
I. Allah ki raah mein kharch nahi karne wale

J: Sahi Jawab ka intezaar

*****************

Sahi Jawab - FG✅

Reference📚:
------
Abu Huraira Radi Allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shaks aisa ilm jis ke zariye Allah Subhanahu ki razamandi hasil ki jaati hai, mahaz duniya ka maal wa matta hasil karne ke liye seekhta hai toh wo roze qayamat jannat ki khushboo bhi nahi payega.

Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 227
---------
Soban Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya khula (talaq) lene wali aurtein munafiq hain. Jo aurtein apne shohar se bina kisi wajah se khula (talaq) leti hain wo jannat ki khushbu bhi nahi paa sakegi

Jamia Tirmizi, Jild 1 , #1188, 1189-Sahih

Ek baar RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam bahar tashreef laaye toh dehka kuch log guftagu kar rahe hai uss guftagu ko sunne par RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam ka chehara mubarak ghusse se surkh hogya jaise koi anaar ka dana unke chehray par phatt gaya..

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam bahar tashreef laaye toh dehka kuch log guftagu kar rahe hai uss guftagu ko sunne par RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam ka chehara mubarak ghusse se surkh hogya jaise koi anaar ka dana unke chehray par phatt gaya..

Sawal: wo guftagu kya thi jiss se sunkar RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam ka chehara mubarak surkh hogaya tha?

A: Gaib ke Ilm ke baare mein
B: Taqdeer ke baare mein
C: Qayamat ke baare mein
D: Nabiyo ki wirasat ke baare mein
E: Mairaj mein Allah ke deedar ke baare mein
F: Har saal Hajj karne ke baare
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

************

Sahi Jawab - B✅

Reference📚:
------
Syedna Abdullah bin Umro bin Aas RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam ek din bahar tashreef laaye aur log taqdeer ke mauzo par guftagu kar rahay thy Aap Sallalahu Alaihi Wasallam ko itna gussa aaya ke yun laga ke aanar ka dana aap Sallalahu Alaihi Wasallam ke chehray par phatt gaya hai ( yani ghusse se chehra surkh ho gaya ), phir App Sallalahu Alaihi Wasallamny farmaya tumhe kya ho gaya hai, Allah taala ki kitaab ke ek hissay ko dusray se takra rahay ho, isi wajah se tum se pehlay walay log halaak ho gaye. Syedna Abdullah ny kaha jis majlis mein RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam hotay they, is mein haazir nah honay ka itna rashk kabhi nahi huwa tha, jo is majlis ke baaray mein huwa ke kash mein is mein mojood nah hota ( taakay aap ‌Sallalahu Alaihi Wasallam ke ghusse ka misdaaq ban'nay se bach jata
----
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 228

Kaunse shaqs ke liye farmaya gaya hai ke uska sawab us Haji ke sawab ki tarah hai jiska hajj mukammal hogaya ho?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse shaqs ke liye farmaya gaya hai ke uska sawab us Haji ke sawab ki tarah hai jiska hajj mukammal hogaya ho?

A. Kisi Musalman ki madada ke liye jana 
B. Khair ki baat sikhne ya shikhane ke liye masjid jana 
C. Farz namaz ke liye ghar se wudhu karke nikalna 
D. Maa Baap ki khidmat karna 
E. Khauff ke waqt Allah ki raah mein ek raat pahra dena 
F. Chasht ki 2 rakat namaz padhna 
G. Jo kisi mujahid ke ghar ki dekh bhal kare
H. Inmein se koi nahi

I. Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar apka jawab "H" hai toh apna jawab likhiye

*********************
Sahi Jawab – B✅

Reference📚:

RasoolAllah SalAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh sirf khair ki baat sikhne ya sikhane ke liye masjid mein jaye to uska sawab us haji ke sawab ki tarah hai jiska hajj mukammal ho gaya ho
-------
RasoolAllah salalahu alaihi wasallam  said  Whoever goes to the Masjid just to learn goodness or teach others, then he will have a reward as if he has completed the Hajj pilgrimage.
-------
رسول الله صلی علیہ وسلم نے فرمایا جو شخص صرف خیر کی بات سیکھنے کے لئے مسجد میں جاۓ تو اس کا ثواب اس حاجی کے ثواب کی طرح ہے جس کا حج مکمّل ہو گیا ہو 
-------
Al Mu'jam Al Kabir, Tabarani, 7346-Sahih

wo kaun hain jinhe Qayamat ke din Allah Subhanahu paak karke uthayege.

❗ Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: wo kaun hain jinhe Qayamat ke din Allah Subhanahu paak karke uthayege.

A: Jo Ilm seekhe aur amal bhi kare
B: Jo kisi marz mein mubtila ho aur ussi mein faut hojaye
C: Jo kisi mulk mein ho aur achanak hadase wali maut mein faut hojaye
D: Jo kisi tangdast ki madad kare
E: Jo apne gunaho se darta ho aur tauba karta ho
F: Jo kisi marz mein ho aur fir bhi sabr kare
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*******
Sahi Jawab - B✅

Reference📚;
-----
Abu Umaima Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke agar koi (momin) bandah kisi marz mein mar jata (pachhar diya jata) hai toh Allah Subhanahu taala usay is se gunaaho se pak karkay uthaye ga.
----
ابو امامہ رضی اﷲ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: اگر کوئی( مومن) بندہ کسی مرض میں مر جاتا (پچھاڑ دیا جاتا)ہے تو اﷲ تعالیٰ اسے اس سے گناہوں سے پاک کرکے اٹھائے گا۔
----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3304

kisi shaqs ko aapas mein mil jol kara dena yahi sulaa kara dene se insaan darje mein kaunse se amal ke barabar hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hai!

Sawal: kisi shaqs ko aapas mein mil jol kara dena yahi sulaa kara dene se insaan darje mein kaunse se amal ke barabar hain?

A: Shaheed
B: parezgaari
C: Roze
D: Hajj
E: Sila Rehmi
F: Namaz
G: Zakat

H: Sahi Jawab ka Intezaar

************

Sahi Jawab - CFG✅

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya mein tumhe woh baat na batau jo darje mein roze, namaz aur zakat se barh kar hai? logon ne kaha kyun nahi, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya aapas mein mil jol kara dena, aur aapas ki ladai aur phoot to sir mondne wali hain.
-----
Narrated AbudDarda': The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: Shall I not inform you of something more excellent in degree than fasting, prayer and almsgiving (sadaqah)? The people replied: Yes, Prophet of Allah! He said: It is putting things right between people, spoiling them is the shaver (destructive).
-----
Sahih Hadees
Sunan Abi Dawud 4919

Mahfum e hadith ke mutabiq Faristah insan ke liye kab ek burai likh deta hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfum e hadith ke mutabiq Faristah insan ke liye kab ek burai likh deta hain?

A: Jab wo namaz nahi padta
B:  Jab wo gunah ya khata kar ne par tauba nahi karta
C: Jab wo ristedaar se qata taluq kar leta hai  
D: sood ka maal jab tak uske pass rehta hai
E: Jab farz roze nahi rakhta
F:  Jab zakat adda nahi karta
G:  Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Agar jawab G hai toh apna sahi jawab likhiye

***************

Sahi Jawab - B✅

Reference📚:
----
Abu Imama RadiAllahu Anhu se riwayat hai je baye baazu wala Farishta chay ghariyaan musalman khatakaar ya Gunah gaar bande se qalam utahe rakhta hain, agar wo sharmsaar hojaye aur tauba karle to qalam rakh deta hai  warna ek burai likh deta hain
----
ابو امامہ  رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: بائیں بازو والا فرشتہ چھ گھڑیاں مسلمان خطاکار یا گناہ گار بندے سے قلم اٹھائے رکھتا ہے، اگر وہ شر مسار ہو جائے، اور توبہ کرلے تو قلم رکھ دیتا ہے، وگرنہ ایک برائی لکھ دیتا ہے
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3121

Momeen jab Jannat mein jayega toh uske amal ke wajah se usse kaun kaunse inaamat diye jayege

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain!


Sawal: Momeen jab Jannat mein jayega toh uske amal ke wajah se usse kaun kaunse inaamat diye jayege

A: Hamesha zinda rahenge
B: kabhi budha nahi honge
C: Hamesha sehat mand rahenge
D: Hamesha khush rahega
E: Hamesha jawan rahenge
F: kabhi maut nahi ayegi
G; Jannat ke waris bana diye jayenge 
H: kabhi takleef nahi dekhenge
I: kabhi beemar nahi honge

J: Sahi Jawab ka intezaar

*****************

Sahi Jawab - ABCDEFGHI✅

Reference📚:
--------
Hazrat Abu Saeed Khudri RadiAllahu Anhu  aur Abu Huraira Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu  Alaihi Wasallam ne farmaye Ek Eean karne wala Elan karega yaqeenan tumare liye yh Inaam bhi hain ke tum Hamesha sehat mand rahoge kabhi beemar nahi honge hamesha zinda rahoge kabhi Maut nahi aayegi hamesha Jawan rahoge kabhi Budhe nahi honge hamesha Khush rahoge kabhi Takleef nahi dekhoge Yehi Allah Subhanahu ka farman hain aur Inhe Nida de kar kaha jaega yehi tumhari Jannat hain jo tumare Amal ke wajhe se jo tum karte rahe waris bana diye gayee
-----
حضرت ابو سعید خدری اور حضرت ابو ہریرہ رضی اللہ تعالیٰ عنہما سےروایت کی ، انھوں نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے روایت کی کہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : ایک اعلان کرنے والااعلان کرے گا ۔ یقیناًتمھارے لیے یہ ( انعام بھی ) ہے کہ تم ہمیشہ صحت مند رہو گے ۔ کبھی بیمار نہ پڑوگے ، اور یہ بھی تمھارے لیے ہے کہ زندہ رہوگے ۔ کبھی موت کا شکار نہیں ہو گے ۔ اور یہ بھی تمھارے لیے ہے کہ جوان رہو گے ۔ کبھی بوڑھے نہ ہوگے ۔ اور یہ بھی تمھارے لیے ہے کہ ہمیشہ ناز و نعم میں رہوگے ۔ کبھی زحمت نہ دیکھو گے ۔ یہی اللہ عزوجل کا فرمان ( واضح کرتا ) ہے : اور انھیں ندادے کرکہاجائے گاکہ یہی تمھاری جنت ہے جس کے تم ان اعمال کی وجہ سے سے جو تم کرتے رہے وارث بنا دیے گئے ہو ۔ 
------
Sahih Hadees
Sahih Muslim Hadees # 7157

inmein wo kya hai joh har musalman ke liye shahadat hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: inmein wo kya hai joh har musalman ke liye shahadat hain?

A: Musalman ki maddat ke liye gahr se nikale aur rasste mein faut hojaye
B: Achanak faut hone wale
C: Juma ke din faut hone wale
D: Musalman  ki aayadat ke liye nikale aur rasste mein faut hone wala
E: hadase wali maut
F: Fitne ke daur mein sabr karne wale
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar apka jawab "G" hai toh sahi jawab likhiye

****************

Sahi Jawab - G✅

Ta'uoon mein faut hona har musalmaan ke liye sahadat hai

Reference📚:
-------
Yahya bin Sayreen RadiAllahu Anhu ka kisi beemari mein inteqaal huwa tha. mein ne kaha ke ta'oon mein, bayan kiya ke Rasool- Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya ke ta'uoon har musalman ke liye shahadat hai.
------
Narrated Anas bin Malik: Allah's Apostle said, (Death from) plague is martyrdom for every Muslim. 
-------
 یحییٰ بن سیرین کا کس بیماری میں انتقال ہوا تھا۔ میں نے کہا کہ طاعون میں، بیان کیا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ طاعون ہر مسلمان کے لیے شہادت ہے۔ 
------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 5732

Kaunse shaks ke liye farmaya gaya hai ke Allah ki taraf se wo nuqsaan, hasrat aur nedamat mein se hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai!

Sawal: Kaunse shaks ke liye farmaya gaya hai ke Allah ki taraf se wo nuqsaan, hasrat aur nedamat mein se hain

A: Budhape mein apne maa baap ki khidmat na kare
B: jo kisi jagah baithe aur Allah ka zikr na kare
C: Jo jhoothi kasam kha kar apna maal beche
D: Jo Musalmano ki Jammat se door hojaye
E: jo bistar par sone jaaye aur Allah ka zikr na kare
F: Jo Quran ko khubsurti se na padhe
G: Jo Logo ko achchi baat ka hukm na kare

H: Sahi Jawab ka Intezaar

************

Sahi Jawab - G✅

Jis jagah wo tehra ho aur waha Tauoon ki waba phail jaye aur woh waha se bhaag jaye toh goya aisa hai jaise woh maidan e jung se bhaag gaya ho

Reference📚:
----------
Sayeda Aisha RadiAllahu Anhu bayan karti hain ke Nabi kareem ‌Sallalahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri ummat tana zani aur tauoon se fanaa hogi. Mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallalahu Alaihi Wasallam tana zani ko to hum jantay hain, tauoon se kya murad  hai, Aap Sallalahu Alaihi Wasallam ne farmaya : tauoon mein insaan ki gardan mein oont ki gilty ki manind gilty nikalti hai, jo aadmi is taoon mein thehra raha, woh shaheed ki manind hai aur jo is se bhaag gaya, woh maidan jung se bhagnay walay ki manind hai
--------------
 ۔ سیدہ عائشہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہا بیان کرتی ہیں کہ نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: میری امت طعنہ زنی اور طاعون سے فنا ہوگی۔ میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! طعنہ زنی کو تو ہم جانتے ہیں، طاعون سے کیامراد ہے، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: طاعون میں انسان کی گردن میں اونٹ کی گلٹی کی مانند گلٹی نکلتی ہے، جو آدمی اس طاعون میں ٹھہرا رہا، وہ شہید کی مانند ہے اور جو اس سے بھاگ گیا، وہ میدان جنگ سے بھاگنے والے کی مانند ہے۔ 
---------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 7806

Kaunse shaks ke liye farmaya gaya hai ke Allah ki taraf se wo nuqsaan, hasrat aur nedamat mein se hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai!

Sawal: Kaunse shaks ke liye farmaya gaya hai ke Allah ki taraf se wo nuqsaan, hasrat aur nedamat mein se hain

A: Budhape mein apne maa baap ki khidmat na kare
B: jo kisi jagah baithe aur Allah ka zikr na kare
C: Jo jhoothi kasam kha kar apna maal beche
D: Jo Musalmano ki Jammat se door hojaye
E: jo bistar par sone jaaye aur Allah ka zikr na kare
F: Jo Quran ko khubsurti se na padhe
G: Jo Logo ko achchi baat ka hukm na kare

H: Sahi Jawab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - BE✅

Reference📚;
-------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke jo shakhs kisi jagah baitha aur Allah ka zikar nahi kiya toh is par Allah ki taraf se nuqsaan, hasrat aur nedamat hai aur jo shakhs bistar par layta aur Allah ka zikar nahi kiya to iss par Allah ki taraf se nuqsaan, hasrat aur nedamat hain
-------
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ  سے مرفوعا مروی ہے کہ: جو شخص کسی جگہ بیٹھا اور اللہ کا ذکر نہیں کیا تو اس پر اللہ کی طرف سے نقصان، حسرت اور ندامت ہے اور جو شخص بستر پر لیٹا اور اللہ کا ذکر نہیں کیا تو اس پر اللہ کی طرف سے نقصان، حسرت اور ندامت ہے
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2980

wo kaunsa gunah hain jisko karne wale ko duniya mein bhi jaldi saza di jati hai aur akhirat mein bhi iss ke liye saza ka intezam (bandobast) hoga?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaiyda hai

Sawal: wo kaunsa gunah hain jisko karne wale ko duniya mein bhi jaldi saza di jati hai aur akhirat mein bhi iss ke liye saza ka intezam (bandobast) hoga?

A: Tane dene wala
B: Ehsan jatane wala
C: Sarkashi karne wala
D: Jhoot bolne wala
E: Hasad karne wala
F: Qata Rehami karne wala
G: Na insafi karne wala

H: Sahi Jawab ka Intezaar

**************************
Sahi Jawab - CF✅

Reference📚:
-----
Abu Bakr RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Sirkashi aur Qata Rehami se barh kar koi gunah aisa nahi jis ke karne wale ko Allah Subhanahu ta’ala jald he duniya mein saza de aur is ke sath sath Akhirat mein bhi is ke liye saza ka bandobast ho.
------
ابو بکرہرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مردی ہے کہ: سر کشی اور قطع رحمی سے بڑھ کر کوئی گناہ ایسانہیں جس کے کرنے والے کو اللہ تعالیٰ جلد ہی دنیا میں سزا دے اور اس کے ساتھ ساتھ آخرت میں بھی اس کے لئے سزا کا بندوبست ہو۔
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 167

Quran ki ayat ka tarjuma Khabardar Allah ke doston par na koi khauf hoga aur na wo ghamgeen honge

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Quran ki ayat ka tarjuma Khabardar Allah ke doston par na koi khauf hoga aur na wo ghamgeen honge

Sawal: iss qoul se murad wo kaun log hai?

A: Jo apne waledain ke farmabadari karte hain
B: Jo apna karz behtar tareeqe se adda kare
C: Jo Quran sheeke aur dusro ko bhi sheekaye
D: Jine dehk kar Allah ki yaad ajaye
E: Jo zaida astagfar padhte ho
F: Jo apne namazo ki nigebani karte ho
G: Jo ziyada sadqa karte hain
H: Jiski Umar lambi ho aur aamal naik ho
I: Inmein se koi nahi

J: Sahi Jawab ka intezaar

************

Sahi Jawab - D✅

Reference📚:
---------
Abdulah bin Abbas RadiAllahu Anhu Nabi Sallalahu Alaihi wasallam se Allah taala ke is qoul ke baarey mein riwayat karte hain : ( الآان اوْلیآء اﷲ لاخوْف علیْھمْ ولاھمْ یحْزنوْن. ) khabardaar Allah ke doston par nah koi khauf hoga aur nah woh ghamgeen honge, kehte hain ke yeh woh log hain jinhein dekh kar Allah yaad aajay
-------
عن ابن عباس عن النبی  صلی اللہ علیہ وسلم : فی قولہ:(اَلَآاِنَّ اَوْلِیَآءَ اﷲِ لاَخَوْفٌ عَلَیْھِمْ وَلَاھُمْ یَحْزَنُوْنَ۔)(یونس) قال: ھم الذین یذکراللہ لرؤیتھم۔
--------
عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہا نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌سے اللہ تعالیٰ کے اس قول کے بارے میں روایت کرتے ہیں: (اَلَآاِنَّ اَوْلِیَآءَ اﷲِ لاَخَوْفٌ عَلَیْھِمْ وَلَاھُمْ یَحْزَنُوْنَ۔) خبردار اللہ کے دوستوں پر نہ کوئی خوف ہوگا اور نہ وہ غمگین ہوں گے، کہتے ہیں کہ یہ وہ لوگ ہیں جنہیں دیکھ کر اللہ یاد آجائے۔
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2986

Deen kab tak ghalib rahega

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Deen kab tak ghalib rahega

A: jab tak log tauba karte rahenge
B: jab tak dajjal ka nuzul na hojaye
C; jab tak qalma sahadat  ki gawahi dete rahenge
D: jab tak Qayamat na aajaye
E: jab tak sila rehmi qayam rahenge
F: jab tak logo ke dil mein Eman baki rahega
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar


"Note: Agar apka jawab "G"hai toh sahi jawab likhiye"❗


*****************

Sahi Jawab - G✅

Allah Subhanahu jab tak chahega Deen tab tak Ghalib rahega

Reference📚:
--------
Aisha RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke raat aur din is waqt taq khatam nahi honge jab taq laat aur uzzi ki ibadat na ki jaaney lagey, Aisha0 RadiAllahu Anhu ne kaha : Eh Allah ke Rasool! Mera khayaal tha ke jab Allah ta'ala ne yeh aayat nazil ki(Surah At Tawbah: 33) 
Woh zaat jis ne apne Rasool ko hidaayat aur deen haq de kar bheja taake usse tamam Adyan par ghalib kar de agarchay mushrikon ko yeh baat na pasand he kyun na ho“. to yeh maamla mukammal hogaya. Aap Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya jab taq Allah Subhanahu chahega yeh deen Ghalib rahega
------
عائشہ رضی اللہ عنہا سے مرفوعا مروی ہے کہ:رات اور دن اس وقت تک ختم نہیں ہوں گے جب تک لات اور عزی کی عبادت نہ کی جانے لگے، عائشہ رضی اللہ عنہا نے کہا: اے اللہ کے رسول! میرا خیال تھا کہ جب اللہ تعالیٰ نے یہ آیت نازل کی: (التوبۃ:۳۳)  ،”وہ ذات جس نے اپنے رسول کو ہدایت اور دین حق دے کر بھیجا تاکہ اسے تمام ادیان پر غالب کر دے اگرچہ مشرکوں کو یہ بات نا پسند ہی کیوں نہ ہو“۔ تو یہ معاملہ مکمل ہوگیا۔آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جب تک اللہ چاہے گا یہ دین غالب رہے گا۔
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2726

Ek sahabi ne Umar RadiAllahu anhu se ek aayat ke muttaliq kaha ke iss mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki wafat ki khabar ya ek misal hai.

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hai!

Ek sahabi ne Umar  RadiAllahu anhu se ek aayat ke muttaliq kaha ke iss mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki wafat ki khabar ya ek misal hai.

Sawal1. Wo sahabi kaun thy?

A. Ali RadiAllahu anhu 
B. Abu Hurairah RadiAllahu anhu 
C. Abu Ayyub Ansari RadiAllahu anhu 
D. Salman Farsi RadiAllahu anhu 
E. Maaz bin Jabal RadiAllahu anhu 
F: Ibne Abbas RadiAllahu anhu 
G. Inn mein se koi nahi

H  Sahi Jawab ka intezaar

Sawal2. Wo aayat kaunse surah ki hai?

A. Surah-Al-Baqra
B. Surah Naas
C. Surah fatiha
D. Surah Nasr
E. Surah waqia
F  Surah Falaq
G. Inmein se koi nahi

H  Sahi Jawab ka intezaar
**************

Sahi Jawab - FD✅

Reference📚:
-------
Umar RadiAllahu anhu ne boorhay badri sahaba se Allah taala ke irshad « إذا جاء «إذا جاء نصر الله والفتح‏ yani ”jab Allah ki madad aur fatah aa pahoochi“ ke mutaliq poocha to unhon ne jawab diya ke is se ishara bohat se shehron aur mulkon ke fatah honay ki taraf hai. Umar RadiAllahu anhu ne kaha : Ibn Abbas tumhara kya khayaal hai? Ibn Abbas RadiAllahu Anhu ne jawab diya ke iss mein Aap Sallalahu Alaihi wasallam ki wafaat ki khabar ya ek misaal hai goya Aap Sallalahu Alaihi Wasallam ki mout ki Aap ko khabar di gayi hai .
-------
 عمر رضی اللہ عنہ نے بوڑھے بدری صحابہ سے اللہ تعالیٰ کے ارشاد «إذا جاء نصر الله والفتح‏» یعنی ”جب اللہ کی مدد اور فتح آ پہنچی“ کے متعلق پوچھا تو انہوں نے جواب دیا کہ اس سے اشارہ بہت سے شہروں اور ملکوں کے فتح ہونے کی طرف ہے۔ عمر رضی اللہ عنہ نے کہا: ابن عباس تمہارا کیا خیال ہے؟ ابن عباس رضی اللہ عنہما نے جواب دیا کہ اس میں آپ کی وفات کی خبر یا ایک مثال ہے گویا آپ کی موت کی آپ کو خبر دی گئی ہے۔ 
-------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 4969

yh misal kiske liye farmaye gayi hai goya sonay ke tukde ki tarah hain.

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: yh misal kiske liye farmaye gayi hai goya sonay ke tukde ki tarah hain.

A: Muazzin
B: Allah ki raza ke liye Ilm hasil karne wala
C: Rozedaar
D: Shaheed
E: Momeen
F: Mujahid
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

**********

Sahi Jawab - E✅

Momeen ki misaal sonay ke tukde ki tarah hain

Reference📚:
---------
Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah ta'ala bud goi aur fahash goi ko na pasand karta hai. is zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai Qayamat is waqt taq qaim nahi hogi jab tak Ameen ko khain na samjha jaye aur khain ko Ameen na samjha jaaney lagey, aur fahash goi, bud goi, qata rehmi aur bure padosi ki aksariyat na ho jaye. Momeen ki misaal sonay ke tukde ki tarah ke iss ke Malik ne is mein phook  maari na to yeh tabdeel huwa na he kum huwa is zaat ki qasam jis ke haath mein Mohammad Sallallahu Alaihi wasallam ki jaan hai! Momin ki misaal khajuro ki darakht ki terhan hai jo saaf khurak haasil karta hai aur Pakiza phal deta hai. agar zameen par gir bhi jaye to kharab nahi hota nah hi toot-ta hai .
--------
عبداللہ بن عمرو بن العاص رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: اللہ تعالیٰ بدگوئی اور فحش گوئی كو نا پسند كرتا ہے۔ اس ذات كی قسم جس كے ہاتھ میں میری جان ہے   قیامت اس وقت تک قائم نہیں ہوگی جب تك امین  کو خائن نہ سمجھا جائے اور خائن کو امین نہ سمجھا جانے لگے،اورفحش گوئی،بدگوئی، قطع رحمی اور برے پڑوسیوں كی اكثریت نہ ہو جائے۔ مومن كی مثال سونے كے ٹكڑے كی طر ح ہےكہ اس كے مالك نے اس میں پھونك ماری نہ تو یہ تبدیل ہو ااورنہ كم ہوا۔ اس ذات كی قسم جس كے ہاتھ میں محمد  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌كی جان ہے!  مومن كی مثال كھجور كے درخت كی طرح ہے جو صاف خوراك حاصل كرتا ہے اور پاكیزہ پھل دیتا ہے۔ اگر زمین پر گر بھی جائے تو خراب نہیں ہوتا نہ ہی ٹوٹتا ہے۔
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1344

kaunse shaqs ke liye Rasool-Allah Salallahu Alahi waSallam ne farmaya ke yh munasib nahi ke wo shaqs Amin ho?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunse shaqs ke liye Rasool-Allah Salallahu Alahi waSallam ne farmaya ke yh munasib nahi ke wo shaqs Amin ho?

A: Do rukha insaan
B: Takabbur karne wala
C: jis par qarz ho
D: sachi baat par iman nahi lane wala
E: Achche aur burey dono amal karne wala
F: wo jo do logo ke darmiyan ladayi lagata ho
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

Note: Agar jawab “G” ho toh apna jawab likhiye

******************

Sahi Jawab - A✅

Reference📚:
----
Abu Huraira RadiAllahu anhu se rivayat hai ke Nabi Salalahu Alahi wasallam ne farmaya yeh mumkin nahi hai ke do rukha aadmi Amin ho.
-------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: یہ ممکن نہیں ہے کہ دو رخا آدمی امین ہو۔
--------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 200

Wo kya wajah hai jis ke liye Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya ke agar tum waha se guzaro toh rote huwe guzaro

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Wo kya wajah hai jis ke liye Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya ke agar tum waha se guzaro toh rote huwe guzaro

A: jis jagah Allah Subhanahu rizaq tang kar deta hai
B: Qabrastan se guzarte waqt
C: jis ko Allah Subahnahu ne Museebat mein mubtilah kiya ho
D: jis jagah Allah Subhanahu ka zikr nahi hota
E: kisi ke saath hadesa huwa aur uski maut hogayi
F: jis jagah Allah Subhanahu ka Azaab ho raha ho
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

❗Note agar apka jawab "G" hain toh sahi jawab likhiye

*******************

Sahi Jawab - F✅

Jab tum Aazab wale jagah se guzaro toh roo padho aisa na ho ke unka aazab tum par bhi aajaye

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Sallam ne farmaya, un Azaab walon ke assaar se agar tumhara guzar ho toh rote huwe guzro, agar tum is mauqa par roh na sako toh un se guzro he nahi aisa nah ho ke tum par bhi unka sa azaab aa jaye .
-------
Narrated `Abdullah bin `Umar: Allah's Apostle said,   Do not enter (the places) of these people where Allah's punishment had fallen unless you do so weeping. If you do not weep, do not enter (the places of these people) because Allah's curse and punishment which fell upon them may fall upon you. 
-------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، ان عذاب والوں کے آثار سے اگر تمہارا گزر ہو تو روتے ہوئے گزرو، اگر تم اس موقع پر رو نہ سکو تو ان سے گزرو ہی نہیں۔ ایسا نہ ہو کہ تم پر بھی ان کا سا عذاب آ جائے۔ 
-------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 433

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...