❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se ziyada hain❗
Insan ki takhleeq teen sav saath (360) jodon per ki gayi hain
Sawal: inmein se wo kaunse amal hain jiske karne wala apne jodon ki ginti pura karke apne aap ko Aag se azaad karwa leta hain
A: Alhumdullilah keh kar
B: SubhanAllah keh kar
C: La illaha illaha keh kar
D: Alhumdullilahi Rabbil Aalameen keh kar
E: Astagfirullah keh kar
F: Neki ka hukum karna aur burai se rokna
G: Raste se takleef de cheez ko hatna
H: Allahu Akbar keh kar
I: kisi ko dehk kar Muskuraya
J: Sahi Jawab ka Intezaar
**********
Sahi Jawab - ABCEFGH✅
Insan ki takhleeq teen sav saath (360) jodon per ki gayi hain aur jo yh amal karta hain wo khud ko Aag se azaad karwa leta hain
Reference📚:
-----
Aisha Radirazi Allah anha se riwayat hai ke har Insaan ki teen sav saath (360) jodon par takhleeq ki gayi hain jis shakhs ne Allah Akbar kaha, Alhumdulilah kaha, La illaha illallaha kaha, SubhanAllah kaha, Astaghfirullah kaha, raste se pathar hataya, ya kaanta ya haddi (hata di) neki ka hukum diya, buraie se mana kiya, is tarhan aap ne teen sav saath (360) jodon ki ginti ki toh shaam is haal mein karega ke is ne apne aap ko Aag se azad karwa liya hoga.
---------
عائشہ رضی اللہ عنہا سےمرفوعا مروی ہے کہ: ہر انسان کی تین سو ساٹھ جوڑوں پر تخلیق کی گئی ہے۔ جس شخص نے اللہ اکبر کہا، الحمدللہ کہا، لا الہ الااللہ کہا، سبحان اللہ کہا، استغفراللہ کہا، راستے سے پتھر ہٹایا، یا کانٹا یا ہڈی (ہٹا دی) نیکی کا حکم دیا، برائی سے منع کیا، اس طرح آپ نے تین سو ساٹھ جوڑوں کی گنتی کی تو شام اس حال میں کرے گا کہ اس نے اپنے آپ کو آگ سے آزاد کروالیاہوگا
---------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1824-Sahih
No comments:
Post a Comment