Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 27 September 2020

Roohe Zameen per har shaqs gunah aur qata rehmi ki dua karta hai..lekin Allah Subhanahu uski wo dua Qabul nahi farmata par uss dua ke badle kya aata farmata hai

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Roohe Zameen per har shaqs gunah aur qata rehmi ki dua karta hai..lekin Allah Subhanahu uski wo dua Qabul nahi farmata par uss dua ke badle kya aata farmata hai


A: uski museebat ko durr farma deta hain

B: uski rizaq tang kar deta hai

C: uske gunah maaf kar deta hai

D: usper museebat musallat kar deta hai

E: usko ziyada dua karne ki taufeeq de deta hai

F: uski naiki mein izafa kar deta hai

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar


❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

**********

Sahi Jawab - A✅


Allah Subhanahu se ziyada duaen maanga karo kuyke Allah  bahut ziyada dene wala hai


Reference📚:

----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : ”Zameen par koi bhi musalman aisa nahi hai jo gunah aur qata rehmi ki dua ko chore kar koi bhi dua karta ho aur Allah usay woh cheez nah deta ho, ya is ke badlay is ke barabar ki is ki koi buraiee ( koi museebat ) durr nah kar deta ho“, is par Ek shakhs ne kaha tab to hum khoob ( bohat ) duayen manga karenge, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : ”ALLAH is se bhi ziyada dene wala hai

----

Messenger of Allah (ﷺ) said: “There is not a Muslim upon the earth who calls upon Allah with any supplication, except that Allah grants it to him, or he turns away from him the like of it in evil; as long as he does not supplicate for something sinful, or the severing of the ties of kinship.” So a man from the people said: “What if we should increase (in it)” He (ﷺ) said: “(With) Allah is more.” 

-----

 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”زمین پر کوئی بھی مسلمان ایسا نہیں ہے جو گناہ اور قطع رحمی کی دعا کو چھوڑ کر کوئی بھی دعا کرتا ہو اور اللہ اسے وہ چیز نہ دیتا ہو، یا اس کے بدلے اس کے برابر کی اس کی کوئی برائی  ( کوئی مصیبت )  دور نہ کر دیتا ہو“، اس پر ایک شخص نے کہا: تب تو ہم خوب  ( بہت )  دعائیں مانگا کریں گے، آپ نے فرمایا: ”اللہ اس سے بھی زیادہ دینے والا ہے“ 

-----

Jam e Tirmazi#3573-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...