Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Monday, 28 September 2020
Sabar he behtar hai aur tumhari banaee huwi baaton per Allah he se madad ki talab hain.
Aibo ko chupane ki dua
Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma
As Salamu Alekum and Walekum As Salam
Narmi ikhteyaar karne wale ko duniya ki khair aur bhalayi se nawaza jaata hai
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kaunsi cheez ka sawal Allah Subhanahu se karte rehne ko kaha hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kaunsi cheez ka sawal Allah Subhanahu se karte rehne ko kaha hain
A: Neik Aulad
B: Halal Rizq
C: Sehat
D: Emaan
E: Ilm
F: Jannat
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab - D✅
Allah Subhanahu se Emaan ki tajdeed karte rahe kuyki..
Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Emaan tumahre pait (Dil) mein is terhan kharab hota rehta hai jis terhan kapda boseedah hojata hai is liye Allah Subhanahu se sawal karo ke woh tumhare dilon mein Emaan ki tajdeed karta rahe
---
عبداللہ بن عمروبن عاص رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ایمان تمہارے پیٹ (دل)میں اس طرح خراب ہوتارہتا ہے جس طرح كپڑا بوسیدہ ہوجاتا ہے ۔ اس لئے اللہ سے سوال كروكہ وہ تمہارے دلوں میں ایمان كی تجدید كرتا رہے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#988-Sahih
Rasool-Allah Sallallahu Aalihi waSallam (Tahhajud) Raat ko bedaar hone ke baad yh Zikr kiya karte thy aur fir Tahhajud ki Namaz shuru farmate
Sunday, 27 September 2020
Insan ki takhleeq teen sav saath (360) jodon per ki gayi hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se ziyada hain❗
Insan ki takhleeq teen sav saath (360) jodon per ki gayi hain
Sawal: inmein se wo kaunse amal hain jiske karne wala apne jodon ki ginti pura karke apne aap ko Aag se azaad karwa leta hain
A: Alhumdullilah keh kar
B: SubhanAllah keh kar
C: La illaha illaha keh kar
D: Alhumdullilahi Rabbil Aalameen keh kar
E: Astagfirullah keh kar
F: Neki ka hukum karna aur burai se rokna
G: Raste se takleef de cheez ko hatna
H: Allahu Akbar keh kar
I: kisi ko dehk kar Muskuraya
J: Sahi Jawab ka Intezaar
**********
Sahi Jawab - ABCEFGH✅
Insan ki takhleeq teen sav saath (360) jodon per ki gayi hain aur jo yh amal karta hain wo khud ko Aag se azaad karwa leta hain
Reference📚:
-----
Aisha Radirazi Allah anha se riwayat hai ke har Insaan ki teen sav saath (360) jodon par takhleeq ki gayi hain jis shakhs ne Allah Akbar kaha, Alhumdulilah kaha, La illaha illallaha kaha, SubhanAllah kaha, Astaghfirullah kaha, raste se pathar hataya, ya kaanta ya haddi (hata di) neki ka hukum diya, buraie se mana kiya, is tarhan aap ne teen sav saath (360) jodon ki ginti ki toh shaam is haal mein karega ke is ne apne aap ko Aag se azad karwa liya hoga.
---------
عائشہ رضی اللہ عنہا سےمرفوعا مروی ہے کہ: ہر انسان کی تین سو ساٹھ جوڑوں پر تخلیق کی گئی ہے۔ جس شخص نے اللہ اکبر کہا، الحمدللہ کہا، لا الہ الااللہ کہا، سبحان اللہ کہا، استغفراللہ کہا، راستے سے پتھر ہٹایا، یا کانٹا یا ہڈی (ہٹا دی) نیکی کا حکم دیا، برائی سے منع کیا، اس طرح آپ نے تین سو ساٹھ جوڑوں کی گنتی کی تو شام اس حال میں کرے گا کہ اس نے اپنے آپ کو آگ سے آزاد کروالیاہوگا
---------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1824-Sahih
Roohe Zameen per har shaqs gunah aur qata rehmi ki dua karta hai..lekin Allah Subhanahu uski wo dua Qabul nahi farmata par uss dua ke badle kya aata farmata hai
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Roohe Zameen per har shaqs gunah aur qata rehmi ki dua karta hai..lekin Allah Subhanahu uski wo dua Qabul nahi farmata par uss dua ke badle kya aata farmata hai
A: uski museebat ko durr farma deta hain
B: uski rizaq tang kar deta hai
C: uske gunah maaf kar deta hai
D: usper museebat musallat kar deta hai
E: usko ziyada dua karne ki taufeeq de deta hai
F: uski naiki mein izafa kar deta hai
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye
**********
Sahi Jawab - A✅
Allah Subhanahu se ziyada duaen maanga karo kuyke Allah bahut ziyada dene wala hai
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : ”Zameen par koi bhi musalman aisa nahi hai jo gunah aur qata rehmi ki dua ko chore kar koi bhi dua karta ho aur Allah usay woh cheez nah deta ho, ya is ke badlay is ke barabar ki is ki koi buraiee ( koi museebat ) durr nah kar deta ho“, is par Ek shakhs ne kaha tab to hum khoob ( bohat ) duayen manga karenge, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : ”ALLAH is se bhi ziyada dene wala hai
----
Messenger of Allah (ﷺ) said: “There is not a Muslim upon the earth who calls upon Allah with any supplication, except that Allah grants it to him, or he turns away from him the like of it in evil; as long as he does not supplicate for something sinful, or the severing of the ties of kinship.” So a man from the people said: “What if we should increase (in it)” He (ﷺ) said: “(With) Allah is more.”
-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”زمین پر کوئی بھی مسلمان ایسا نہیں ہے جو گناہ اور قطع رحمی کی دعا کو چھوڑ کر کوئی بھی دعا کرتا ہو اور اللہ اسے وہ چیز نہ دیتا ہو، یا اس کے بدلے اس کے برابر کی اس کی کوئی برائی ( کوئی مصیبت ) دور نہ کر دیتا ہو“، اس پر ایک شخص نے کہا: تب تو ہم خوب ( بہت ) دعائیں مانگا کریں گے، آپ نے فرمایا: ”اللہ اس سے بھی زیادہ دینے والا ہے“
-----
Jam e Tirmazi#3573-Sahih
wo kaunsa amal hai jiske wajah se Qayamat ke din uss ki khataye kum kar di jayegi
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: wo kaunsa amal hai jiske wajah se Qayamat ke din uss ki khataye kum kar di jayegi
A: Kanta chubne per sawab ki niyat se sabr karna
B: Haq per hone ke bawajud sawab ki niyat se sabr karna
C: Aulad ke faut hone per sawab ki niyat se sabr karna
D: kisi cheez ka ghoom hojane per sawab ki niyat se sabr karna
E: Ankho ki binayee ka chale jana aur sawab ki niyat se uss per sabr karna
F: Gam mein sawab ki niyat se sabr karna
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
*********
Sahi Jawab - A✅
Momeen ko duniya mein kanta bhi chubta hai aur wo iss per sabr karta hai toh Qayamat ke din uski khataye kum kar di jayegi
Reference📚:
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jiss Momeen ko duniya mein koi kanta chubta hai aur wo sawab ki niyyat se sabr karta hai toh iss wajah se Qayamat ke din iss ki khataye kumbki jayengi.
----
سیدنا ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جس مؤمن کو دنیا میں کوئی کانٹا چبھتا ہے اور وہ ثواب کی نیت سے صبر کرتا ہے تو اس وجہ سے قیامت کے دن اس کی خطائیں کم کی جائیں گی۔
----
Musnad Ahmed#9359-Sahih
Inmein se kaunsi dua ko Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke yh bechain aur gum zada aadmi ki dua hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Inmein se kaunsi dua ko Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke yh bechain aur gum zada aadmi ki dua hain
A: Bismillahillazi La yadurru Ma-asmihi Shaiun fil-ardi wa La fis-smaaie, Wahuwa As-Samiul-Alim.
B: HasbunaAllah wa nainal wakeel
C:Allahumma Rahmataka Arju Fala Takilni ila nafsi tarfata Aynin
wa aslih li sha'ni kullahu, La ilaha illa anta
D: Bismillahi Biturbatu Ardina, Biriqati Ba’dina, Liyushfa Bihi Saqimuna. Be'izni Rabbina
E: Alhumdulillah Ala kulli Haal
F: Inna Lillahi Wa inna ilahi rajeuun , Allahumma Ajurni fi Musibati Wa Akhlifli Khairam Minha
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye
******
Sahi Jawab - C✅
Bechain aur gum zada shaqs ke liye behtareen dua
Reference📚:
----
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya bechain aur gham zada aadmi ki dua yeh hai
اَللّٰہُمَّ رَحْمَتَکَ أَرْجُو، فَلَا تَکِلْنِی إِلٰی نَفْسِی طَرْفَۃَ عَیْنٍ، أَصْلِحْ لِی شَأْنِی کُلَّہُ لَا اِلٰہَ إِلَّا أَنْتَ
(Eh Allah ! Mein sirf teri rehmat ki umeed rakhta hu, pas tu meri zaat ko palak bhar ke liye mere supurd na kar aur mera sara maamla sanwaar de, tu he mabood barhaq hai
----
سیدنا ابو بکرہ رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: بے چین اور غم زدہ آدمی کی دعا یہ ہے: اَللّٰہُمَّ رَحْمَتَکَ أَرْجُو، فَلَا تَکِلْنِی إِلٰی نَفْسِی طَرْفَۃَ عَیْنٍ، أَصْلِحْ لِی شَأْنِی کُلَّہُ لَا اِلٰہَ إِلَّا أَنْتَ، (اے اللہ! میں صرف تیری رحمت کی امید رکھتا ہوں، پس تو میری ذات کو پلک بھرکے لیے میرے سپرد نہ کر اور میرا سارا معاملہ سنوار دے، تو ہی معبودِ برحق ہے)۔
----
Musnad Ahmed#5574- Sahih
Kaunse shaqs se Allah Subhanahu Naraz hojate hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Kaunse shaqs se Allah Subhanahu Naraz hojate hain
A: Jis Aurat ka Sohar us se naraz ho
B: Jo Dua mangte waqt Durud nahi padhte
C: Riyakari karne wale se
D: Jo baat baat per jhoot bolte hain
E: Jo Dua nahi karte
F: Ristedaar se juda rehne wale
G: Jo jaldbazi mein dua karte hain
H: Inmein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka Intezaar
Note agar aapka jawab H hai toh sahi jawab likhiye
**********
Sahi Jawab - E✅
Jo Allah Subhanahu taa'la se dua nahi mangte Allah usse naraz hojate hain
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo Allah Subhanahu Ta'ala se Dua nahi karta Allah Subhanahu Ta'ala iss se Naraz ho jaata hain.
-----
سیدنا ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جو اللہ تعالیٰ سے دعا نہیں کرتا، اللہ تعالیٰ اس سے ناراض ہو جاتا ہے۔
---
Musnad Ahmed#5588-Sahih
Yh misal kis ke liye bayan kiya hai goya jis ne gale ko daba dene wali tang zarah pehan rakhi ho
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Yh misal kis ke liye bayan kiya hai goya jis ne gale ko daba dene wali tang zarah pehan rakhi ho
A: Quran ki ayaaton ka inkar karne wale
B: jo Allah Subhanahu ke siwa aur kaar saaz muqarrar kar rakhe hai
C: jo namaz nahi padhte
D: Ilm chupane wale
E: jo Allah Subhanahu ka zikr nahi karte
F: jo burayi karne ke baad naikiya karta hai
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye
***
Sahi Jawab - F✅
Burayi karne ke baat Naikiya karne wali ki misal.
Reference📚:
-----
Syedna Aqib bin Aamir RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo aadmi buraiyan karne ke baad naikiyaa karta hai, iski misaal is aadmi ki si hai, jis ne gale ko daba daine wali tang zarah pehan rakhi ho, phir jab woh neki karta hai to is ka ek kada khul jata hai, phir jab woh koi aur neki karta hai to dosra kada khul jata hai, yeh silsila jari rehta hai, yahan taq ke woh zarah zameen par gir jati hai .
-----
۔ سیدنا عقبہ بن عامر رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جو آدمی برائیاں کرنے کے بعد نیکیاں کرتا ہے، اس کی مثال اس آدمی کی سی ہے، جس نے گلے کو دبا دینے والی تنگ زرہ پہن رکھی ہو، پھر جب وہ نیکی کرتا ہے تو اس کا ایک کڑا کھل جاتا ہے، پھر جب وہ کوئی اور نیکی کرتا ہے تو دوسرا کڑا کھل جاتا ہے، یہ سلسلہ جاری رہتا ہے، یہاں تک کہ وہ زرہ زمین پر گر جاتی ہے۔
-----
Sahih Hadees
Musnad Ahmed#8950
Allah Subhanahu se dua mangte waqt kaun se kalimat kehne per Allah Subhanahu farmate hai ke haan main teri hajjat qubool ki
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
❗Jawab ek se ziyada hain
Sawal: Allah Subhanahu se dua mangte waqt kaun se kalimat kehne per Allah Subhanahu farmate hai ke haan main teri hajjat qubool ki
A: 10 baar SubhanAllah
B: 10 baar La illaha illallaha
C: 10 baar Astagfirullah
D: 10 baar Alhumdullilah
E: 10 baar Allah hu Akbar
F: 10 baar SubhanAllahi wabiHumdehi
G: 10 baar la hawla wala quwwata illaha billah
H: 10 baar Alhumdullilahi Rabbil Aalameen
I: Sahi Jawab ka Intezaar
*******
Sahi Jawab - ADE✅
Aise Azkar jinke padhne se Allah Subhanahu bande ki hajjat (dua) qubool farmata hain
Reference📚:
-----
Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai, unhon ne farmaya Hazrat Umm Saleem RadiAllahu anhu Nabi Sallallahu Alaihi ke paas ayen aur kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Mujhe kuch aisay kalImaat sikha dijiye jin ke saath mein Namaz mein dua kiya karoon Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya das (10) dafaa SubhanAllah padha kar aur das (10) dafaa Alhumdullilah padha kar aur das (10) dafaa Allahu Akbar padha kar phir Allah Subahnahu se apni haajat talabb kar. Allah Subhanahu taala farmaiye ga haan! haan! (Mein ne teri haajat qubool ki
-----
حضرت انس بن مالک رضی اللہ عنہ سے روایت ہے ، انھوں نے فرمایا : حضرت ام سلیم رضی اللہ عنہا نبی صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آئیں اور کہا : اے اللہ کے رسول ! مجھے کچھ ایسے کلمات سکھا دیجیے جن کے ساتھ میں نماز میں دعا کیا کروں ۔ آپ نے فرمایا :’’ دس دفعہ سبحان اللہ پڑھا کر اور دس دفعہ الحمدللہ پڑھا کر اور دس دفعہ اللہ اکبر پڑھا کر ۔ پھر اللہ سے اپنی حاجت طلب کر ۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا : ہاں ! ہاں ! ( میں نے تیری حاجت قبول کی ) ۔‘‘
----
Sunnan e Nisai#1300-Sahih
Ek baar kuch sahabiyon ne Umm Al-Momineen Ayesha Radi Allahu Anhu se poocha ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Raat ko bedaar hote toh kaunse Zikr se shuruwat karte aur fir Tahhajud ki Namaz aada karte
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zayda hain❗
Sawal: Ek baar kuch sahabiyon ne Umm Al-Momineen Ayesha Radi Allahu Anhu se poocha ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Raat ko bedaar hote toh kaunse Zikr se shuruwat karte aur fir Tahhajud ki Namaz aada karte
A: (10) das baar « Allah Akbar»
B: (10) das baar « Allhumdulilah»
C: (10) das baar «La hawla wala quwwata illaha billah»
D: (10) das baar « SubhanAllahi wabiHumdehi»
E: (10) das baar «Allahummagfirli, Wa Arhamni , Wa Aafini, Wa Ahdini, Wa Arzuqni»
F: (10) das baar « SubhanAl-Malikil-Quddus»
G: (10) das baar « Alhumdullilahi Rabbil Aalameen»
H: (10) das baar « Astagfirullah»
I: (10) das baar « La illaha illallaha»
J: (10) das baar « Allahumma inni auzubika min diqil duniya wa diqil yawmal-qiyamah »
K: «Allahummaghfirli, wahdini, warzuqni wa 'afini. A'udhu billahi min diqil-maqami yawmal-qiyamah»
L: Sahi Jawab ka Intezaar
*********
Sahi Jawab - ABDFHIJK✅
Rasool-Allah Sallallahu Aalihi waSallam (Tahhajud) Raat ko bedaar hone ke baad yh Zikr kiya karte thy aur fir Tahhajud ki Namaz shuru farmate
Reference📚:
-----
Hazrat Shariq RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Mein ne Aisha RadiAllahu Anhu ke paas haazir ho kar un se daryaft kiya, jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam raat ko bedaar hote to aap kis (zikr) se aaghaz farmatay thy? unhon ne farmaya tum ne aisi cheez ke barre mein mujhse sawal kiya hai jis ke mutaliq tum se pehlay kisi ne mujh se daryaft nahi kiya, jab aap raat ko bedaar hotay to Aap Sallallahu Alaihi wasallam
(10) das baar « Allah Akbar»,
(10) das baar « Allhumdulilah»,
(10) das baar « SubhanAllahi wabiHumdehi»,
(10) das baar « SubhanAl-Malikil-Quddus»,
(10) das baar « Astagfirullah»,
(10) das baar « La illaha illallaha»,
(10) das baar « Allahumma inni auzubika min diqil duniya wa diqil yawmal-qiyamah », Eh Allah mein duniya mein roz qayamat ki sakhtiyon aur takleefo se teri panah chahta hu phir aap namaz (Tahhajjud) shuru farmate.
------
حضرت شریق الہوزنی ؒ بیان کرتے ہیں ، میں نے عائشہ ؓ کے پاس حاضر ہو کر ان سے دریافت کیا ، جب رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم رات کو بیدار ہوتے تو آپ کس (ذکر) سے آغاز فرماتے تھے ؟ انہوں نے فرمایا : تم نے ایسی چیز کے بارے میں مجھ سے سوال کیا ہے جس کے متعلق تم سے پہلے کسی نے مجھ سے دریافت نہیں کیا ، جب آپ رات کو بیدار ہوتے تو آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم دس مرتبہ ((اللہ اکبر)) ، دس مرتبہ ’’ الحمدللہ ‘‘، دس مرتبہ ’’ سبحان اللہ وبحمدہ ‘‘، دس مرتبہ ’’ سبحان الملک القدوس ‘‘ دس مرتبہ ’’ استغفر اللہ ‘‘ اور دس مرتبہ ’’ لا الہ الا اللہ ‘‘ پڑھتے ، پھر دس مرتبہ دعا فرماتے :’’ اے اللہ میں دنیا میں روز قیامت کی سختیوں اور تکلیفوں سے تیری پناہ چاہتا ہوں ۔‘‘ پھر آپ نماز (تہجد) شروع فرماتے
Mishkat ul Masabeeh#1216-Sahih
------
Asim Bin Hamid kehte hain ke mein ne Umm Al-Momineen Ayesha Radi Allahu Anhu se poocha : Rasool Allah (ﷺ) raat ke qiyam ki shuruvaat kis se karte thy? to woh kehnay lagen, tune mujh se ek aisi cheez poochi hai jo tum se pehlay kisi ne nahi poochi, Rasool-Allah (ﷺ)
(10) das baar « Allah Akbar»,
(10) das baar « Alhumdulillah»,
(10) das baar « Subhan Allah» aur
(10) das baar «La ilaha illallah» aur
(10) das baar Astaghfirullah» Kehte thy,
«Allahummaghfirli, wahdini, warzuqni wa 'afini. A'udhu billahi min diqil-maqami yawmal-qiyamah»
Eh ALLAH! mujhe bakhash dy, mujhe raah dikha, mujhe rizaq ataa farma, aur meri hifazat farma, mein Allah ki panah chahta hu qayamat ke roz jagah ki tangi se kehte thy .
-------
حضرت عاصم بن حمید بیان کرتے ہیں کہ میں نے حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا سے پوچھا : نبی صلی اللہ علیہ وسلم کن الفاظ سے قیام اللیل کا افتتاح کیا کرتے تھے؟ انھوں نے فرمایا : تم نے مجھ سے وہ چیز پوچھی ہے جو تم سے پہلے کسی نے نہیں پوچھی ۔ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم دس دفعہ اللہ اکبر ، دس دفعہ الحمدللہ ، دس دفعہ سبحان اللہ ، دس دفعہ ( لا الہ الا اللہ ) اور دس دفعہ استغفراللہ کہتے تھے ، پھر فرماتے :’’ اے اللہ ! مجھے معاف فرما ، مجھے ہدایت دے ، مجھے رزق عطا فرما اور مجھے عافیت و صحت دے ۔ اور میں قیامت کے دن اللہ تعالیٰ کے سامنے کھڑا ہونے کی تنگی سے اللہ تعالیٰ کی پناہ چاہتا ہوں
-------
Sunan an-Nasa'i Hadees # 1618-Sahih
Ek baar kisi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se sawal kiya ke woh kamzor hogaye hai toh unhe koi aisa amal bataye ke wo baithe baithe kar sake
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Ek baar kisi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se sawal kiya ke woh kamzor hogaye hai toh unhe koi aisa amal bataye ke wo baithe baithe kar sake
Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne kuch Zikr bataye jinka aap unke ajar ke saath Sahi Milan kariye
A: 100 baar SubhanAllah kehne ka ajar
B: 100 baar Allahu Akabr kehne ka ajar
C: 100 baar Alhumdullilah kehne ka ajar
D: 100 baar La illaha Illallaha kehne ka ajar
--------
1. Allah ke raste mein lagaam pehne huwe tayyar shuda 100 ghodon ke barabar
2. Aasman aur Zameen ko bhar deti hain
3. Nakeel daali huwi ootniyon ke barabar hain
4.Allah Subhanahu Qayamat ke din usko khush farma denge
5. Aulad Ismael Alaihi Salam mein se 100 gardane azad karne ka sawab
6. Uske barabar Makhluq mein kisi ka darja nahi ho sakta
7. 100 Nekiya 1000 gunah maaf aur 100 darje buland hoga
8. Inmein se koi nahi
9. Sahi Jawab ka intezaar
**********
Sahi Jawab - 5312/6✅
100 martaba SubhanAllah, Ahumdullilah, La illaha illallaha aur Allahu Akbar kehne ka ajar aur sawab
Reference📚:
----
Umm Hani Bint Abi Taalib RadiAllahu Anhu se riwayat hai kehti hain ke Rasool-Allah Sallallahu Allaihi waSallam Mere paas se guzre toh mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mein bhudi aur kamzor ho chuki hu mujhe koi amal bataye jo mein baithe baithe kar saku Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya sav (100) martaba SubhanAllah kaho, yeh tumahray liye Aulaad Ismael Alaihi Sallam se sav (100) gardan mein azad karne ke barabar hai aur sav (100) martaba Alhumdullilah kaho, yeh tumahre liye sav (100) Adad zain aur lagaam pehne huwe (tayyar shuda) ghodon ke barabar hojayega tum Allah ke rastay mein doh aur sav (100) martaba Allahu Akbar kaho, yeh tumahre liye Nakeel daali huwi Maqbool ootniyon ke barabar hoga. sav(100) martaba Laa illaha illallaha kaho Ibn Khalf ne kaha mere khayaal mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya yeh Aasman o zameen ko bhar dega, is din kisi shakhs ka amal itna buland nahi ho ga siwaye is shakhs ke jo is tarhan kahe
----
ام ہانی بنت ابی طالب رضی اللہ عنہا سے مروی ہے کہتی ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم میرے پاس سے گزرے تو میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! میں بوڑھی اور کمزور ہو چکی ہوں، مجھے کوئی عمل بتایئے جو میں بیٹھے بیٹھے کر سکوں۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: سو مرتبہ سبحان اللہ کہو، یہ تمہارے لئے اولاد اسماعیل سے سو گرد نیں آزاد کرنے کے برابر ہے۔ اور سو مرتبہ الحمدللہ کہو، یہ تمہارے لئے سو عدد زین اور لگام پہنائے ہوئے( تیار شدہ)گھوڑوں کے برابر ہوگاجو تم اللہ کے راستے میں دو۔ اور سو مرتبہ اللہ اکبر کہو، یہ تمہارے لئے نکیل ڈالی ہوئی مقبول اونٹنیوں کے برابر ہوگا۔ سو مرتبہ لا الہ الا اللہ کہو۔ ابن خلف نے کہا: میرے خیال میں آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: یہ آسمان و زمین کو بھر دے گا، اس دن کسی شخص کا عمل اتنا بلند نہیں ہو گا سوائے اس شخص کے جو اس طرح کہے
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2855-Sahih
Yh kis ke liye farmaya hai goya wo aise hai jaise badboo mein marre huwe ghade ki laash ki tarhan hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Yh kis ke liye farmaya hai goya wo aise hai jaise badboo mein marre huwe ghade ki laash ki tarhan hain
A: Jihad se muh modne wale
B: Aisi majlish jis mein Allah Subahnahu ka Zikr nahi hota
C: Aise log jo logo se maang kar apna guzara karte hain
D: Aise Mard aur Aurat jo Zina karte ho
E: Jo logo ka Aib talaash karte hain
F: Jo Namaz aada nahi karte na he Quran padhte hain
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*********
Sahi Jawab -B✅
Jis majlis mein Allah Subahnahu ka zikr nahi hota woh goya aise hai jaise koi badoo daar marre huwe ghadhe ki lassh ki tarah hai
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo log bhi bagair Allah Subahnahu ko yaad kiye kisi majlis se uth khade hote hon to woh aisi Majlis se utthe hote hain jo badboo mein mare huwe gadhe ki laash ki tarhan hoti hai, aur woh Majlis un ke liye (qayamat ke roz) baais hasrat hogi
-----
Narrated Abu Hurairah: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: People who get up from an assembly in which they did not remember Allah will be just as if they had got up from an ass's corpse, and it will be a cause of grief to them.
-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جو لوگ بھی بغیر اللہ کو یاد کئے کسی مجلس سے اٹھ کھڑے ہوتے ہوں تو وہ ایسی مجلس سے اٹھے ہوتے ہیں جو بدبو میں مرے ہوئے گدھے کی لاش کی طرح ہوتی ہے، اور وہ مجلس ان کے لیے ( قیامت کے روز ) باعث حسرت ہو گی ۔
-----
Sunnan e Abu Dawood#4855-Sahih
Astagfirullah
Rasool-Allah SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya zameen par koi bhi, jab ye kalimat kahta hai to uske gunah bakhsh diye jate hain chahe wo samundar ke jhaag ke barbar hi kyu na ho
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khass duwaien Ummat ke liye
Beshak wo badha tauba kabul karne wala hai
Ye Kalimat tumhare liye duniya aur akhirat dono jama Kar denge
Juma ki raat surah Al-kahaf padhni ki fazilat
Subah aur Sham ko RasoolAllah ﷺ par 10 baar durud bhejne ki fazilat
Allahumma Salle Ala Muhammed
Jo Ek martaba Durud padhega to Allah subhanahu us par 10 martaba rahmat bhejega aur uske 10 gunaah maaf honge...
Allah Imaan walon ke saath hai
HasbunAllah Wa Naimal Wakeel AlaAllahi Tawakkalna
La illaha illallaha kehne se Allah Subhanahu apne bandon ko jawab dete hain
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain A: Namaz B: Sila R...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Namaz Mein khade hone se pehle padne ke azkar aur uska ajar ----- Umm Raafia RadiAllahu Anhu se riwayat ha...
-
Bismillahirrhamanirrahim Aasan hisab ki dua ----- اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا Allahumma Haasibni Hisaban Yasira --------- ...