Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 9 March 2021

Ek Sahabi ne kaha ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ye amal kiya karte they lekin abb kuch logon ne wo amal karna chod diya hain wo kaunse amal ke bare mein irshad farma rahe they

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se zyada hain

Sawal: Ek Sahabi ne kaha ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ye amal kiya karte they lekin abb kuch logon ne wo amal karna chod diya hain wo kaunse amal ke bare mein irshad farma rahe they

A: Sajde ki halat mein dua magna
B: Rafayadain karna
C: Sajda karte waqt ya sir utthate waqt Allah hu Akbar kehna
D: Ruku se uthte waqt haath utha kar dua karna
E: kuch dair khamosh raha karte thy
F: Tahhashud mein ugli se halkat karna
G: Namaz ke fauran baad SubhanAllah kehna
H: Sahi Jawab ka Intezaar
********
Sahi Jawab - BCE✅

Namaz ke dauran karne wale kuch amal jis par logon ne amal karna chode diya hain

Reference📚:
-----
Hazrat Sa'eed bin Sam'an RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu masjid Banu Zuraiq ki taraf aaye aur kehne lage teen cheeze aisi hain jin par Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam amal karte they lekin logon ne unhein chode diya hain Aap namaz mein achi terhan haath utha kar Rafayadain karte they Aap kuch dair khamosh raha karte they aur Aap jab sajda karte ya sir uthatay to Allah hu Akbar kehte
-----
Sa'eed bin Sam'an said Abu Hurairah came to the Masjid of Banu Zuraiq and said: "There are three things that the Messenger of Allah (ﷺ) used to do and the people have abandoned; he used to raise his hands extended when praying, and he would fall silent briefly, and say takbir when he prostrated and when he sat up."
----
حضرت سعید بن سمعان سے روایت ہے کہ حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ مسجد بنی زریق کی طرف آئے اور کہنے لگے : تین چیزیں ایسی ہیں جن پر رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم عمل کرتے تھے لیکن لوگوں نے انھیں چھوڑ دیا ہے : آپ نماز میں اچھی طرح ہاتھ اٹھا کر رفع الیدین کرتے تھے ۔ آپ کچھ دیر خاموش رہا کرتے تھے ۔ اور آپ جب سجدہ کرتے یا سر اٹھاتے تو اللہ اکبر کہتے ۔ 
----
Sunnan e Nisai#884-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...