Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 9 March 2021

Is ayat mein kya naseehat di gayi thi...وَأَقِمِ الصَّلاةَ طَرَفَيِ النَّهَارِ وَزُلَفًا مِنَ اللَّيْلِ إِنَّ الْحَسَنَاتِ يُذْهِبْنَ السَّيِّئَاتِ ذَلِكَ ذِكْرَى لِلذَّاكِرِينَ

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se zyada hain

وَأَقِمِ الصَّلاةَ طَرَفَيِ النَّهَارِ وَزُلَفًا مِنَ اللَّيْلِ إِنَّ الْحَسَنَاتِ يُذْهِبْنَ السَّيِّئَاتِ ذَلِكَ ذِكْرَى لِلذَّاكِرِينَ

Sawal: Is ayat mein kya naseehat di gayi thi

A:Zikr karne walo ke liye naseehat hain
B:Nekiya burai ko mita deti hain
C: Tahhajud ki namaz qaim karo
D: Subah aur Shaam ki namaz qaim karo
E: Fajar ke waqt Quran qaim karo
F: Sadqa neikyon mein izafa karta hain
G: din ke kuch hisse mein Quran ki tilawat karo
H: Raat ke ek hisse mein Namaz qaim karo
I: Sahi jawab ka intezaar
*********
Sahi Jawab - ABDH✅

Jis se kuch khataye hojaye wo in baton par amal kare

Reference📚:
-----
Ek shakhs ne Nabi Akram Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aa kar bataya ke is ne ek aurat ka bosa liya hai, wo is ka kaffara puchne laga, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne is se kuch nahi kaha to is par Allah Azzwajal ne ye aayat nazil farmaie
 «وَأَقِمِ الصَّلاةَ طَرَفَيِ النَّهَارِ وَزُلَفًا مِنَ اللَّيْلِ إِنَّ الْحَسَنَاتِ يُذْهِبْنَ السَّيِّئَاتِ ذَلِكَ ذِكْرَى لِلذَّاكِرِينَ »
Namaz qaim karo din ke dono hisson (subah o shaam) mein aur raat ke ek hisse mein, beshak neikian buraiyon ko durr kar deti hain, ye zikar karne walon ke liye ek naseehat hain
(Surah Hood : 114)
is shakhs ne arz kiya Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! kya ye (khaas) mere liye hain? to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : ye meri ummat mein se har is shakhs ke liye hain jo is par amal kare
----
It was narrated from Ibn Mas’ud that a man came to the Prophet (ﷺ) and said that he had kissed a woman, and he started to ask about expiation, but he (the Prophet (ﷺ) did not say anything to him. Then Allah revealed the Verse:
“And perform prayers at the two ends of the day and in some hours of the night. Verily, the good deeds remove the evil deeds. That is a reminder for the mindful. ” [11:114] The man said: “O Messenger of Allah, is this (the Verse) just for me?” He said: “It is for whoever acts upon it among my nation.” 
----
ایک شخص نے نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آ کر بتایا کہ اس نے ایک عورت کا بوسہ لیا ہے، وہ اس کا کفارہ پوچھنے لگا، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے اس سے کچھ نہیں کہا تو اس پر اللہ عزوجل نے یہ آیت نازل فرمائی: «وَأَقِمِ الصَّلاةَ طَرَفَيِ النَّهَارِ وَزُلَفًا مِنَ اللَّيْلِ إِنَّ الْحَسَنَاتِ يُذْهِبْنَ السَّيِّئَاتِ ذَلِكَ ذِكْرَى لِلذَّاكِرِينَ»  نماز قائم کرو دن کے دونوں حصوں  ( صبح و شام )  میں اور رات کے ایک حصے میں، بیشک نیکیاں برائیوں کو دور کر دیتی ہیں، یہ ذکر کرنے والوں کے لیے ایک نصیحت ہے   ( سورۃ ہود: ۱۱۴ ) ، اس شخص نے عرض کیا: اللہ کے رسول! کیا یہ  ( خاص )  میرے لیے ہے؟ تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  یہ میری امت میں سے ہر اس شخص کے لیے ہے جو اس پر عمل کرے ۔ 
---
Sunnan e Ibn e Maja#4254-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...