Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 9 March 2021

Ek sahabi ke walid ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko kuch farmate huwe suna to Apne liye bad dua mangne lage

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek sahabi ke walid ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko kuch farmate huwe suna to Apne liye bad dua mangne lage

Sawal: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kya farma rahe thy

A: Achchi Sehat se behatar beemari hain
B: har museebat par sabr karne wale ke liye Jannat ki basharat hain
C: beemar shaks ko hajj aur umrah ka sawab hasil hoga
D: Maut momin ke liye rahat hain
E: Taqdeer ko dua badal sakti hain
F: beemariya gunaho ka kaffara hain
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*************
Sahih Jawab - F✅

Har beemari Insan ke liye uske gunaho ka kaffara ban jaati hain

Reference📚:
----
Syedna Abu Saeed RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke ek aadmi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se kaha : jo bemariyan hamein la-haq hoti hain, un ke barre mein Aap ka kya khayaal hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : ye gunaaho ka kaffara ban'nne wali hain mere baap ne kaha agarchay wo beemari mamooli ho? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam farmaya agarchay wo kaanta ho ya is se badhi koi cheez ye sun kar mere baap ne apne haq mein ye bad dua kar di ke is ki mout tak bukhaar is se judda na ho, lekin wo bukhaar is ko hajj, umrah, jihaad fi Sabeel Allah aur bajamaat farz namaz se mashgool na karde, pas is ke baad jis insaan ne mere baap ko chuva, bukhaar ki hararat payi, yahan tak ke wo faut hogaye .
-----
سیدنا ابو سعید خدری رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں کہ ایک آدمی نے رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  سے کہا: جو بیماریاں ہمیں لاحق ہوتی ہیں، ان کے بارے میں آپ کا کیا خیال ہے؟ آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  یہ گناہوں کا کفارہ بننے والی ہیں۔  میرے باپ نے کہا:اگرچہ وہ بیماری معمولی ہو؟ آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  فرمایا:  اگرچہ وہ کانٹا ہو یا اس سے بڑی کوئی چیز۔  یہ سن کر میرے باپ نے اپنے حق میں یہ بد دعا کر دی کہ اس کی موت تک بخار اس سے جدا نہ ہو، لیکن وہ بخار اس کو حج، عمرے، جہاد فی سبیل اللہ اور باجماعت فرضی نماز سے مشغول نہ کر دے، پس اس کے بعد  جس انسان نے میرے باپ کو چھوا، بخار کی حرارت پائی،یہاں تک کہ وہ فوت ہو گئے۔
----
Musnad Ahmed#11617-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...