Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 27 September 2020

Ek baar kuch sahabiyon ne Umm Al-Momineen Ayesha Radi Allahu Anhu se poocha ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Raat ko bedaar hote toh kaunse Zikr se shuruwat karte aur fir Tahhajud ki Namaz aada karte

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zayda hain❗


Sawal: Ek baar kuch sahabiyon ne Umm Al-Momineen Ayesha Radi Allahu Anhu se poocha ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Raat ko bedaar hote toh kaunse Zikr se shuruwat karte aur fir Tahhajud ki Namaz aada karte


A: (10) das baar « Allah Akbar»

B: (10) das baar « Allhumdulilah»

C: (10) das baar «La hawla wala quwwata illaha billah»

D: (10) das baar « SubhanAllahi wabiHumdehi»

E: (10) das baar  «Allahummagfirli, Wa Arhamni , Wa Aafini, Wa Ahdini, Wa Arzuqni»

F: (10) das baar « SubhanAl-Malikil-Quddus»

G: (10) das baar « Alhumdullilahi Rabbil Aalameen»

H: (10) das baar « Astagfirullah»

I: (10) das baar « La illaha illallaha»

J: (10) das baar « Allahumma inni auzubika min diqil duniya wa diqil yawmal-qiyamah »

K: «Allahummaghfirli, wahdini, warzuqni wa 'afini. A'udhu billahi min diqil-maqami yawmal-qiyamah»


L: Sahi Jawab ka Intezaar

*********

Sahi Jawab - ABDFHIJK✅


Rasool-Allah Sallallahu Aalihi waSallam (Tahhajud) Raat ko bedaar hone ke baad yh Zikr kiya karte thy aur fir Tahhajud ki Namaz shuru farmate


Reference📚:

-----

Hazrat Shariq RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Mein ne Aisha RadiAllahu Anhu ke paas haazir ho kar un se daryaft kiya, jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam raat ko bedaar hote to aap kis (zikr) se aaghaz farmatay thy? unhon ne farmaya tum ne aisi cheez ke barre mein mujhse sawal kiya hai jis ke mutaliq tum se pehlay kisi ne mujh se daryaft nahi kiya, jab aap raat ko bedaar hotay to Aap Sallallahu Alaihi wasallam 


(10) das baar « Allah Akbar», 

(10) das baar « Allhumdulilah», 

(10) das baar « SubhanAllahi wabiHumdehi», 

(10) das baar « SubhanAl-Malikil-Quddus»,

(10) das baar « Astagfirullah», 

(10) das baar « La illaha illallaha», 

(10) das baar « Allahumma inni auzubika min diqil duniya wa diqil yawmal-qiyamah », Eh Allah mein duniya mein roz qayamat ki sakhtiyon aur takleefo se teri panah chahta hu phir aap namaz (Tahhajjud) shuru farmate.

------

حضرت شریق الہوزنی ؒ بیان کرتے ہیں ، میں نے عائشہ   ؓ  کے پاس حاضر ہو کر ان سے دریافت کیا ، جب رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم رات کو بیدار ہوتے تو آپ کس (ذکر) سے آغاز فرماتے تھے ؟ انہوں نے فرمایا : تم نے ایسی چیز کے بارے میں مجھ سے سوال کیا ہے جس کے متعلق تم سے پہلے کسی نے مجھ سے دریافت نہیں کیا ، جب آپ رات کو بیدار ہوتے تو آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم دس مرتبہ ((اللہ اکبر)) ، دس مرتبہ ’’ الحمدللہ ‘‘، دس مرتبہ ’’ سبحان اللہ وبحمدہ ‘‘، دس مرتبہ ’’ سبحان الملک القدوس ‘‘ دس مرتبہ ’’ استغفر اللہ ‘‘ اور دس مرتبہ ’’ لا الہ الا اللہ ‘‘ پڑھتے ، پھر دس مرتبہ دعا فرماتے :’’ اے اللہ میں دنیا میں روز قیامت کی سختیوں اور تکلیفوں سے تیری پناہ چاہتا ہوں ۔‘‘ پھر آپ نماز (تہجد) شروع فرماتے


Mishkat ul Masabeeh#1216-Sahih

------

Asim Bin Hamid kehte hain ke mein ne Umm Al-Momineen Ayesha Radi Allahu Anhu se poocha : Rasool Allah (ﷺ) raat ke qiyam ki shuruvaat kis se karte thy? to woh kehnay lagen, tune mujh se ek aisi cheez poochi hai jo tum se pehlay kisi ne nahi poochi, Rasool-Allah (ﷺ) 

(10) das baar « Allah Akbar», 

(10) das baar « Alhumdulillah», 

(10) das baar « Subhan Allah» aur 

(10) das baar «La ilaha illallah»  aur 

(10) das baar Astaghfirullah» Kehte thy,  

«Allahummaghfirli, wahdini, warzuqni wa 'afini. A'udhu billahi min diqil-maqami yawmal-qiyamah»

Eh ALLAH! mujhe bakhash dy, mujhe raah dikha, mujhe rizaq ataa farma, aur meri hifazat farma, mein Allah ki panah chahta hu qayamat ke roz jagah ki tangi se kehte thy .

-------

حضرت عاصم بن حمید بیان کرتے ہیں کہ میں نے حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا سے پوچھا : نبی صلی اللہ علیہ وسلم کن الفاظ سے قیام اللیل کا افتتاح کیا کرتے تھے؟ انھوں نے فرمایا : تم نے مجھ سے وہ چیز پوچھی ہے جو تم سے پہلے کسی نے نہیں پوچھی ۔ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم دس دفعہ اللہ اکبر ، دس دفعہ الحمدللہ ، دس دفعہ سبحان اللہ ، دس دفعہ ( لا الہ الا اللہ ) اور دس دفعہ استغفراللہ کہتے تھے ، پھر فرماتے :’’ اے اللہ ! مجھے معاف فرما ، مجھے ہدایت دے ، مجھے رزق عطا فرما اور مجھے عافیت و صحت دے ۔ اور میں قیامت کے دن اللہ تعالیٰ کے سامنے کھڑا ہونے کی تنگی سے اللہ تعالیٰ کی پناہ چاہتا ہوں

-------

Sunan an-Nasa'i Hadees # 1618-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...