Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 24 November 2020

Insan ki takhleeq (360) jodon per ki gayi hain aur jo ye amal karta hain wo khud ko Aag se azaad karwa leta hain..


Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Insan ki takhleeq (360) jodon per ki gayi hain aur jo ye amal karta hain wo khud ko Aag se azaad karwa leta hain..
-----
Aisha Radirazi Allah anha se riwayat hai ke har Insaan ki (360) jodon par takhleeq ki gayi hain jis shakhs ne Allahu Akbar kaha, Alhumdulilah kaha, La illaha illallaha kaha, SubhanAllah kaha, Astaghfirullah kaha, raste se pathar hataya, ya kaanta ya haddi (hata di) neki ka hukum diya, buraie se mana kiya, is tarhan aap ne (360) jodon ki ginti ki to shaam is haal mein karega ke is ne apne aap ko Aag se azad karwa liya hoga.
---------
عائشہ رضی اللہ عنہا سےمرفوعا مروی ہے کہ: ہر انسان کی تین سو ساٹھ جوڑوں پر تخلیق کی گئی ہے۔ جس شخص نے اللہ اکبر کہا، الحمدللہ کہا، لا الہ الااللہ کہا، سبحان اللہ کہا، استغفراللہ کہا، راستے سے پتھر ہٹایا، یا کانٹا یا ہڈی (ہٹا دی) نیکی کا حکم دیا، برائی سے منع کیا، اس طرح آپ نے تین سو ساٹھ جوڑوں کی گنتی کی تو شام اس حال میں کرے گا کہ اس نے اپنے آپ کو آگ سے آزاد کروالیاہوگا
---------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1824-Sahih


 

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...