Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 24 November 2020

100 martaba SubhanAllah, Ahumdullilah, La illaha illallaha aur Allahu Akbar kehne ka ajar aur sawab



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: 100 martaba SubhanAllah, Ahumdullilah, La illaha illallaha aur Allahu Akbar kehne ka ajar aur sawab
----
Umm Hani Bint Abi Taalib RadiAllahu Anhu se riwayat hai kehti hain ke Rasool-Allah Sallallahu Allaihi waSallam ‌Mere paas se guzre to mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mein bhudi aur kamzor ho chuki hu mujhe koi amal bataye jo mein baithe baithe kar saku Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya 100 martaba SubhanAllah kaho, ye tumahre liye Aulaad Ismael Alaihi Sallam se 100 gardan azad karne ke barabar hai aur 100 martaba Alhumdullilah kaho, ye tumahre liye 100 Adad zain aur lagaam pehne huwe (tayyar shuda) ghodon ke barabar hojayega tum Allah ke raste mein do aur 100 martaba Allahu Akbar kaho, ye tumahre liye Nakeel daali huwi Maqbool ootniyon ke barabar hoga 100 martaba Laa illaha illallaha kaho Ibn Khalf ne kaha mere khayaal mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ye Aasman o zameen ko bhar dega, is din kisi shakhs ka amal itna buland nahi hoga siwaye is shakhs ke jo is tarhan kahe
----
ام ہانی بنت ابی طالب  رضی اللہ عنہا سے مروی ہے کہتی ہیں کہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌میرے پاس سے گزرے تو میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! میں بوڑھی اور کمزور ہو چکی ہوں، مجھے کوئی عمل بتایئے جو میں بیٹھے بیٹھے کر سکوں۔ آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: سو مرتبہ سبحان اللہ کہو، یہ تمہارے لئے اولاد اسماعیل سے سو گرد نیں آزاد کرنے کے برابر ہے۔ اور سو مرتبہ الحمدللہ کہو، یہ تمہارے لئے سو عدد زین اور لگام پہنائے ہوئے( تیار شدہ)گھوڑوں کے برابر ہوگاجو تم اللہ کے راستے میں دو۔ اور سو مرتبہ اللہ اکبر کہو، یہ تمہارے لئے نکیل ڈالی ہوئی مقبول اونٹنیوں کے برابر ہوگا۔ سو مرتبہ لا الہ الا اللہ کہو۔ ابن خلف نے کہا: میرے خیال میں آپ صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: یہ آسمان و زمین کو بھر دے گا، اس دن کسی شخص کا عمل اتنا بلند نہیں ہو گا سوائے اس شخص کے جو اس طرح کہے
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2855-Sahih


 

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...