Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 9 March 2021

Kaunse amal ke liye farmaya gaya hai ke darje ke lehaz se dusre aamal se ziyada buland karne wala amal hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse amal ke liye farmaya gaya hai ke darje ke lehaz se dusre aamal se ziyada buland karne wala amal hain

A: kisi musalman ke aib ko chupana
B: kisi lawaris ki mayyat ko gusul dena
C: Allah Subahnahu ka Zikr karna
D: Awwal waqt mein namaz padhna
E: Jihad karna
F: Sila Rehami karna
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
Agar jawab G hai to sahi jawab likhiye
*********
Sahih Jawab - C✅

Allah Subhanahu ka Zikr karne walo ki fazilat

Reference📚:
----
Hazrat Abu Darda RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya mein tumhe tumahare behtareen amal ke barre mein na batao jo ke tumahre Maalik ke haan ajar ke lehaaz se ziyada bharne wala, tumahre buland darjaat ka baais ka ban'ne wala, tumahre liye sone, aur chandi ke kharch karne se behtar aur tumahre liye dushman se aisa Jihaad karne se behtar jis mein tum ek dusre ki gardanein udao?' ' Sahaba? ne arz kiya, kyun nahi! zaroor batayen, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya "Allah Subhanahu ka zikar"
----
Abu Darda’ reported God's messenger as saying, “Would you like me to tell you the best and purest of your deeds in the estimation of your King, those which raise your degrees highest, those which are better for you than spending gold and silver, and are better for you than that you should meet your enemy and cut off one another's head?” On receiving a reply in the affirmative he said, “It is remembering God.”
----
حضرت ابودرداء   ؓ  بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ کیا میں تمہیں تمہارے بہترین عمل کے بارے میں نہ بتاؤں جو کہ تمہارے مالک کے ہاں اجر کے لحاظ سے زیادہ بڑھنے والا ، تمہارے بلند درجات کا باعث کا بننے والا ، تمہارے لیے سونے ، اور چاندی کے خرچ کرنے سے بہتر اور تمہارے لیے دشمن سے ایسا جہاد کرنے سے بہتر جس میں تم ایک دوسرے کی گردنیں اڑاؤ ؟‘‘ صحابہ   ؓ  نے عرض کیا ، کیوں نہیں ! ضرور بتائیں ، آپ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ اللہ کا ذکر ۔‘‘ مالک ، احمد ، ترمذی اور ابن ماجہ ۔ البتہ امام مالک نے اسے ابودرداء   ؓ  پر موقوف قرار دیا ہے
----
Mishkat ul Masabeeh#2269

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...