Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 9 March 2021

Kaun kaunsi halat mein maanga ja Sakta hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se zyada hain

Sawal: Kaun kaunsi halat mein maanga ja Sakta hain 

A: Kisi ke jaan par jab koi musibat ajati hain
B: Taawan Apne upar leliya jab tak ki wo usse Ada na kare
C: Teen muaziz shakhs Allah ki qasam khakar ye kahe ki us shakhs ka manga halaal hain
D: kisi museebat mein mubtila ki madad karne ke liye
E:Kisi ke maal par jab koi museebat ajati hain
F: Istemai Nikah karne ke liye
G: kisi zaroorat mand ke zaroorat puri karne ke liye
H: Sahi Jawab ka Intezaar
************
Sahih Jawab - BCE✅

Hadith: Inn teen suraton ke ilawa maangna haraam hain
-----
Reference📚:
----
Rasool-Allah Salllalahu Alaihi wasallam ko farmate suna maangna sirf teen admiyon ke liye jayaz hain ek wo shakhs jis ke maal par koi nagehani aafat aa gayi to wo maang sakta hain hatta ke guzaraa ho sake phir wo mangne se baaz aa jaye aur ek wo shakhs jis ne koi taawan apne zimme le liya, wo maang sakta hain hatta ke wo taawan ada kare, phir wo mangne se baaz aa jaye aur ek wo shakhs jis ki qoum ke teen samajh daar (Muaziz) ashkhaas Allah taala ke naam ki qasam uthayen ke falan shakhs (ki haalat ye ho gayi hai ke is) ke liye maangna halal ho gaya hai to wo maang sakta hain hatta ke munasib guzaraa kar sake phir wo mangne se baaz aa jaye un teen suraton ke ilawa maangna haraam hain
-----
حضرت قبیصہ بن مخارق رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں کہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے سنا :’’ مانگنا صرف تین آدمیوں کے لیے جائز ہے : ایک وہ شخص جس کے مال پر کوئی ناگہانی آفت آ گئی تو وہ مانگ سکتا ہے حتیٰ کہ گزارا ہو سکے ، پھر وہ مانگنے سے باز آ جائے ۔ اور ایک وہ شخص جس نے کوئی تاوان اپنے ذمے لے لیا ، وہ مانگ سکتا ہے حتیٰ کہ وہ تاوان ادا کرے ، پھر وہ مانگنے سے باز آ جائے ۔ اور ایک وہ شخص جس کی قوم کے تین سمجھ دار ( معزز ) اشخاص اللہ تعالیٰ کے نام کی قسم اٹھائیں کہ فلاں شخص ( کی حالت یہ ہو گئی ہے کہ اس ) کے لیے مانگنا حلال ہو گیا ہے ۔ تو وہ مانگ سکتا ہے حتیٰ کہ مناسب گزارا کر سکے ، پھر وہ مانگنے سے باز آ جائے ۔ ان تین صورتوں کے علاوہ مانگنا حرام ہے ۔‘‘ 
----
Sunnan e Nisai#2592-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...