Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 9 March 2021

kaunse sahabi ne rote huwe farmaya ke mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam par ghairat karoonga?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunse sahabi ne rote huwe farmaya ke mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam par ghairat karoonga?

A: Ukasha RadiAllahu Anhu
B: Utman RadiAllahu Anhu
C: Abu Talha RadiAllahu Anhu
D: Saad bin Muadh RadiAllahu Anhu
E: Khalid bin Walid RadiAllahu Anhu
F: Umar RadiAllahu Anhu 
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
----------
Sahi Jawab - F✅

Hadith- Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne khawab mein Jannat dekha aur waha inn logo ko paya...

Reference📚:

-----
RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya main (khawab mein) jannat mein dakhil hua to waha Abu Talha Radi Allahu Anhu ki biwi Rumaisa Radi Allahu Anha ko dekha aur mein ne qadmon ki aawaz suni to mein ne poocha ye kaun sahib hain? btalaya gaya ke ye Bilal RadiAllahu Anhu hain aur mein ne Ek Mahal dekha is ke samne ek aurat thi, mein ne poocha ye kis ka Mahal hai? to bataya ke ye Umar RadiAllahu Anhu ka hai mere dil mein aaya ke andar daakhil ho kar usse daikhon, lekin mujhe Umar ki ghairat yaad aayi ( aur is liye andar daakhil nahi huwa) is par hazrat Umar RadiAllahu Anhu ne rote huwe kaha mere maa baap aap par fida ho Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahihi wasallam kya mein aap par ghairat karoonga
Sahih Bukhari 3679 
---
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : میں ( خواب میں ) جنت میں داخل ہوا تو وہاں میں نے ابوطلحہ رضی اللہ عنہ کی بیوی رمیصاء کو دیکھا اور میں نے قدموں کی آواز سنی تو میں نے پوچھا یہ کون صاحب ہیں ؟ بتایاگیا کہ یہ بلال رضی اللہ عنہ ہیں اور میں نے ایک محل دیکھا اس کے سامنے ایک عورت تھی ، میں نے پوچھا یہ کس کا محل ہے ؟ تو بتایا کہ یہ عمر رضی اللہ عنہ کا ہے ۔ میرے دل میں آیا کہ اندر داخل ہو کر اسے دیکھوں ، لیکن مجھے عمر کی غیرت یاد آئی ( اور اس لیے اندر داخل نہیں ہوا ) اس پر حضرت عمر رضی اللہ عنہ نے روتے ہوئے کہا میرے ماں باپ آپ پر فدا ہوں ، یا رسول اللہ ! کیا میں آپ پر غیرت کروں گا ۔
----
Narrated Jabir bin `Abdullah: The Prophet (ﷺ) said, "I saw myself (in a dream) entering Paradise, and behold! I saw Ar-Rumaisa', Abu Talha's wife. I heard footsteps. I asked, Who is it? Somebody said, 'It is Bilal ' Then I saw a palace and a lady sitting in its courtyard. I asked, 'For whom is this palace?' Somebody replied, 'It is for `Umar.' I intended to enter it and see it, but I thought of your (`Umar's) Ghira (and gave up the attempt)." `Umar said, "Let my parents be sacrificed for you, O Allah's Messenger (ﷺ)! How dare I think of my Ghira (self-respect) being offended by you?
----
Sahih Bukhari 3679

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...