❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
❗Jawab ek se ziyada hain
Sawal: Allah Subhanahu se dua mangte waqt kaun se kalimat kehne per Allah Subhanahu farmate hai ke haan main teri hajjat qubool ki
A: 10 baar SubhanAllah
B: 10 baar La illaha illallaha
C: 10 baar Astagfirullah
D: 10 baar Alhumdullilah
E: 10 baar Allah hu Akbar
F: 10 baar SubhanAllahi wabiHumdehi
G: 10 baar la hawla wala quwwata illaha billah
H: 10 baar Alhumdullilahi Rabbil Aalameen
I: Sahi Jawab ka Intezaar
*******
Sahi Jawab - ADE✅
Aise Azkar jinke padhne se Allah Subhanahu bande ki hajjat (dua) qubool farmata hain
Reference📚:
-----
Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai, unhon ne farmaya Hazrat Umm Saleem RadiAllahu anhu Nabi Sallallahu Alaihi ke paas ayen aur kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Mujhe kuch aisay kalImaat sikha dijiye jin ke saath mein Namaz mein dua kiya karoon Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya das (10) dafaa SubhanAllah padha kar aur das (10) dafaa Alhumdullilah padha kar aur das (10) dafaa Allahu Akbar padha kar phir Allah Subahnahu se apni haajat talabb kar. Allah Subhanahu taala farmaiye ga haan! haan! (Mein ne teri haajat qubool ki
-----
حضرت انس بن مالک رضی اللہ عنہ سے روایت ہے ، انھوں نے فرمایا : حضرت ام سلیم رضی اللہ عنہا نبی صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آئیں اور کہا : اے اللہ کے رسول ! مجھے کچھ ایسے کلمات سکھا دیجیے جن کے ساتھ میں نماز میں دعا کیا کروں ۔ آپ نے فرمایا :’’ دس دفعہ سبحان اللہ پڑھا کر اور دس دفعہ الحمدللہ پڑھا کر اور دس دفعہ اللہ اکبر پڑھا کر ۔ پھر اللہ سے اپنی حاجت طلب کر ۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا : ہاں ! ہاں ! ( میں نے تیری حاجت قبول کی ) ۔‘‘
----
Sunnan e Nisai#1300-Sahih
No comments:
Post a Comment