Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 31 August 2021

Allah Subhanahu ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ek surah ki aayat ko ek sahabi ko sunane ka hukm kiye

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 789❗

Do Sawal Hai

Allah Subhanahu ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ek surah ki aayat ko ek sahabi ko sunane ka hukm kiye

Sawal 1 : Wo Sahabi kaun thy

A : Saad Bin Muadh Radi Allahu Anhu
B : Khuzaima Radi Allahu Anhu
C : Ubayy bin Kaab Radi Allahu Anhu
D : Talha Radi Allahu Anhu
E : Zaid Bin Harith Radi Allahu Anhu
F : Zubair Radi Allahu Anhu
G : In mein se koi nahi

Sawal 2 : Wo kaunse Surah ki Aayat thi

A : Surah Hashar
B : Surah Inshiqaaq
C : Surah Baqarah
D : Surah Mutafifeen
E : Surah  Bayyinah
F : Surah Thagabun
G : In mein se koi nahi
H : Sahi jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab : C/E ✅

Hadith: Allah Subhanahu ke hukm par Rasool-Allah Sallallahu Alaihi WaSallam ne Ubayy bin Kaab Radi Allahu Anhu ke samne Surah Bayyina ki tilawat farmayi

Reference : 📚
--------
 Rasool Allah Sallallahu Alaihi WaSallam ne Hazrat Ubayy bin Kaab Radi Allahu se farmaya : Allah Subhanahu ne mujhe hukm diya hai ke mein tumhare samney (Quraan Majeed ki ye Surah)
﴿لَمْ يَكُنِ الَّذِينَ كَفَرُوا﴾ 
(البینہ 1 :98 )   
Tilawat karu Hazrat Ubayy bin Kaab Radi Allah Anhu ne kaha : Aur Allah Subhanahu ne mera naam liya hain? Aap ne farmaya : Haan. to wo (Hazrat Ubayy bin Kaab Radi Anhu) rone lage.
---------
 رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم  ن حضرت ابی ابن کعب رضی اللہ تعالیٰ عنہ  سے فرمایا :    اللہ تعالیٰ نے مجھے حکم دیا ہے کہ میں تمھارے سامنے ( قرآن مجید کی یہ سورت )  :  ﴿لَمْ يَكُنِ الَّذِينَ كَفَرُوا﴾ ( البینہ 1 : 98 )  تلاوت کروں ۔  ( حضرت ابی رضی اللہ تعالیٰ عنہ  نے )  کہا : اور اللہ تعالیٰ نے میرا نام لیا ہے؟آپ نے فرمایا :    ہاں ۔    تو وہ ( حضرت ابی رضی اللہ تعالیٰ عنہ   )  رونے لگے ۔ 
---------
Anas bin Malik reported that Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam said to Ubayy bin Kaab RadiAllahu Anhu: I have been commanded to recite to you the Surah (Al- Bayyinah) which opens with these words (Lam Yakunil-ladhiyna Kafaruu) He said: Has Allah mentioned to you my name? He said: Yes; thereupon he shed tears of joy. 
----
Sahi Muslim# 6343

Agar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko kisi shakhs ki koi ada pasandeeda lagti to kya farmate

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 788❗

Sawal: Agar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko kisi shakhs ki koi ada pasandeeda lagti to kya farmate

A: Logon mein uski tareef karte
B: Sadqa dene ka hukum dete
C: Nazar ki dua padhte
D: Namaz ka hukum dete
E: Rehmat ki dua karte
F: Sajda karne ka hukum dete
G: Wazu karne ka hukum dete
H: Inmein se koi nahi
i: Sahih jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab D✅

Hadith: Jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko kisi ki addat pasand aati to Namaz padne ka hukum dete

Reference : 📚
---------
Anas Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko jab kisi aadmi ki koi adaa pasand aati to isse Namaz ka hukm dete
-----------
انس‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم كو جب كسی آدمی کی کوئی ادا پسند آتی تو اسے نماز كا حكم دیتے
---------
Anas RadiAllahu Nahu narrated that when Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam like something about someone he use to order him to pray
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#657

Jis shakhs ki niyyat qarz ki adayegi ki ho to Allah Subhanahu uske saat kaisa muamla karta hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 787❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Jis shakhs ki niyyat qarz ki adayegi ki ho to Allah Subhanahu uske saat kaisa muamla karta hain?

A: Allah khud uski madad karte hain
B: Uska qarz Allah waqt par adaa kara dete hain
C: Allah uski takleefo ko assan kar deta hain
D: Allah Qarz dene wale ka dil narm kar deta hain 
E: Jab tak uska qarza ada nahi hota uske liye roz ek neiki likhi jaati hain
F: Allah uske rizq ka sabab bana deta hai
G: Allah Fariston ke zariye se uski madad karte hain
H: Sahi jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - AF✅

Hadith: Jis per qarza ho aur wo usse lautane ki niyaat rakhta hai to Allah Shubahanhu khud uski madad karte hain aur...

Reference📚:
----
Aisha RadiAllahu Anhuma kehti hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Jis shakhs par Qarz ho aur wo ada karne ki niyat rakhta ho to Allah Subhanahu ki taraf se is ke saath madad hoti hain, aur Allah Subhanahu is ke liye rizaq ka sabab bana deta hain.
----
Aisha RadiAllahu Anhuma said Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever has a debt and intends to repay it, If so, he will be helped by Allah, and Allah will make provision sustenance for him.
----
عائشہ رضی اللہ عنہا كہتی ہیں كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص پر قرض ہو اور وہ ادا كرنے كی نیت ركھتا ہو تو اللہ كی طرف سےاس كے ساتھ مدد ہوتی ہے ، اور اللہ تعالیٰ اس كے لئے رزق كا سبب بنا دیتا ہے۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1695-Sahih

Monday 30 August 2021

Ek musalmaan ke liye jayaz nahi ke wo apne bhai se teen din se ziyada Qata Taluqi kare kuyke..

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Ek musalmaan ke liye jayaz nahi ke wo apne bhai se teen din se ziyada Qata Taluqi kare kuyke..
------
Hisham ibn Amir RadiAllahu Anhu se rivayat hain ke kehte hain ke mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko farmate huwe suna: kisi Musalman ke liye jayaz nahi ke woh kisi Musalman se teen din se zyada Qata taluqi kare kyun ke ye dono jab tak apne haraam kaam par rahenge haq se bhatke rahenge un mein jo shakhs rujoo karne mein Sabqat karta hai is ka Sabqat karna is ke liye kaffara hain agar wo Salam kahe aur dusra shakhs is ko jawab na de toh farishte usse jawab dete hain jabke dusre shakhs ko shaitan jawab deta hain agar wo isi Qata taluqi par Faut ho jaien toh kabhi bhi Jannat mein jama nahi honge
-------
It is narrated on the authority of Hisham ibn Amir RadiAllahu Anhu that he said: I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam, say: It is not permissible for a Muslim to be separated (cut relationship) from a Muslim for more than three days. They will continue to do haraam deeds and will deviate from the truth. The one who precedes them in repentance is the expiation for him. If one of them greets and the person doesn’t reply then Angel’s reply for them and for the person who didn’t reply Shaitan reply to them and that if they die in this relationship, they will never be gathered in heaven (Jannah) 
-----
ہشام بن عامر رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ کہتے ہیں کہ میں نے رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا: کسی مسلمان کے لئے جائز نہیں کہ وہ کسی مسلمان سے تین دن سے زیادہ قطع تعلقی کرے کیونکہ یہ دونوں جب تک اپنے حرام کام پر رہیں گےحق سے بھٹکے رہیں گے ان میں جو شخص رجوع کرنے میں سبقت کرتا ہے اس کا سبقت کرنا اس کے لئے کفارہ ہے اگر وہ سلام کہے اور دوسرا شخص اس کو جواب نہ دے تو فرشتے اسے جواب دیتے ہیں جبکہ دوسرے شخص کو شیطان جواب دیتا ہےاگر وہ اسی قطع تعلقی پر فوت ہوجائیں  تو کبھی بھی جنت میں جمع نہ ہوں گے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#453-Sahih

Sunday 29 August 2021

Chast/Awabeen ki namaz afzal waqt par padhne wala itaat guzaar, tauba karne wala aur Allah ki taraf ruju karne wale ki tarah hain

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Chast/Awabeen ki namaz afzal waqt par padhne wala itaat guzaar, tauba karne wala aur Allah ki taraf ruju karne wale ki tarah hain
----
Ayub ne Qasim Shibani se rivayat ki ke hazrat Zaid Bin Arqam Radi Allahu anho neh kuch logon ko chasht ke waqt namaz padhte dehka to kaha : haan ye log achchi terhan jante hain ke namaz is waqt ki bajaye ek aur waqt mein padhna afzal hain beshak Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Awabeen (itaat guzaar, tauba karne wale aur Allah taala ki taraf rujoo karne wale logon ) ki namaz is waqt hoti hain, jab (garmi se) oont ke doodh chhudaye jane wale bachon ke paon jalne lagte hain.
-----------
 ایوب نے قاسم شیبانی سے روایت کی کہ حضرت زید بن ارقم  رضی اللہ تعالیٰ عنہ  نے کچھ لوگوں کو چاشت کے وقت نماز پڑھتے دیکھاتو کہا : ہاں یہ لوگ اچھی طرح جانتے ہیں کہ نماز اس وقت کی بجائے ایک اور وقت میں پڑھنا  افضل ہے ۔ بے شک رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم   نے فرمایا   اوابین ( اطاعت گزار ، توبہ کرنے والے اور اللہ تعالیٰ کی طرف رجوع  کرنے والےلوگوں )  کی نماز اس وقت ہوتی ہے ۔  ، جب ( گرمی سے )  اونٹ کے دودھ چھڑائے  جانے والے بچوں کے پاؤں جلنے لگتے ہیں ۔   
----------
 Zaid b. Arqam, on seeing some people praying in the forenoon, said: They well know that prayer at another time than this is more excellent, for Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam said: The prayer of those who are penitent is observed when your weaned camels feel the heat of the sun. 
-------------
Sahih Muslim Hadees # 1746-Sahih

Waledain se husn saluq ki surate

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Waledain se husn saluq ki surate
----
Banu Salma ke ek admi ne pucha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam kya mere Walidain se husn Saluq ki koi soorat baqi hain? Jis ke zariye se unki wafat ke baad me unse neki kar saku?
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalllam ne farmaya Haan
1) Unke liye dua karna
2) Unke liye Allah se bakshish ki darkhwast karna
3) Unki wafaat ke baad unke waade pure karna
4) unke (walidain) ke dosto ka ehtraam karna
5) Aise rishtedaro se sila rehmi karna jinse talluq srif unke waaste se hain.
-----
  ہم رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس بیٹھے ہوئے تھے کہ اسی دوران بنو سلمہ کا ایک شخص آپ کے پاس آیا اور عرض کیا: اللہ کے رسول! میرے ماں باپ کے مر جانے کے بعد بھی ان کے ساتھ حسن سلوک کی کوئی صورت ہے؟ آپ نے فرمایا: ہاں ہے، ان کے لیے دعا اور استغفار کرنا، ان کے بعد ان کی وصیت و اقرار کو نافذ کرنا، جو رشتے انہیں کی وجہ سے جڑتے ہیں، انہیں جوڑے رکھنا، ان کے دوستوں کی خاطر مدارات کرنا  ( ان حسن سلوک کی یہ مختلف صورتیں ہیں ) 
---
 Narrated Abu Usayd Malik ibn Rabiah as-Saeedi: While we were with the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam a man of Banu Salmah came to Him and said: Messenger of Allah is there any kindness left that I can do to my parents after their death? He replied: Yes, you can invoke blessings on them, forgiveness for them, carry out their final instructions after their death, join ties of relationship which are dependent on them, and honour their friends. 
-----
Sunnan Abu Dawood Hadees # 5142-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne iss kalimat ko raat ki sab se aakhri baat bannae ko kaha

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne iss kalimat ko raat ki sab se aakhri baat bannae ko kaha

-------------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya "jab tu sone lage to namaz ke wazu ki tarha wazu kar phir dayen karwat let ja aur ye dua padh

«اللهم أسلمت نفسي إليك،‏‏‏‏ وفوضت أمري إليك،‏‏‏‏ وألجأت ظهري إليك،‏‏‏‏ رهبة ورغبة إليك،‏‏‏‏ لا ملجأ ولا منجا منك إلا إليك،‏‏‏‏ آمنت بكتابك الذي أنزلت،‏‏‏‏ وبنبيك الذي أرسلت
   
"Eh Allah! mein ne apne aapko teri ita'at mai diya. Apna sab kuch tere supurd kar diya. Apne mamlat tere hawale kar diye. Khauf ki wajah se aur teri (Rehmat o sawab ki) ummed mai koi panah gah koi muqlis tere siwa nahi mai teri kitab par imaan laya jo tune nazil ki hai aur tere Nabi par jin ko tune bheja hai."

us ke bad agar tum mar gaye to fitrat(deen Islam par maroge pas in kalimat ko (raat ko)sab se aakhri bat banao jinhe tum apni zaban se ada karo)
--------------
Narrated Al-Bara bin `Azib: Allah's Apostle said to me, When you want to go to bed, perform ablution as you do for prayer, then lie down on your right side and say: 'Allahumma aslamtu wajhi ilaika, wa fauwadtu `Amri ilaika wa aljatu zahri ilaika, raghbatan wa rahbatan ilaika, lamalja'a wa la manna mink a ill a ilaika. Amantu bikitabi kalladhi anzalta wa bi nabiyyikal-ladhi arsalta'.* If you should die then (after reciting this) you will die on the religion of Islam (i.e., as a Muslim); so let these words be the last you say (before going to bed) While I was memorizing it, I said, Wa birasiulikal-ladhi arsalta (in Your Apostle whom You have sent).' The Prophet said, No, but say: Wa binabiyyi-kalladhi arsalta (in Your Prophet whom You have sent). 
--------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”جب تو سونے لگے تو نماز کے وضو کی طرح وضو کر پھر دائیں کروٹ لیٹ جا اور یہ دعا پڑھ «اللهم أسلمت نفسي إليك،‏‏‏‏ وفوضت أمري إليك،‏‏‏‏ وألجأت ظهري إليك،‏‏‏‏ رهبة ورغبة إليك،‏‏‏‏ لا ملجأ ولا منجا منك إلا إليك،‏‏‏‏ آمنت بكتابك الذي أنزلت،‏‏‏‏ وبنبيك الذي أرسلت‏.‏» ”اے اللہ! میں نے اپنے آپ کو تیری اطاعت میں دے دیا۔ اپنا سب کچھ تیرے سپرد کر دیا۔ اپنے معاملات تیرے حوالے کر دئیے۔ خوف کی وجہ سے اور تیری ( رحمت و ثواب کی ) امید میں کوئی پناہ گاہ کوئی مخلص تیرے سوا نہیں میں تیری کتاب پر ایمان لایا جو تو نے نازل کی ہے اور تیرے نبی پر جن کو تو نے بھیجا ہے۔“ اس کے بعد اگر تم مر گئے تو فطرت ( دین اسلام پر مرو گے پس ان کلمات کو ( رات کی ) سب سے آخری بات بناؤ جنہیں تم اپنی زبان سے ادا کرو ( براء بن عازب رضی اللہ عنہ نے بیان کیا ) میں نے عرض کی «وبرسولك الذي أرسلت‏.‏» کہنے میں کیا وجہ ہے؟ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ نہیں «وبنبيك الذي أرسلت» کہو۔
----------------
Sahih Bukhari Hadees #6311

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Namaz se salam phertey to ye dua padhte

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Namaz se salam phertey to ye dua padhte
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihu wasallam jab Namaz se salam phertey to kehte :

 اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي مَا قَدَّمْ وَمَا أَخَّرْتُ، ‏‏‏‏‏‏وَمَا أَسْرَرْتُ وَمَا أَعْلَنْتُ، ‏‏‏‏‏‏وَمَا أَسْرَفْتُ، ‏‏‏‏‏‏وَمَا أَنْتَ أَعْلَمُ بِهِ مِنِّي، ‏‏‏‏‏‏أَنْتَ الْمُقَدِّمُ وَأَنْتَ الْمُؤَخِّرُ لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْ

Allahummaghrifli ma qaddamtu wa ma Akhkhartu wa ma asrartu wa ma aalantu wa ma asraftu, wa ma anta aalamu bihi minni , Anta-l-muqaddimu wa anta-l-mu'akh-khiru,la ilaha illa Anta
Eh Allah ! Mere agale pichalle gunah maaf kar de aur woh tamam gunah jinhein mein ne chupa kar aur khullam khula kiya ho, aur jo ziyadati ki ho usse aur is gunah ko jisse tu mujh se ziyada jaanta hai, bakhash de tu jisse chahe aage kare, jisse chahe peeche kare, tere siwa koi mabood barhaq nahi
-----
Ali bin Abi Talib said: When the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam uttered salutation at the end of the prayer, he used to say:  O Allah, forgive me my former and latter sins, what I have kept secret and what I have done openly, and what I have done extravagance; and what You know better than I do. You are the Advancer, the Delayer, there is no god but You. 
-----
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم جب نماز سے سلام پھیرتے تو کہتے: «اللهم اغفر لي ما قدمت وما أخرت، وما أسررت وما أعلنت، وما أسرفت، وما أنت أعلم به مني، أنت المقدم وأنت المؤخر لا إله إلا أنت»  اے اللہ! میرے اگلے پچھلے گناہ معاف کر دے اور وہ تمام گناہ جنہیں میں نے چھپ کر اور کھلم کھلا کیا ہو، اور جو زیادتی کی ہو اسے اور اس گناہ کو جسے تو مجھ سے زیادہ جانتا ہے، بخش دے۔ تو جسے چاہے آگے کرے، جسے چاہے پیچھے کرے، تیرے سوا کوئی معبود برحق نہیں
-----
Sunnan e Abu Dawood#1509-Sahih

Jis ke hisab mein jaach partaal ki gayi samjho woh gharaat hogaya

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jis ke hisab mein jaach partaal ki gayi samjho woh gharaat hogaya
---------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki biwi Hazrat Aisha RadiAllahu Anhuma jab koi aisi battain sunnatain jis ko samajh nah patin to dobarah is ko maloom kartin taakay samajh len. chunancha (ek martaba ) Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke jis se hisaab liya gaya usse azaab kiya jayega. Hazrat Aisha Radi Allahu anhu farmaati hain ke (ye sun kar) mein ne kaha ke kya Allah ne ye nahi farmaya ke anqareeb is se aassan hisaab liya jaye ga? Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke ye sirf (Allah ke darbaar mein) paishi ka zikar hai. lekin jis ke hisaab mein jaanch partaal ki gayi (samjhoo) wo ghaarat ho gaya
----------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی بیوی حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا جب کوئی ایسی باتیں سنتیں جس کو سمجھ نہ پاتیں تو دوبارہ اس کو معلوم کرتیں تاکہ سمجھ لیں ۔ چنانچہ ( ایک مرتبہ ) نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جس سے حساب لیا گیا اسے عذاب کیا جائے گا ۔ حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا فرماتی ہیں کہ ( یہ سن کر ) میں نے کہا کہ کیا اللہ نے یہ نہیں فرمایا کہ عنقریب اس سے آسان حساب لیا جائے گا ؟ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ یہ صرف ( اللہ کے دربار میں ) پیشی کا ذکر ہے ۔ لیکن جس کے حساب میں جانچ پڑتال کی گئی ( سمجھو ) وہ غارت ہو گیا ۔
--------------
Narrated Ibn Abu Mulaika: Whenever `Aisha (the wife of the Prophet) heard anything which she did not understand, she used to ask again till she understood it completely. Aisha said: "Once the Prophet (ﷺ) said, "Whoever will be called to account (about his deeds on the Day of Resurrection) will surely be punished." I said, "Doesn't Allah say: "He surely will receive an easy reckoning." (84.8) The Prophet (ﷺ) replied, "This means only the presentation of the accounts but whoever will be argued about his account, will certainly be ruined."
--------------
Sahih al-Bukhari 103

Allah Subhanahu ne sajdon ke nishaan ko Aag per haraam kiya hain

 Bismillahirrahamannirrahim

Hadith: Allah Subhanahu ne sajdon ke nishaan ko Aag per haraam kiya hain
-----------
Nabi Akram Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jahannum ki aag Ibn Adam ke saaray badan ko khaye gi siwaye sajdon ke nishaan ke, Allah Subahnahu taala ne aag par yeh haraam kiya hai ke woh sajdon ke nishaan ko khaye
----------------
It was narrated from Abu Hurairah that the Prophet (ﷺ) said: “The Fire will consume all of the son of Adam except the mark of prostration. Allah has forbidden the Fire to consume the mark of prostration.’” 
---------------
 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  جہنم کی آگ ابن آدم کے سارے بدن کو کھائے گی سوائے سجدوں کے نشان کے، اللہ تعالیٰ نے آگ پر یہ حرام کیا ہے کہ وہ سجدوں کے نشان کو کھائے ۔ 
-----------------
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 4326-Sahih

Mayyat ko Qabr mein dhakil karte waqt ki dua

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Mayyat ko Qabr mein dhakil karte waqt ki dua
-----
Jab Murde ko Qabr mein dhakil kiya jaata toh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam
 «بسم الله وعلى ملة رسول الله»
Bismillah Wa'ala millati rasul-illah
kehte aur  (Allah ke naam se shuru aur Rasool Allah Sallalllahu Alaihi wasallam ke deen par) aur Hisham ne apne riwayat mein 
«بسم الله وفي سبيل الله وعلى ملة رسول الله»
 kaha hai
------
It was narrated that Ibn ‘Umar said: “When the deceased was placed in the grave, the Prophet (ﷺ) would say: ‘Bismillah, wa ‘ala millati rasul-illah (In the Name of Allah and according to the religion of the Messenger of Allah).’” Abu Khalid said on one occasion, when the deceased was placed in the grave: “Bismillah wa ‘ala sunnati rasul- illah (In the Name of Allah and according to the Sunnah of the Messenger of Allah).” Hisham said in his narration: “Bismillah, wa fi sabil-illah, wa ‘ala millati rasul-illah (In the Name of Allah, for the sake of Allah and according to the religion of the Messenger of Allah).” 
-----
 جب مردے کو قبر میں داخل کیا جاتا تو نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم «بسم الله وعلى ملة رسول الله» اور ابوخالد نے اپنی روایت میں ایک بار یوں کہا: جب میت کو اپنی قبر میں رکھ دیا جاتا تو آپ «بسم الله وعلى سنة رسول الله» کہتے، اور ہشام نے اپنی روایت میں «بسم الله وفي سبيل الله وعلى ملة رسول الله» کہا ہے۔ 
----
Sunnan e Ibn e Maja#1550-Sahih

Bandoh ka sabse Mehboob kalaam Allah Subhanahu taa'la ko lagta hai..

 Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Bandoh ka sabse Mehboob kalaam Allah Subhanahu taa'la ko lagta hai..

-----------
Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya Allah Subhanahu taala ko sab se Mehboob kalaam yeh hai ke bandah kahey: 
سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالٰی جَدُّكَ وَلَا إِلَهَ غَيْرَكَ
Eh Allah to paak hai apni tareef ke saath, tera naam babarkat hai, teri shaan buland hai, aur tairay ilawa koi sacha mabood nahi aur Allah Subhanahu taala ko sab se na pasandeeda baat yeh lagti hai ke koi shakhs kisi dosray se kahey Allah se darr ja, to woh kahey khud ko dekh
------------
The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said the words most loved by Allah is when his slaves says
سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالٰی جَدُّكَ وَلَا إِلَهَ غَيْرَكَ
Subhanaka Allahumma Wa bi hamdika, Wa tabarakas-muka, wa taala jadduka, wa la ilaha gairuka.
Glory and praise be to You, O Allah, blessed be Your Name and exalted be Your majesty, none has the right to be worshipped but you.
-----------
عبداللہ بن مسعودرضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ کو سب سے محبوب کلام یہ ہے کہ بندہ کہے: اے اللہ تو پاک ہے اپنی تعریف کے ساتھ، تیرا نام بابرکت ہے، تیری شان بلند ہے، اور تیرے علاوہ کوئی سچا معبود نہیں۔ اور اللہ تعالیٰ کو سب سےنا پسندیدہ بات  یہ لگتی ہے ۔کہ کوئی شخص کسی دوسرے سے کہے: اللہ سے ڈر جا ، تو وہ کہے: خود کو دیکھ
-----------
عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ مَسْعُودٍ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم : إنَّ أَحَبَّ الْكَلامِ إِلَى اللهِ أَنْ يَقُولَ الْعَبْدُ: سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالٰی جَدُّكَ وَلَا إِلَهَ غَيْرَكَ، وإن أبغضَ الْكَلَامِ إِلَى اللهِ أَنْ يَقُولَ الرَجُل لِلرَجُل: اتَّقِ الله فَيَقُول: عَلَيْكَ بنَفْسِكَ. 
------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2809

Hijama karne ki fazilat

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Hijama karne ki fazilat
---------
Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhuma se marwi hai ke unho ne Nafe se kaha: mera khoon josh mar raha hai,mere liye hijama(cupping) karne wala talash karo aur koshish karna narm hath wala ho koyi budha ya bacha na ley aana. Kyonki mai ne Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wa Sallam se suna Aap farma rahe they: Nihar muh senghi lagwana zyada faydemand hai. Is main shifa aur barkat hai, aqal aur hifz ko zyada karti hai, jumerat ke din Allah ki barkat par senghi lagwao, budh ke din senghi lagwane se bacho. Jumma ,hafta aur itwar ke din se bhi, jabke peer aur mangal ko senghi lagwao. Kyunki ye wo din hai jis mein Allah Taala ne Ayyub Alaihi Salam ko azmayish se aafiyat di thi, aur budh ke din unhein azmayish mein mubtila kiya tha. kodh aur bars budh ke din ya budh ki raat hi zaher hote hain.
----------
 عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہ انہوں نے نافع سے کہا: میرا خون جوش ماررہا ہے،  میرے لئے سینگی لگانے والا تلاش كرو اور كوشش كرنا كہ نرم ہاتھ والا ہو۔ كوئی بوڑھا یا بچہ نہ لے آنا۔ كیوں كہ میں نے رسول اللہ (ﷺ) سے سناآپ فرما رہے تھے :نہار منہ سینگی لگوانا زیادہ فائدہ ہے۔ اس میں شفا اور بركت ہے، عقل اور حفظ كو زیادہ كرتی ہے، جمعرات كے دن اللہ كی بركت پر سینگی لگواؤ، بدھ كے دن سینگی لگوانے سے بچو۔ جمعہ ،ہفتہ اور اتوار كے دن سے بھی، جبكہ پیر اور منگل كو سینگی لگواؤ۔ كیوں كہ یہ وہ دن ہے جس میں اللہ تعالیٰ نے ایوب علیہ السلام كو آزمائش سے عافیت دی تھی، اور بدھ كے دن انہیں آزمائش میں مبتلا كیا تھا۔ كوڑھ اور برص بدھ كے دن یا بدھ كی رات ہی ظاہرہوتے ہیں۔
Al-Silsila-tus-Sahiha#2307
----------
Anas Radi Allahu Anhu kahte hai ke Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya : jab tum mein se kisi shakhs ka khoon josh maare to woh senghi lagwaye, kyunki jab khoon josh marta hai to insaan ko halaak kar deta hai.
----------
 انس‌رضی اللہ عنہ كہتے ہیں كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب تم میں سے کسی شخص کا خون جوش مارے تو وہ سینگی لگوائے،کیونکہ جب خون جوش مار تا ہے تو انسان کو ہلاک کر دیتا ہے
Al-Silsila-tus-Sahiha#2289
-----------
Ismael Bin Jaffar ne hamein Hamid se hadees bayan ki, unhon ne kaha : Hazrat Anas Bin Maalik Radi Allahu Anhu se pachne (senghi) laganay wale ki kamai ke baray mein pucha gaya to unhone kaha : Rasool Allah Sallelahu Alaihi Wasallam ne pachna lagwaye, Aap ko Abu Tabeeb ne pachne lagaye to Aap ne usay ghallay se do sa'a dene ka hukum diya aur is ke malikon se baat ki to unhone is ke mehsool mein kuch takhfeef kar di aur Aap ne farmaya : Tum log jo ilaaj karwao is mein se behtareen senghi lagwana hai ya ( farmaya : ) yeh tumahray behtareen ilajon mein se hai .
----------
 اسماعیل بن جعفر نے ہمیں حمید سے حدیث بیان کی ،  انہوں نے کہا :  حضرت انس بن مالک رضی اللہ عنہ سے پچھنے  ( سینگی )  لگانے والے کی کمائی کے بارے میں پوچھا گیا تو انہوں نے کہا :  رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے پچھنے لگوائے ،  آپ کو ابوطیبہ نے پچھنے لگائے تو آپ نے اسے غلے سے دو صاع دینے کا حکم دیا اور اس کے مالکوں سے بات کی تو انہوں نے اس کے محصول میں کچھ تخفیف کر دی اور آپ نے فرمایا : تم لوگ جو علاج کرواؤ اس میں سے بہترین سینگی لگوانا ہے یا  ( فرمایا :   )  یہ تمہارے بہترین علاجوں میں سے ہے ۔  
------------
Sahih Muslim#4038
https://pin.it/33mEOVe

Mafhum e hadith ko mukamal kare....kaunse shaks Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke pass duniya mein sabse zyada mehboob aur qayamat ke roz sabse nazdik honge

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 786❗

Sawal: Mafhum e hadith ko mukamal kare....kaunse shaks Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke pass duniya mein sabse zyada mehboob aur qayamat ke roz sabse nazdik honge

A: Subah Sham Radaitu billahi Rabba wa bil-Islami dina wa bi Muhammadin Nabiyya..padne wale
B: ziyada se ziyada durud padne wale
C: Sunnaton par amal karne wale 
D: Betiyon ki achchi parwarish karne wale 
E: Achche Akhlaq wale
F: Azan ke baad ki dua padne wale
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H:Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - E✅

Hadith: Achche Akhlaq wale duniya mein aur Aakhirat mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke nazdik honge

Reference:📚
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mere nazdik tum mein se (duniya mein) sabse zyada mehboob aur  Qayamat ke din mujhse sabse ziyada Qareeb baithne wale wo log hain jo tum mein behtareen Akhlaq wale hain aur mere nazdik tum mein (duniya mein) sabse ziyada qabil e nafrat aur Qayamat ke din mujhse durr baithne wale wo log hain jo baatoni bila ehtiyat bolne wale zuban daraz aur Takkabur karne wale Sahaba Radi Allahu Anhuma ne arz kiya YA Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam humne baatuni aur bila ehtiyat bolne ko jaan liya lekin kaun log hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Takkabur karne wale 
Jamia Tirmaizihadees#2018-Sahih
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”میرے نزدیک تم میں سے ( دنیا میں ) سب سے زیادہ محبوب اور قیامت کے دن مجھ سے سب سے زیادہ قریب بیٹھنے والے وہ لوگ ہیں جو تم میں بہترین اخلاق والے ہیں، اور میرے نزدیک تم میں ( دنیا میں ) سب سے زیادہ قابل نفرت اور قیامت کے دن مجھ سے دور بیٹھنے والے وہ لوگ ہیں جو باتونی، بلااحتیاط بولنے والے، زبان دراز اور تکبر کرنے والے «متفيهقون» ہیں“، صحابہ نے عرض کیا: اللہ کے رسول! ہم نے «ثرثارون» ( باتونی ) اور «متشدقون» ( بلااحتیاط بولنے والے ) کو تو جان لیا لیکن کون لوگ ہیں؟ آپ نے فرمایا: ”تکبر کرنے والے“
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Indeed the most beloved among you to me, and the nearest to sit with me on the Day of Judgment is the best of you in character. And indeed, the most disliked among you to me, and the one sitting furthest from me on the Day of Judgement are the Thartharun, and the Mutashaddiqun and the Muthafaihiqun. They said: O Messenger of Allah! We know about the Thartharun, and the Mutashaddiqun, but what about the Muthafaihiqun? ' He said: The arrogant.
Jamia Tirmaizihadees#2018-Sahih

Jab banda Tauba karta hain to Allah Subahnahu bahut zyada khush hota hain



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jab banda Tauba karta hain to Allah Subahnahu bahut zyada khush hota hain

أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ
------
Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ko apne bande ki tauba se tum mein se kisi aise shaks ki nisbat kahin zyada Khushi hoti hain jab chatel sarha (yani kisi regastani jagha) mein uske us Oonth ke aane par uski ankh khulti hain jise wo sehra mein ghoom kar chuka hota hain
Sahih Muslim Hadees#6961
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : اللہ تعالیٰ کو اپنے بندے کی توبہ سے ، تم میں سے کسی ایسے شخص کی نسبت کہیں زیادہ خوشی ہوتی ہے جب چٹیل صحرا میں اس کے ( اس ) اونٹ ( کے آنے ) پر اس کی آنکھ کھلتی ہے جسے وہ صحرا میں گم کر چکا ہوتا ہے ۔
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: Allah is more pleased with the repentance of His servant than if one of you gets up and he finds his camel missing in a waterless desert (and then he accidentally finds it).
Sahih Muslim Hadees#6961
https://pin.it/33mEOVe


 

Deen ke mamle mein koi zabardasti nahi hain.




Bismillahirrahmannirrahim

لَا إِكْرَاهَ فِي الدِّينِ
----
Deen ke mamle mein koi zabardasti nahi hain.
-----
دین کے بارے میں کوئی زبردستی نہیں ہے
-----
There shall be no compulsion in [acceptance of] the religion.
----
Surah Al Baqrah: (02:256)
https://www.youtube.com/channel/UCU2nOLxH61z8na1INbcK0Pg?guided_help_flow=3


 

Ashhadu alla ilaha il-Allahu, wa ash-hadu anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluhu




Bismillahirrahmanirrahim

Kalma Shahadat
-------
أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ

Ashhadu alla ilaha il-Allahu, wa ash-hadu anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluhu
--------
Main gawahii deta hu ki Allah ke siwa koi maabood nahi aur Mohammad (SallAllahu Alaihi wasallam)Allah ke bande aur Rasool hain
------
ترجمہ:  میں گواہی دیتا ہوں کہ اللہ کے سوا کوئی معبود برحق نہیں اور گواہی دیتا ہوں کہ محمد  ( صلی اللہ علیہ وسلم )  اللہ کے بندے اور رسول ہیں
--------
I bear witness that there is no God except Allah, and I bear witness that Muhammad is the slave and Messenger of Allah
https://pin.it/33mEOVe


 

Jab Momin ye amal karta hai uss waqt wo Momin nahi rehta hain




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jab Momin ye amal karta hai uss waqt wo Momin nahi rehta hain
----
Un se Abu Huraira Radi Allahu Anhu ne kaha ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya, zaani momin rehte huwe zina nahi kar sakta. sharaab khawar momin rehte huwe sharaab nahi pi sakta. chor momin rehte huwe chori nahi kar sakta aur koi shakhs momin rehte huwe loot aur ghaarat giri nahi kar sakta ke logon ki nazrain is ki taraf uthi huwi hon aur wo loot raha ho
------------
 نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، زانی مومن رہتے ہوئے زنا نہیں کر سکتا۔ شراب خوار مومن رہتے ہوئے شراب نہیں پی سکتا۔ چور مومن رہتے ہوئے چوری نہیں کر سکتا۔ اور کوئی شخص مومن رہتے ہوئے لوٹ اور غارت گری نہیں کر سکتا کہ لوگوں کی نظریں اس کی طرف اٹھی ہوئی ہوں اور وہ لوٹ رہا ہو، سعید اور ابوسلمہ کی بھی ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے بحوالہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم اسی طرح روایت ہے۔ البتہ ان کی روایت میں لوٹ کا تذکرہ نہیں ہے۔ 

Sahih Bukhari#2475
-------------
Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kya ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya banda jab zina karna hai to wo momin nahi rehta. banda jab chori karta hai to wo momin nahi rehta aur banda jab sharaab peeta hai to wo momin nahi rehta aur jab wo qatal na haq karta hai to wo momin nahi rehta. Akramah ne kaha ke mein ne Hazrat Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se poocha ke imaan is se kis terhan nikaal liya jata hai? Aap ne farmaya ke wo is terha aur is waqt Aap ne apni ungliyon ko dosray haath ki ungliyon mein daal kar phir alag kar liya phir agar wo tauba kar lea hai to imaan is ke paas lout ata hai. is tarha aur Aap ne apni ungliyon ko dosre haath ki ungliyon mein dala
-----------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”بندہ جب زنا کرتا ہے تو وہ مومن نہیں رہتا۔ بندہ جب چوری کرتا ہے تو وہ مومن نہیں رہتا اور بندہ جب شراب پیتا ہے تو وہ مومن نہیں رہتا اور جب وہ قتل ناحق کرتا ہے تو وہ مومن نہیں رہتا۔ عکرمہ نے کہا کہ میں نے ابن عباس رضی اللہ عنہما سے پوچھا کہ ایمان اس سے کس طرح نکال لیا جاتا ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ وہ اس طرح اور اس وقت آپ ان نے اپنی انگلیوں کو دوسرے ہاتھ کی انگلیوں میں ڈال کر پھر الگ کر لیا پھر اگر وہ توبہ کر لیتا ہے تو ایمان اس کے پاس لوٹ آتا ہے، اس طرح اور آپ نے اپنی انگلیوں کو دوسرے ہاتھ کی انگلیوں میں ڈالا۔ 
------------
Sahih Bukhari#6809


 

Kaunse amal karne wale ke beech mein se Allah Subhanahu hatt jaate hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 785❗

Sawal: Kaunse amal karne wale ke beech mein se Allah Subhanahu hatt jaate hain

A: Hasad
B: Khayanat
C: Haq talfi
D: Qata Taluqi
E: Na insafi
F: Riyakari
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahih jawàb ka intezaar
***
Sahi Jawab - B✅

Hadith: Khayanat karne par Allah Subhanahu un do shakhs ke beech mein se hatt jate hain

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu farmata hain mein do sharikon ka teesra hu jab tak ke un dono mein se koi ek dusre ke saath khayanat na kare aur jab koi apne sathi ke saath Khayanat karta hain to Mein unke darmiyan se hatt jata hu.
------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ فرماتا ہے: میں دو شریکوں کا تیسرا ہوں جب تک کہ ان دونوں میں سے کوئی ایک دوسرے کے ساتھ خیانت نہ کرے، اور جب کوئی اپنے ساتھی کے ساتھ خیانت کرتا ہے تو میں ان کے درمیان سے ہٹ جاتا ہوں ۔ 
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said said: Allah, Most High, says: I make a third with two partners as long as one of them does not cheat the other, but when he cheats him, I depart from them. 
-----
Sunan Abi Dawud Hadees#3383-Sahih

Wo kouni cheez hai jo Allah Subhanahu ko raazi karne ke liye pina Afzal tareen hain?

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 784❗

Sawal : Wo kouni cheez hai jo Allah Subhanahu ko raazi karne ke liye pina Afzal tareen hain?

A : Doodh
B : Zamzam 
C : Shehad
D : Kausar ka paani
E : Wazu karne ke baad ka paani
F : Iftar karte waqt ka paani
G : In mein se koi nahi to apna jawab likhein
H : Sahi jawab ka Intezaar
***
Sahi Jawab - G✅ Gusse ka ghoont  Allah ki raza ke lye

Hadith: Allah Subhanahu ke raza ke liye gusse ka ghoont peena sabse fazilat wala hain

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya bande ne koi aisa ghoont nahi peeya jo Allah Subhanahu ke yaha ziyada fazilat wala ho gusse ke us ghoont se jisko wo Allah Subhanahu ki razamandi hasil karne ke liye pee jata hain
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: بندے نے کوئی ایسا گھونٹ نہیں پیا، جو اللہ تعالیٰ کے ہاں زیادہ فضیلت والا ہو غصے کے اس گھونٹ سے، جس کو وہ اللہ تعالیٰ کی رضامندی تلاش کرنے کے لیے پی جاتا ہے۔ 
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: “There is no gulp that brings greater reward with Allah than a gulp of anger that a man swallows (suppresses), seeking thereby the Face of Allah.”
----
Masand e Ahmed 9170 – Sahih

Wo kounsi namaz hain jo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko sabse ziyada pasand thi aur hamesha padha karte thy aur uska qiyam bahut lamba kiya karte thy

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 783❗

Sawal : Wo kounsi namaz hain jo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko sabse ziyada pasand thi aur hamesha padha karte thy aur uska qiyam bahut lamba kiya karte thy

A : Tahajjud
B : Isha ki chaar rakaat sunnat
C : Asar ke chaar rakaat sunnat
D : Maghrib ke do rakaat sunnat
E : Zohar ki chaar rakat sunnat
F : Zohar ki do rakaat sunnat
G : In mein se koi nahi
H : Sahi jawab ka Intezaar
****
Sahi Jawab ✅E

Hadith: Zohar ki chaar rakat sunnat aur Fajar ki do rakat sunnat Namaz Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko sabse ziyada pasand thi aur us per wo hameshgi kiya karte thy

Reference : 📚
---------
Qaboos apne waalid se bayan karte hain ke mere waalid ne ek aurat Aisha Radi Allahu Anha ki taraf bhaije, ke un se pooch kar aaye ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko kaunsi namaz sab se ziyada pasand thi jis par hameshgi kiya karte thy? unhon ne kaha : Aap Sallallahu Alaihi Wasalam Zohar ke pehle chaar rakaat padha karte thy, aur un mein lamba qiyam kiya karte, ruku o sujud ahsan tareeqe se ada karte, aur jo namaz wo choda nahi karte thy, tandurust hone ya bemaar safar mein ho ya kasar mein wo Fajar se pehle ki do rakatein hain
----------
قابوس اپنے والد سے بیان كرتے ہیں كہ میرے والد نے ایك عورت عائشہ رضی اللہ عنہا كی طرف بھیجی، كہ ان سے پوچھ كر آئے كہ رسول  اللہ صلی اللہ علیہ وسلم كو كونسی نماز سب سے زیادہ پسند تھی جس پر ہمیشگی كیا كرتے تھے؟ انہوں نے كہا: آپ صلی اللہ علیہ وسلم ‌ظہرسے پہلے چار ركعت پڑھا كرتے تھے، اور ان میں لمبا قیام كیا كرتے ، ركوع و سجود احسن طریقے سے ادا كرتے، اور جو نماز وہ چھوڑ انہیں كرتے تھے، تندر ست ہوں یا بیمار سفر میں ہوں یا حضر میں وہ فجر سے پہلے كی دو ركعتیں ہیں
---------
Qaboos narrates to his father that my father sent a woman to Aisha RadiAllahu Anhuma to ask her which prayer the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam liked the most and which he used to pray always. He said: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam used to recite four rak'ahs before Zohar, and he used to stay in them for a long time, perform bowing and prostration in the best way, and the prayers that he used to never leave, whether he was healthy or sick or on his journey or in the presence of Allah, are two rak'ahs before Fajar.
Al-Silsila-tus-Sahiha#696-Sahih

Hadith ko mukammal kijiye…Madad kis ke saath hoti hain..

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 782❗

Sawal: Hadith ko mukammal kijiye…Madad kis ke saath hoti hain..

A: Khamoshi
B: Sabr
C: Taqwa
D: Tawakkal
E: Mushakat
F: Tawheed
G: Inmein se koi nahi
H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - B✅

Hadith: Beshak Sabr ke saath madad hain, khushadi ke saath takleef aur tangi ke saath assani hain 

Reference📚:
---
Anas RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke madad Sabr ke saath hain, kushadgi takleef ke saath hain aur tangi ke saath aasani hain aur beshak tangi ke saath aasani hain .
----
انس‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعاً مروی ہے کہ :مدد صبر کے ساتھ ہے، کشادگی تکلیف کے ساتھ ہے اور تنگی کے ساتھ آسانی ہے اور بے شک تنگی کے ساتھ آسانی ہے۔ 
---
It is narrated from Anas RadiAllahu Anhu that: Help is with patience, openness is with hardship and ease with hardship and indeed ease with hardship.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2156-Sahih

wo kaunsi namaz ke bare mein farmaya gaya hain ke Allah Subhanahu ke nazdik wo sabse Afzal behtar hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 781❗

Sawal: wo kaunsi namaz ke bare mein farmaya gaya hain ke Allah Subhanahu ke nazdik wo sabse Afzal behtar hain

A: Tahhajjud 
B: Chast
C: Jumme ki Namaz
D: Asar ki Namaz
E: Fajar ki Namaz
F: Isha ki Namaz
G: Inmein se koi nahi (Apna Sahih Jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka Intezaar
****
Sahih Jawab - G✅ (Jumme ke din Fajar ki namaz jamaat ke saath aada karna)
Hadith: Allah Subhanahu ke nazdik sabse Afzal Namaz Jumma ke din Fajr ki Namaz jamat ke saath adaa karna hain

Reference📚:
-----------------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ke nazdik Afzal Namaz Jumma ke din Subha ki Namaz (yani Fajar ki Namaz) jamat ke saath adaa karna hain
--------
نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ كے نزدیک افضل نماز جمعہ كے دن صبح كی نماز باجماعت ہے۔
-------
Ibn Umar reported: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam, said, “Verily, the most virtuous of prayers to Allah Subhanahu is the dawn prayer in congregation on Friday.”
-------
Al-Silsila-As-Sahiha 545-Sahih


Jihad ya Allah ki raah mein pehra dene ke mutalliq kaun kaunsi baate sahi hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 780❗

Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Jihad ya Allah ki raah mein pehra dene ke mutalliq kaun kaunsi baate sahi hain

A: Jihad ke liye ek din baithna kisi aur maqam per 1000 din baithane se Afzal hain
B: Uske liye pul sirat par Mukammal Noor hoga
C: Allah ke raah mein ek ghadi khade rehna lailatul qadr mein hajre aswad ke pass qiyam karne se behtar hain
D: Jihad mein ek din ka roza rakhna uske aur aag ke beech khandaq ban jayega
E: 2 saal se bhi ziyada ibadat karne se behtar hain
F: unki aankhen qayamat ke din dozak ki aag nahi dehkengi
G: bewa aur miskeen ki madad karna jihad karne ke manid hain 
H: jo shaks pehra dete huwe faut hogaya uske liye qayamat tak iska ajar jari rahega
I: Sahi jawab ka intezaar
****
Sahi Jawab - ACDEFGH✅

Hadith: Jihad ya Allah ki raah mein pehra dene ki fazilat

Reference📚:
-------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke wo pehra de rahe thy, log ghabra gaye aur saahil ki taraf chale, phir kaha gaya ke: koi masla nahi, log wapas aagaye. Abu Huraira RadiAllahu Anhu khade rahe ek aadmi un ke paas se guzra to kehne laga : Abu Huraira RadiAllahu Anhu kyun khade hain? unhon ne kaha : Mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna farma rahe thy :Allah ke raste mein ek ghadi khade rehna Lailatul Qadr mein Hajre Aswad ke pass Qiyam se behtar hain.
Al-Silsila-tus-Sahiha#2155
**
Rasool-Allah Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Behsak Allah Subhanahu ki raah mein ek din ke liye pehra dena Ek hazar  dino ( yani 2 saal se bhi zyada)  ki ibadat se behtar hain..
Musnad Ahmed - 4802-Sahih
**
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya bewa aurton aur miskeeno ke liye mehnat aur koshish karne wala Allah ki raah mein Jihad karne wale ke manid hain, aur iss shakhs ke manid hain jo raat bhar qayam kare, aur din ko roza rakhta ho
Sunnan e ibn e Maja#2140- Sahih
**
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Teen Aadmi aise hain, jinki Aankhine Qayamat ke din dozakh ki aag ko nahi dkehegi (yani unko aag nahi chu sakegi ) wo aankh jo Allah ke darr se roye, wo aankh jisne Allah ke raaste mein pehra diya, aur wo aankh jisne Allah ki Haram kardah Cheezo ko nahi dekha
As-Silsila As-Sahiha 1477
**
Usman bin Afwan Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ke raste mein ek din sarhad par tayyar ho kar baithna ( neki ke liye)  dusre maqamat mein hazar din baithne se afzal hai 
Sunan Nisai – 3171-Sahih
**
Rasool-Allah Sal-Allahu Alahai Wasallam ne farmaya Jo Shaks Allah subhanahu ki raah mein (yani jihad mein ek din )roza rakhega to Allah Subhanahu Uske aur Aag ke darmiyan issi tarha Ek khandaq bana dega Jaise zameen aur asman ke darmiyan hain
Jam e Tirmazi Hadees # 1624-Sahih
***
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya zindagi ke chaar amal Maut ke baad bhi jari rehte hain woh shakhs jis ki Naik Aulaad hain aur woh is ke liye dua karti hain, unki duayen is tak pouncha di jati hain woh shakhs jis ne sadqa jariya kiya, iske liye is ke baqi rehne tak ajar chalta rahega. woh shakhs jis ne ilm shikhaya jis par is ke marne ke baad bhi Amal kiya jata raha, iske liye bhi itna he ajar hoga jitna ajar amal karne wale ke liye hain is ke ajar mein se kuch bhi kum nahi hoga, aur woh shakhs jo pehra dete huwe faut hogaya qayamat tak is ka ajar jari rahega
Al-Silsila-tus-Sahiha#3234-Sahih

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek sahabi ke baare mein pucha to logon ne bataya ki unki tabiyat thik nahi hain tab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam un sahabi se milne gaye aur unhe farmaya "Khush ho jao"

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 779❗

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek sahabi ke baare mein pucha to logon ne bataya ki unki tabiyat thik nahi hain tab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam un sahabi se milne gaye aur unhe farmaya "Khush ho jao"

Sawal: Wo Sahabi kaun they

A : Huzaifa Radi Allahu Anhu
B : Hilaal Bin Umaiyya Radi Allahu Anhu
C : Ikrama Radi Allahu Anhu
D : Abdullah bin Rawaha Radi Allahu Anhu
E : Abu Dijana Radi Allahu Anhu
F : Kaab Radi Allahu Anhu
G : In mein se koi nahi to apna jawab likhein
H : Sahi jawab ka Intezaar
*****
Sahi Jawab F ✅

Hadith: Kaab RadiAllahu Anhu ki fazilat

Reference : 📚
---------
Kaab Bin Ajrah Radi Allahu Anhu se riwayat hain ke Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jab Kaab Radi Allahu Anhu ko na paaya to iske mutalliq pucha? Logon ne kaha wo beemar hain. Aap chalte huwe in ke paas aaye jab inke paas pahunche to Aap ne farmaya Kaab khush ho jao, Inki walida ne kaha Kaab tumhe jannat Mubarak ho. Aap Sallallahu Allahi Wasallam ne farmaya : Ye Allah par kasam khane wali koun hai? Kaab ne Kaha : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Allahi Wasallam! Ye meri walida hai. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya : Umme Kaab! Tumhe kya maloom hai shayad kabhi Kaab ne be faidah fuzool ghuftagu ki ho, ya jo cheez iski jarooorat ki na thi isey roka ho.
----------
کعب بن عجرہ‌رضی اللہ عنہ  سے مروی
 ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نےجب کعب‌رضی اللہ عنہ کو نہ پایا تو اس کے متعلق پوچھا؟ لوگوں نے کہا وہ بیمار ہیں ۔آپ چلتے ہوئے ان کے پاس آئے ، جب ان کے پاس پہنچے تو آپ نے فرمایا کعب خوش ہو جاؤ ،ان کی والدہ نے کہا کعب تمہیں جنت مبارک ہو۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: یہ اللہ پر قسم کھانےوالی کون ہے؟ کعب نے کہا: اے اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم ! یہ میری والدہ ہیں۔آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ام کعب! تمہیں کیا معلوم کہ  شاید کبھی کعب نے بے فائدہ (فضول)گفتگو کی ہو، یا جو چیز اس کی ضرورت کی نہ تھی اسے روکا ہو۔
----------
Al-Silsila-tus-Sahiha#3-Sahih

Wo kya hain jiske baare mein hadith mein farmaya gaya hain ki Jab tak Tauba ka silsila jaari rahega wo tab tak rahegi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 778❗

Sawal: Wo kya hain jiske baare mein hadith mein farmaya gaya hain ki Jab tak Tauba ka silsila jaari rahega wo tab tak rahegi

A: Amanat
B: Tijarat
C: Hijrat
D: Hukumat
E: Sood
F: Bazaar
G: Zulm
H: Inmein se koi nahi
I: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab C✅

Hadith: Hijrat tab tak nahi khatam hogi jab tak tauba ka silsila khatam nahi hoga..

Reference : 📚
---------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko farmate huwe suna : Hijrat khatam nahi hogi yahan tak ke tauba ka silsila khatam ho jaye, aur tauba khatam nahi ho gi yahan tak ke Sooraj paschim se nikal aaye.
----------
میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا:  ہجرت ختم نہیں ہو گی یہاں تک کہ توبہ کا سلسلہ ختم ہو جائے، اور توبہ ختم نہیں ہو گی یہاں تک کہ سورج پچھم سے نکل آئے ۱؎ ۔ 
-----------
 Narrated Muawiyah: I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam say: Migration will not end until repentance ends, and repentance will not end until the sun rises in the west. 
---------
Sunnan e Abu Dawood#2479-Sahih

Ek hadees ke mutabiq wo kya wajah hogi ke Jannat ke logon ko neend nahi aayegi

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 777❗

Sawal: Ek hadees ke mutabiq wo kya wajah hogi ke Jannat ke logon ko neend nahi aayegi

A: Jannat ki hoor dehk kar
B: Jannat ke khadim dehk kar
C: Jannat ka chasma dehk kar
D: Jannat ka Phal dehk kar
E: Jannat mein baagh dehk kar
F: Jannat mein apna ghar dehk kar
G: Inmein se koi nahi (apna sahi jawab likhiye)
H: Sahi Jawab ka intezaar
******
Sahi Jawab - G✅ Kuyke Neend maut ki terhan hain aur Jannat mein Maut nahi hogi isliye Jannat wale nahi soyege

Hadith: Jannat mein kisi ko neend nahi ayegi...

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Neend Maut ki terhan hain aur Ahle Jannat sote nahi
----
آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: نیند موت كی طرح ہے اور اہل جنت سوتے نہیں
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Sleep is like death and the people of Paradise do not sleep
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#1512-Sahih

Fitnon mein ghire log ek dusre ko maar dalte hai aur Allah Subhanahu se maghfirat bhi talab nahi karte...

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 776❗

Fitnon mein ghire log ek dusre ko maar dalte hai aur Allah Subhanahu se maghfirat bhi talab nahi karte

Sawal: Kis wajah se wo aisa karte hain ?

A: Firqa parasti ki wajah se
B: Apne Hukmarano ke hukmo ki wajah se
C: Apne RABB ki razamadi smajhte hain
D: Takkabur ki wajah se
E: Apne Nasab aur Qabeelon ki wajah se
F: Khud ko hidayat per samajte hain
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - F✅

Hadith: Fitno ke dauran jo ek dusre ka qatl karte hain aur khud ko hidayat par samjhte hain aur...

Reference📚:
----
Khalid b. Dihqan RadiAllahu Anhu ne Yahya b. Yahya al-Ghassani RadiAllahu Anhu se qoul Nabwi « اعتبط بقتلہ »  i'tabata bi qatlihi ke baare mein poocha, to Aap ne kaha : is se murad wo log hain jo ek dusre ko fitne mein ye samajh kar qatal karte hain ke hum hidaayat par hain, phir wo Allah Subhanahu se Tauba o astaghfar nahi karte ....yani is (qatal) se. itabata ke maiene (na-haq) khoon bahane ke hain .
---
میں نے یحییٰ بن یحییٰ غسانی سے قول نبوی «اعتبط بقتلہ» کے بارے میں پوچھا، تو آپ نے کہا: اس سے مراد وہ لوگ ہیں جو ایک دوسرے کو فتنے میں یہ سمجھ کر قتل کرتے ہیں کہ ہم ہدایت پر ہیں، پھر وہ اللہ سے توبہ و استغفار نہیں کرتے یعنی اس  ( قتل )  سے۔ ابوداؤد کہتے ہیں: «اعتبط» اعتبط کے معنی  ( ناحق )  خون بہانے کے ہیں۔ 
----
Khalid b. Dihqan said: I asked Yahya b. Yahya al-Ghassani about the word i'tabata bi qatlihi spoken by him (as mentioned in the previous tradition). He said: It means those people who fight during the period of commotion (fitnah), and one of them kills (the other people) presuming that he is in the right, so he does not beg pardon of Allah of that (sin).
Abu Dawud said: And he said: The word fa'tabata means "he shed blood profusely"
---
Sunnan e Abu Dawood#4271-Sahih

In mein se kiski misaal raakh ki tarah hain jis par hawa ka sakht jhonka aaya andhi wale din aur sab tabah ho jaye?

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 775❗

Sawal : In mein se kiski misaal raakh ki tarah hain jis par hawa ka sakht jhonka aaya andhi wale din aur sab tabah ho jaye?

A : Allah Subhanahu ke munkir
B : Allah Subhanahu par Emaan nahi rakhte
C : Jo quran ko mante hai par hadees ko nahi
D : Jo apna deen badal dete hain
E : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke munkir
F : Jisko roz e qayamat par yaqeen nahi 
G : In mein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H : Sahi jawab ka Intezaar
*****
Sahi Jawab A ✅

Al Quran: Jo apne RABB ke munkir hote hain wo durr ki gumrahi mein se hain

Reference : 📚
---------
Bismillahirrahmannirrahim
Apne RABB se munkiron ka haal aisa hain ke inke kaam hai jaise raakh ke is par hawa ka sakht jhonka aaya andhi ke din mein saari kamayi mein se kuch haath na laga, yahi hai durr ke gumraahi
------------
اپنے رب سے منکروں کا حال ایسا ہے کہ ان کے کام ہیں جیسے راکھ کہ اس پر ہوا کا سخت جھونکا آیا آندھی کے دن میں ساری کمائی میں سے کچھ ہاتھ نہ لگا ، یہی ہے دور کی گمراہی ،
------------
The example of those who disbelieve in their Lord is [that] their deeds are like ashes which the wind blows forcefully on a stormy day; they are unable [to keep] from what they earned a [single] thing. That is what is extreme error. 
-------------
Surah Ibrahim - (14:18)

Mahfhum Mukammal kare…. Wo kaunsa amal hain jiski wajah se Allah Subhanahu bahut khush hota hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 774❗

Sawal: Mahfhum Mukammal kare…. Wo kaunsa amal hain jiski wajah se Allah Subhanahu bahut khush hota hain

A: jab koi shakhs awwal waqt mein namaz padhta hain
B: Sila Rehami karne mein pehal karta hain
C: Tangi mein sabr karta hain
D: Chupa kar sadqa deta hain
E: jo ilm hasil karne ke liye mehnat karta hain
F: jo har haal mein Allah ka shukr karta hain
G: Inmein se koi nahi 
H: Sahih Jawab ka intezaar
-----
Sahih Jawab - G✅ (Tauba karne par)

Hadith: Allah Subahnahu jab banda tauba karta hain to bahut ziyada khush hota hain

أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ
------
Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ko apne bande ki tauba se tum mein se Kisi aise shaks ki nisbat kahin zyada Khushi hoti hain jab chatel sarha (yani kisi regastani jagha) mein uske us Oonth ke aane par uski ankh khulti hai jise wo sehra mein ghoom kar chuka hota hain
Sahih Muslim Hadees#6961
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : اللہ تعالیٰ کو اپنے بندے کی توبہ سے ، تم میں سے کسی ایسے شخص کی نسبت کہیں زیادہ خوشی ہوتی ہے جب چٹیل صحرا میں اس کے ( اس ) اونٹ ( کے آنے ) پر اس کی آنکھ کھلتی ہے جسے وہ صحرا میں گم کر چکا ہوتا ہے ۔
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: Allah is more pleased with the repentance of His servant than if one of you gets up and he finds his camel missing in a waterless desert (and then he accidentally finds it).
Sahih Muslim Hadees#6961

Mahfhum mukammal kariye….wo kaunsa amal hain jiske karne wale shakhs ke liye Allah Subhanahu Khushi ke raste ko asaan kar deta hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 773❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Mahfhum mukammal kariye….wo kaunsa amal hain jiske karne wale shakhs ke liye Allah Subhanahu Khushi ke raste ko asaan kar deta hain

A: Logon ko maaf karna
B: La ilaha illAllah ka iqrar karna
C: Namaz mein Lamba Qiyam karna
D: Allah Subhanahu ke darr se ek aassu bahana
E: Logon ke liye assani karna
F: Allah ki raha mein karch karna
G: Allah Subhanahu ka khauf
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - BFG✅

Hadith: wo amal jo khushi ki raah asaan kar deti hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Allah Subhanahu ka ye farman sunaya faramaya Jo shaks Allah Subhanahu ke raste mein kharch kare Allah Subhanahu se dare aur Kalma tawheed (yani Laa illaha illAllaha) ki tasdik kare to hum uske liye asani aur khushi ki raah asaan kar denge aur Jo shaks bukhl kare duniya ki shehwat (yani duniya ki khuwaish) mein padh kar Jannat ki naimaton se be parwayee karen aur Kalma e tawheed ko jhutlaye to hum uske liye sakhti aur badbakhti ki raah asan kar denge
------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے اللہ تعالیٰ کا یہ فرمان سنایا: جو شخص اللہ کے راستے میں خرچ کرے، اللہ سے ڈرے، اور کلمہ توحید کی تصدیق کرے تو ہم اس کے لیے آسانی اور خوشی کی راہ آسان کر دیں گے، اور جو شخص بخل کرے، دنیوی شہوات میں پڑ کر جنت کی نعمتوں سے بے پروائی برتے اور کلمہ توحید کو جھٹلائے تو ہم اس کے لیے سختی اور بدبختی کی راہ آسان کر دیں گے ۱؎۔
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam recited: “So he who gives (in charity) and fears (Allah), and in all sincerity testifies to the best, we will indeed make smooth for him the path to bliss. But he who is a greedy miser and thinks himself self-sufficient, and gives the lie to the best, We will indeed make smooth for him the path of misery. ” 
Sunan Abu Dawud-Hadees#4694-Sahih

Monday 16 August 2021

Beshak, Allah ki madad qareeb hain



Bismillahirrahmannirrahim

أَلَا إِنَّ نَصْرَ اللَّهِ قَرِيبٌ
--
Beshak, Allah ki madad qareeb hain
----
بے شک الله کی مدد قریب ہے
---
Indeed, The Help of Allah is near!
---
Surah Al Baqrah : (02:214)


 

Ghusal khane mein peshab karne se bacho kuynke...



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Ghusal khane mein peshab karne se bacho kuynke...
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne iss se mana farmaya ke aadmi ghusal khane mein peshaab kare, kuyn na ke aam waswase iss wajah se hote hain
--
رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ نے اس سے منع فرمایا کہ آدمی اپنے غسل خانے میں پیشاب کرے، کیونکہ عام وسوسے اسی وجہ سے ہوتے ہیں۔
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam prohibited that a man should urinate in his bathing area. And he said it will only cause misgivings.
----
Musnad Ahmed#486-Sahih
https://pin.it/33mEOVe


 

Surah Al-Ikhlas 10 baar padhne wale ke liye Allah Subhanahu Jannat mein ek Mahal tameer kar denge





Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Surah Al-Ikhlas 10 baar padhne wale ke liye Allah Subhanahu Jannat mein ek Mahal tameer kar denge
-----------
Muaaz bin Anas Radi Allahu Anhu se riwayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaye jis shakhs ne Qul huwallahu Ahad (Surah Al-Ikhlas) 10 baar mukammal padhi to Allah Subhanahu uske liye Jannat mein ek Mahal tameer kar dega, Umar Radi Allahu Anhu ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam tab to hum bahut se mahal hasil kar lenge, to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ziyada ataa karne wala aur paak hain
Al-Silsila-tus-Sahiha - 2979-Sahih
-------
بسم الله الرحمن الرحيم

قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ
----
Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hain, Na uski koi Aulad hain aur na wo kisi ki Aulad hain, Aur uske barabar ka koi nahi hain
-----
Surah Al-Ikhlas 112
------
معاذ بن انس جہنی‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جس شخص نے  سورۃ الاخلاص قُلۡ ہُوَ  اللّٰہُ  اَحَدٌ  ۚ﴿۱٠﴾ دس مرتبہ مکمل پڑھی، تو اللہ تعالیٰ اس کے لئے جنت میں ایک محل تعمیر کر دے گا۔ عمر‌رضی اللہ عنہ  نے کہا: اے اللہ کے رسول  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌تب تو ہم بہت سے محل حاصل کرلیں گے۔ آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: اللہ تعالیٰ زیادہ عطا کرنے والا اور پاک ہے
---------
Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Whoever recites Surah Al-Ikhlas 10 times Allah Subhanahu will build for him a Palace in the Paradise.
------
Narrated by Muadh bin Anas Radi Allahu Anhu that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Whoever recites Qul huwallahu ahad (Surah Al-Ikhlas) 10 times, Allah will build for him a palace in the Paradise. Umar Radi Allahu Anhu said in this way we may get many palaces. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Allah is the most giver and better.
Al-Silsila-tus-Sahiha - 2979-Sahih
----
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ

قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ

Say He is ALLAH , the One and Only ALLAH , the Eternal, He begets not, nor was He begotten.And there is none like unto Him.
Surah Al-Ikhlas, 112
https://youtube.com/shorts/DRQffKGdibI?feature=share



 

Munafiqeen har Saal Ek ya Do baar aazmaye jate hain



Bismillahirrahmannirrahim

Al-Quran: Munafiqeen har Saal Ek ya Do baar aazmaye jate hain
-----------
Kya wo nahi dekhte ke wo (yani munafiq) har Saal ek ya do martaba  imtehaan mein dale jate hain? Magar is par bhi na to wo tauba karte hain, na koi sabaq seekhte hain aur na koi naseehat he qubool karte hain.
---------
کیا وہ نہیں دیکھتے کہ وہ ہر سال ایک یا دو مرتبہ امتحان میں ڈالے جاتے ہیں؟ مگر اِس پر بھی نہ تو وہ توبہ کرتے ہیں   ،  نہ کوئی سبق سیکھتے ہیں اور نہ کوئی نصیحت ہی قبول کرتے ہیں ۔
--------
Do they (hypocrites) not see that they are tried every year once or twice but then they do not repent nor do they remember? 
---------
Surah Taubah: (9:126)
https://pin.it/33mEOVe


 

Museebat ya pareshani ke waqt padhne ki dua..Allahu, Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa







Bismillahirrahmannirrahim

Museebat ya pareshani ke waqt padhne ki dua..Allahu, Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa
------
 Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki kya main tumhe chand aise kalimat na sikhau jinhe tum Museebat ( ya pareshani) ke waqt ya Museebat mein kaha karo

اللَّهُ اللَّهُ رَبِي لاَ أُشْرِكُ بِهِ شَيْئًا
Allahu, Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa
(ALLAH, ALLAH mera RABB hai aur main uske saath kisi ko sharik nahi karta)
Sunan Abu Dawood,1525-Sahih
----------------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: کیا میں تمہیں چند ایسے کلمات نہ سکھاؤں جنہیں تم مصیبت کے وقت یا مصیبت میں کہا کرو 

الله الله ربي لا أشرك به شيئًا
یعنی اللہ ہی میرا رب ہے، میں اس کے ساتھ کسی کو شریک نہیں کرتی 
-----------
Bismillahirrahmanirrahim

Dua to read in distress - Allahu Allahu Rabbi La ushriku behi shayaa
----
Narrated Asma daughter of Umays Radi Allahu Anhu The Messenger Sallallahu Alaihi Wasallam said to me: May I not teach you phrases which you say in distress? (These are:) 

 اللَّهُ  اللَّهُ رَبِّي لَا أُشْرِكُ بِهِ شَيْئَاً
Allahu Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa
(Allah , Allah is my Lord, I do not associate anything as partner with Him.) 
Sunan Abu Dawud, 1525-Sahih
https://youtube.com/shorts/OxakSYeOLzY?feature=share




 

Aisi cheez ya aisa kaam jo pasand na ho to us waqt padhne ki dua,,,Alhamdulillah Ala Kulli Haal





Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Aisi cheez ya aisa kaam jo pasand na ho to us waqt padhne ki dua
-----
Aisha Radi Allahu anha se rivayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam jab koi aisi cheez ya aisa kaam dekhte jo aap ko pasand na ho to farmate 
اَلْحَمْدُ لِلهِ عَلَى كُلِّ حَالٍ
Alhamdulillah Ala Kulli Haal
Har haal mein Allah subhanahu ka shukr hai
Al-Silsila As Sahiha, 2887-Sahih  
-----
عائشہ  رضی الله عنہا کہتی ہیں رسول الله ﷺ جب کوئی ایسی  چیز  یا  ایسا کام دیکھتے  جو آپ کو  پسند نہ ہو تو فرماتے 
اَلْحَمْدُ لِلهِ عَلَى كُلِّ حَالٍ
ہر حال میں اللہ کا شکر ہے
-----
Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Dua to be recited when you dislike something..

It was narrated that Aisha RadiAllahu Anhu said When the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam saw something he disliked, 
he would say: 
اَلْحَمْدُ لِلهِ عَلَى كُلِّ حَالٍ
Alhamdulillah Ala Kulli Haal
Praise be to Allah in all circumstances
Al-Silsila As Sahiha, 2887-Sahih
https://youtu.be/G22BRvhtU6U


 

SubhanAllah, Alhumdullilah La illaha illallaha Allahu Akbar behtareen kalaam hai joh Allah Subhanahu ko intehai pasand hain.




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: SubhanAllah, Alhumdullilah La illaha illallaha Allahu Akbar behtareen kalaam hai joh Allah Subhanahu ko intehai pasand hain.
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wa sallam ne farmaya chaar kalme, SubhanAllah, Alhumdullilah La illaha illallaha Allahu Akbar behtareen kalaam hain. 
aur Allah Subhanahu ko chaar kalme intehai pasand hain, SubhanAllah, Alhumdullilah La illaha illallaha Allahu Akbar, un mein se jisse bhi pehle padho woh tumahray liye muzir nahi.
----
حضرت سمرہ بن جندب   ؓ  بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ چار کلمے ، سبحان اللہ ، الحمدللہ ، لا الہ الا اللہ اور اللہ اکبر ، بہترین کلام ہیں 
اللہ کو چار کلمے انتہائی پسند ہیں ، سبحان اللہ ، الحمدللہ ، لا الہ الا اللہ اور اللہ اکبر ، ان میں سے جسے بھی پہلے پڑھو وہ تمہارے لئے مضر نہیں ۔‘‘ 
----
Mishkat ul Masabeeh#2294-Sahih




 

Allah Subhanahu se Dua maagne ki fazilat



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah Subhanahu se Dua maagne ki fazilat
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: "Allah Subhanahu ke Nazdik DUA se Muaziz aur Makrum (Bahut Aziz) koi Cheez (Ibadat) nahi hain
-----
 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اللہ کے نزدیک دعا سے زیادہ معزز و مکرم کوئی چیز  ( عبادت )  نہیں ہے“ ۱؎۔ 
_
Abu Hurairah narrated that: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: “There is nothing more honorable with Allah [Most High] than supplication.”
----
JameTirmizi Hadith# 3370-Sahih
****
Syedna Abu Saeed RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo musalman aisi dua karta ho, jis mein gunah aur qata rehami wali baat na ho to Allah taala is ko teen mein se ek cheez ataa karta hai, ya uski dua jaldi jaldi qubool kar li jati hai, ya is ki dua ko akhirat ke liye zakheera kar liya jata hai, ya is ke koi takleef ya  buri cheez ko usse durr kar diya jata hai. Sahaba RadiAllahu Anhu ne kaha to phir hum bohat ziyada dua karen ge, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ta’ala ziyada ataa karne wala hain
----
سیدنا ابو سعید  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  جو مسلمان ایسی دعا کرتا ہو، جس میں گناہ او رقطع رحمی والی بات نہ ہو تو اللہ تعالیٰ اس کو تین میں سے ایک چیز عطا کرتا ہے، یا اس کی دعا جلدی جلدی قبول کر لی جاتی ہے، یا اس کی دعا کو آخرت کے لیے ذخیرہ کر لیا جاتا ہے، یا اس کے بقدر اس آدمی سے بری چیز کو دور کر دیا جاتا ہے۔  صحابہ نے کہا: تو پھر ہم بہت زیادہ دعا کریں گے، آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اللہ تعالیٰ زیادہ عطا کرنے والا ہے۔  
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: If any Muslim who supplicates to Allah without sin or cutting family ties, Allah will grant him one of the three things his supplication is quickly accepted, or his supplication is stored for the Hereafter, or the evil thing is removed from this man accordingly. The companions said: Then we will supplicate a lot. The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Allah is the bestower.
----
Musnad Ahmed#5585-Sahih
**
Sayedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya koi cheez nahi hain jo dua se badh kar Allah Subhanahu taala ke haan ziyada izzat wali ho
----
 ۔ سیدنا ابو ہریرہ  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  کوئی چیز نہیں ہے، جو دعا سے بڑھ کر اللہ تعالیٰ کے ہاں زیادہ عزت والی ہو۔ 
----
It is narrated on the authority of Abu Huraira RadiAllahu Anhu that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: There is nothing that is more honorable in the sight of Allah than supplication.
----
Musnad Ahmed#5587-Sahih
***
Sayedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: jo Allah Subhanahu taala se dua nahi karta, Allah Subhanahu taala is se naraaz ho jata hain
-----
۔ سیدنا ابوہریرہ  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  جو اللہ تعالیٰ سے دعا نہیں کرتا، اللہ تعالیٰ اس سے ناراض ہو جاتا ہے۔  
-----
It is narrated on the authority of Abu Huraira RadiAllahu Anhu that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever does not supplicate to Allah, Allah becomes angry with him.
----
Musnad Ahmed#5588-Sahih
*****
Syedna Salman Farsi RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Allah Subhanahu taala ne kaha jab banda Allah taala se sawal karne (dua) ke liye is ke samne apne dono haath daraaz karta hain to wo is se sharmaata hain ke un ko khaali wapas karde
----.
سیدنا سلمان فارسی  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ اللہ تعالیٰ نے کہا: جب بندہ اللہ تعالیٰ سے سوال کرنے کے لیے اس کے سامنے اپنے دونوں ہاتھ دراز کرتا ہے تو وہ اس سے شرماتا ہے کہ ان کو خالی واپس کر دے۔
----
It is narrated on the authority of Salman Farsi (may Allah be pleased with him) that Allah Almighty said: When a servant raises his hands in front of him to ask Allah, he is ashamed to return them empty-handed.
----
Musnad Ahmed#5590-Sahih
***
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Jab tum Allah se mango to apni hateliyon ka rukh asmaan ki taraf kar ke mango aur is ke hatheliyon ki pusht ke rukh par na mango
---------
مالک بن یسار سکونی عوفی سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب تم اللہ سے مانگو تو اپنی ہتھیلیوں کا رخ آسمان کی طرف کر کے مانگو اور اس سے ہتھیلیوں کی پشت کے رخ پر نہ مانگو
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: When you supplicate to Allah, turn your palms towards the sky, and do not ask Him towards the back of your palms.
------
Al-Silsila-tus-Sahiha#236-Sahih
https://pin.it/33mEOVe


 

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...