Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 9 March 2021

Ek baar ek sahabi masjid mein dua/azkar padh rahe thy tabhi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne dusre sahabi se irshad farmaya kya tum ye samajhte ho ke ye logon ko dikhane ke liye kar raha hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hain❗

Ek baar ek sahabi masjid mein   dua/azkar padh rahe thy tabhi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne dusre sahabi se irshad farmaya kya tum ye samajhte ho ke ye logon ko dikhane ke liye kar raha hain

Sawal1: Wo Sahabi kaunsi dua/azkar padh rahe thy

A:Allahu Akbar Kabira Walhamdulillahi kathira,Wa subhan-Allahi bukratan Wa Asila
B: Subhan Al Malik Al Quddus, Rabbil-Arsh-il-Azeem, Wa Noor As Samawati Wal Ard
C: La ilaha illAllah Muhammedur Rasool-Allah
D: Allahumma inni asaluka biAnni Ashhadu annaka antallahu Al-ladhi la ilaha illa ant, Al Ahadus-Samad , Al-ladhi lam yalid wa lam yulad, wa lam yakullahu kufuwan Ahad 
E:La ilaha illAllah, walAllahu Akbar, waSubhanAllah, walAlhamdulillah, wa La hawla wa la Quwwata illa Billah
F: Allahumma! Inni Asaluka Bi-Anna Lakal-Hamd. La ilaha illa Anta, Wahdaka La sharika Lak, Al-Mannan.Badi-us-samawati Wal-ard, Dhul-jalali wal-ikram 
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
Sawal2: wo Sahabi kaun thy jo wo dua/azkar padh rahe thy
A: Abdullah bin Qais Ashari RadiAllahu Anhu
B: Sayedna Buraida Islami RadiAllahu Anhu
C: Abdul Rehman bin Abu Bakr RadiAllahu Anhu
D: Saad bin Abi waqas RadiAllahu Anhu
E: Abu Ubaida bin Al Jarrah RadiAllahu Anhu
F: Abu Talha RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
******************
Sahih Jawab - D A✅

Jab koi ye azmat wala naam lekar dua maangta hain to uski dua qubul hogi

Reference📚:
----
Syedna Buraida Islami RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke wo Isha ke waqt bahar gaye aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam se mulaqaat hogayi, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne un ka haath pakad liya aur Masjid mein le gaye, wahan tilawat karte huwe ek aadmi ki aawaz suni Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya tum ye samajte ho ke ye dikhlawa kar raha hain? Syedna Buraida RadiAllahu Anhu khamosh rahe, phir is aadmi ne yun dua ki :
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ بِأنّی أَشْهَدُ أَنَّكَ أَنْتَ اللَّهُ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ الأَحَدُ الصَّمَدُ الَّذِي لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُنْ لَهُ كُفُوًا أَحَدٌ
Allahumma inni asaluka biAnni Ashhadu annaka antallahu Al-ladhi la ilaha illa ant, Al Ahadus-Samad , Al-ladhi lam yalid wa lam yulad, wa lam yakullahu kufuwan Ahad
Ya Allah ! mein ye wasta de kar tujhse sawal karta hu ke mein gawahi deta hu ke tu he wo ALLAH hain, jis ke siwa koi mabud nahi, tu akela hain, tu aisa beniyaz hain, jis ne kisi ko jana aur na wo kisi se jana gaya aur koi bhi is ka hum sir nahi.
ye dua sun kar Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya is zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hain is ne Allah se is ke is sabse ba Azmat naam le kar dua ki hain ke jab bhi Allah se is ka ye naam le kar kuch manga jaye to wo inayat karta hai aur jo bhi dua ki jaye, wo qubool karta hain. Buraida RadiAllahu Anhu kehte hain dusri raat huwi to mein Isha ke waqt bahar nikla, is din bhi Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam se mulaqaat huwi, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne un ka haath pakad liya aur Masjid mein le gaye to isi aadmi ki tilawat ki aawaz aa rahi thi. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya tu samjhta hain ke ye dikhlawa kar raha hai? Syedna Buraida RadiAllahu Anhu ne kaha Eh Allah ke Rasool! kya aap samajte hain ke wo dhiklawa karne wala hain Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ye dikhlawa karne wala nahi hain, balke mukhlis momin hain, ye dikhlawa karne wala nahi, balke mukhlis momin hain. Mein (Buraida RadiAllahu Anhu) ne dekha to wo Syedna Abu Musa Ashri RadiAllahu Anhu thy jo masjid ke ek kone mein buland aawaz se qiraat kar rahe thy. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Abdullah bin Qais Ashri RadiAllahu Anhu ko Dawud Alaihi Sallam kaisi khush il hani ataa ki gayi hain mein ne arz kiya Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam kya mein un ko is baat se ba khabar kardoon? Aap ne farmaya jee haan aur un ko batla do. jab mein ne un ko is ki khabar di to unhon ne mujh se farmaya : tum mere mukhlis dost ho, kyunke tum ne mujhe Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki ek khaas baat se bakhabar kiya hain.
----
سیدنا بریدہ اسلمی ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے مروی ہے کہ وہ عشا کے وقت باہر گئے اورنبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  سے ملاقات ہوگئی، آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے ان کا ہاتھ پکڑ لیا اور مسجد میں لے گئے، وہاں تلاوت کرتے ہوئے ایک آدمی کی آوازسنی،نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  کیا تم یہ سمجھتے ہو کہ یہ دکھلاوا کر رہا ہے؟ سیدنا بریدہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  خاموش رہے، پھر اس آدمی نے یوں دعا کی:
 اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ بِأنّی أَشْهَدُ أَنَّكَ أَنْتَ اللَّهُ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ الأَحَدُ الصَّمَدُ الَّذِي لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُنْ لَهُ كُفُوًا أَحَدٌ
(یا اللہ! میں یہ واسطہ دے کر تجھ سے سوال کرتا ہوں کہ میں گواہی دیتا ہوں کہ تو ہی وہ اللہ ہے، جس کے سوا کوئی معبود نہیں، تو اکیلا ہے، تو ایسا بے نیاز ہے، جس نے کسی کو جنا اور نہ وہ کسی سے جنا گیا اور کوئی بھی اس کا ہم سر نہیں۔) یہ دعا سن کر نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  اس ذات کی قسم! جس کے ہاتھ میں میری جان ہے! اس نے اللہ سے اس کے  اس سب سے با عظمت نام لے کر دعا کی ہے کہ جب بھی اللہ سے اس کا یہ نام لے کر کچھ مانگا جائے تو وہ عنایت کرتا ہے اور جو بھی دعا کی جائے، وہ قبول کرتا ہے۔  بریدہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  کہتے ہیں: دوسری رات ہوئی تو میں عشاء کے وقت باہر نکلا، اس دن بھی نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  سے ملاقات ہوئی، آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے ان کا ہاتھ پکڑ لیا اور مسجد میں لے گئے تو اسی آدمی کی تلاوت کی آواز آرہی تھی۔ آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  کیا تو سمجھتا ہے کہ یہ دکھلاوا کر رہا ہے؟  سیدنا بریدہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  نے کہا: اے اللہ کے رسول! کیا آپ سمجھتے ہیں کہ وہ دکھلاوا کرنے والا ہے؟ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  یہ دکھلاوا کرنے والا نہیں ہے، بلکہ مخلص مومن ہے، یہ دکھلاوا کرنے والا نہیں، بلکہ مخلص مومن ہے۔  میں (بریدہ) نے دیکھا تو وہ سیدنا ابو موسیٰ اشعری ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ تھے، جو مسجد کے ایک کونے میں بلند آواز سے قرأت کر رہے تھے۔ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  عبداللہ بن قیس اشعری ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  کو داؤد علیہ السلام  کیسی خوش الحانی عطا کی گئی ہے۔  میں نے عرض کیا: اے اللہ کے رسول! کیا میں ان کو اس بات سے با خبر کردوں؟ آپ نے فرمایا:  جی ہاں اور ان کو بتلا دو۔  جب میں نے ان کو اس کی خبر دی تو انہوں نے مجھ سے فرمایا: تم میرے مخلص دوست ہو، کیونکہ تم نے مجھے رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کی ایک خاص بات سے باخبر کیا ہے۔ 
----
Musnad Ahmed#11956-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...