Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khass duwaien Ummat ke liye
-----
Sayedna Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai wo kehte hain mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko safar mein dekha ke Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne chasht ke waqt aath (8) rakaat namaz ada ki, Namaz se faraghat ke baad Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya aaj mein neh intehai raghbat aur Allah se darte huwe namaze padhi hai, mein neh apne RABB se teen duawaien ki hain, is ne meri do duaon ko qubool aur ek ko qubool nahi kiya, Mein ne dua ki ke woh Meri ummat ko Qahat mein mubtala na kare, is ne usse qubool kar liya, phir mein ne dua ki ke un ka dushman un par ghalib na aaye, is nay yeh dua bhi qubool kar li aur mein ne dua ki ke un ke aapas mein ikhtilafat na ho to Allah Subhanahu taala ne meri yeh dua qubool nahi ki.
-----------
سیدنا انس بن مالک رضی اللہ عنہ سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کو سفر میں دیکھا کہ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے چاشت کے وقت آٹھ رکعت نماز ادا کی، نماز سے فراغت کے بعد آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: آج میں نے انتہائی رغبت اور اللہ سے ڈرتے ہوئے نما ز پڑھی ہے، میں نے اپنے رب سے تین دعائیں کی ہیں،اس نے میری دو دعاؤں کو قبول اورایک کو قبول نہیں کیا، میں نے دعا کی کہ وہ میری امت کو قحط میں مبتلا نہ کرے،اس نے اسے قبول کر لیا، پھر میں نے دعا کی کہ ان کا دشمن ان پر غالب نہ آئے، اس نے یہ دعا بھی قبول کر لی اور میں نے دعا کی کہ ان کے آپس میں اختلافات نہ ہوں، تو اللہ تعالیٰ نے میری یہ دعا قبول نہیں کی۔
--------------
Musnad Ahmed#12513-Sahih
No comments:
Post a Comment