Sawal: kaunsa amal hai jiske liye Allah Subhanahu ne farmaya hain ke mein iss amal ka sawab Jannat se kam par raazi nahi honga
A: Yateem ki kifalat karne wale aur sawab ki niyyat rakhne wale
B: Museebat padhte he sabr karne wale aur sawab ki niyaat rakhne wale
C: Allah ki raaza ke liye kisi ko maaf karne wale aur sawab ki niyaat rakhne wale
D: Ilm deen sikhne wale aur sawab ki niyaat rakhne wale
E: Awwal waqt mein namaz adda karne wale aur sawab ki niyaat rakhne wale
F: Qarzdaar ko moholat dene wale aur sawab ki niyyat rakhne wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - B✅
Hadith: Jo shakhs Museebat padhte he sabr kare aur sawab ki niyyat rakhe to Allah Subhanahu Jannat se kam sawab par razi nahi hoga....SubhanAllah
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu farmata hai Eh Adam agar tum museebat padte he Sabr karo aur sawab ki niyat rakho to main Jannat se kam sawab par tumare liye raazi nahi honga
Sunan Ibn Maja-Hadees#1597-Sahih
-----
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ فرماتا ہے: اے ابن آدم! اگر تم مصیبت پڑتے ہی صبر کرو، اور ثواب کی نیت رکھو، تو میں جنت سے کم ثواب پر تمہارے لیے راضی نہیں ہوں گا ۔
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: “Allah says: ‘O son of Adam! If you are patient and seek reward at the moment of first shock, I will not approve of any reward for you less than Paradise.’”
Sunan ibn Maja-Hadees#1597-Sahih