❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Kaunsa amal karne wale ke liye farmaya gaya hain ke wo bahut badi maal e ghanemat samait kar aaye hain
A: Mareez ki adayat karne wale
B: Ilm ki dawat dene wale
C: Masjid mein chal kar jane wale
D: ek Namaz ke baad dusri namaz ka intezaar karne wale
E: Mayyat ko ghusul dene wale
F: Hajj karne wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
********
Sahi Jawab - G✅
Masjid mein Fajar ki namaz padhna aur fir chast ki namaz adda karne wala shakhs aisa hain jisne bahut badi maa e ghanemat samait li ho
Reference📚:
-----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek Lashker bheja, jinhon ne bohat badi tadaad mein maal ghanimat haasil kiya aur jaldi wapas aagaye, ek aadmi ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam hum ne aise log nahi dehke jo is Lashker se ziyada ghanimat haasil karne wale aur jaldi wapas anne wale ho. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya mein tumhe is Lashker se bhi ziyada jaldi aur badi ghanimat haasil karne wale ke bare mein na batao? wo shakhs jis ne apne ghar mein wazu ki aur achchi tarhan wazu kiya, phir Masjid ki taraf gaya aur Masjid mein subah ki namaz padhi, phir is ke baad chaasht ki Namaz padhi, to wo bohat jald aur bohat badi ghanimat samaitt kar palta.
----
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ كہتے ہیں كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ایك لشكر بھیجا، جنہوں نے بہت بڑی تعداد میں مال غنیمت حاصل كیا اور جلدی واپس آگئے ، ایك آدمی نے كہا: اے اللہ كے رسول صلی اللہ علیہ وسلم ہم نے ایسے لوگ نہیں دیكھے جو اس لشكر سے زیادہ غنیمت حاصل کر نےوالے اور جلدی واپس آنے والے ہوں ۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں تمہیں اس لشكر سے بھی زیادہ جلدی اور بڑی غنیمت حاصل كرنے والےكے بارے میں نہ بتاؤں؟ وہ شخص جس نے اپنے گھر میں وضو ءكیا اور اچھی طرح وضو كیا، پھر مسجد كی طرف گیا اور مسجدمیں صبح كی نماز پڑھی، پھر اس كے بعد چاشت كی نماز پڑھی ، تو وہ بہت جلد اور بہت بڑی غنیمت سمیٹ کر پلٹا
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2384-Sahih
No comments:
Post a Comment