❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: wo kaunsa amal hai jiske wajah se Qayamat ke din uss ki khataye kum kar di jayegi
A: Kanta chubne per sawab ki niyat se sabr karna
B: Haq per hone ke bawajud sawab ki niyat se sabr karna
C: Aulad ke faut hone per sawab ki niyat se sabr karna
D: kisi cheez ka ghoom hojane per sawab ki niyat se sabr karna
E: Ankho ki binayee ka chale jana aur sawab ki niyat se uss per sabr karna
F: Gam mein sawab ki niyat se sabr karna
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
*********
Sahi Jawab - A✅
Momeen ko duniya mein kanta bhi chubta hai aur wo iss per sabr karta hai toh Qayamat ke din uski khataye kum kar di jayegi
Reference📚:
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jiss Momeen ko duniya mein koi kanta chubta hai aur wo sawab ki niyyat se sabr karta hai toh iss wajah se Qayamat ke din iss ki khataye kumbki jayengi.
----
سیدنا ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جس مؤمن کو دنیا میں کوئی کانٹا چبھتا ہے اور وہ ثواب کی نیت سے صبر کرتا ہے تو اس وجہ سے قیامت کے دن اس کی خطائیں کم کی جائیں گی۔
----
Musnad Ahmed#9359-Sahih
No comments:
Post a Comment