❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Yh misal kis ke liye bayan kiya hai goya jis ne gale ko daba dene wali tang zarah pehan rakhi ho
A: Quran ki ayaaton ka inkar karne wale
B: jo Allah Subhanahu ke siwa aur kaar saaz muqarrar kar rakhe hai
C: jo namaz nahi padhte
D: Ilm chupane wale
E: jo Allah Subhanahu ka zikr nahi karte
F: jo burayi karne ke baad naikiya karta hai
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye
***
Sahi Jawab - F✅
Burayi karne ke baat Naikiya karne wali ki misal.
Reference📚:
-----
Syedna Aqib bin Aamir RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo aadmi buraiyan karne ke baad naikiyaa karta hai, iski misaal is aadmi ki si hai, jis ne gale ko daba daine wali tang zarah pehan rakhi ho, phir jab woh neki karta hai to is ka ek kada khul jata hai, phir jab woh koi aur neki karta hai to dosra kada khul jata hai, yeh silsila jari rehta hai, yahan taq ke woh zarah zameen par gir jati hai .
-----
۔ سیدنا عقبہ بن عامر رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جو آدمی برائیاں کرنے کے بعد نیکیاں کرتا ہے، اس کی مثال اس آدمی کی سی ہے، جس نے گلے کو دبا دینے والی تنگ زرہ پہن رکھی ہو، پھر جب وہ نیکی کرتا ہے تو اس کا ایک کڑا کھل جاتا ہے، پھر جب وہ کوئی اور نیکی کرتا ہے تو دوسرا کڑا کھل جاتا ہے، یہ سلسلہ جاری رہتا ہے، یہاں تک کہ وہ زرہ زمین پر گر جاتی ہے۔
-----
Sahih Hadees
Musnad Ahmed#8950
No comments:
Post a Comment