Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 14 June 2020

wo kya hai jis ke zariye se Allah Subhanahu bande ke liye kaffara aur pakeezgi ka zariya bana deta hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: wo kya hai jis ke zariye se Allah Subhanahu bande ke liye kaffara aur pakeezgi ka zariya bana deta hain

A: Uski dua jald Qubul karke
B: Usse napasand aazmaish main daal kar
C: Usse Deen ki samjh de kar
D: Usse beemari mein mubtila kar ke
E: Usse takleef mein mubtila kar deta hai
F: Uski Umar badha deta hai
G: Uske liye sabka Dil naram kar deta hai 
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezar

Note: Agar apka jawab H hai toh sahi Jawab likhiye

****************

Sahi Jawab - B✅

Allah Subahnahu taala kisi bande ko is ki na pasandeeda azmaish mein mubtala karta hai toh Allah Subhanahu is aazmaish ko is ke liye kaffara aur pakeezgi ka zariya bana deta hai

📚Reference:

Abu Huraira Radi Allahu Anhu kehte hain ke mein Umm Abdulah Bint Abi Zabab ke pass unki beemari mein ayadat karne aaya, unhon ne kaha : Abu Huraira ! Mein Umm Salma Radi Allah anha ke paas unki bemari mein ayadat karne gayi, unhon ne mere haath mein zakham ya phora dekha, kehne lagen mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna, farma rahe thy Allah Subahnahu taala kisi bande ko is ki na pasandeeda azmaish mein mubtala karta hai to Allah Subhanahu is aazmayesh ko is ke liye kaffara aur pakeezgi ka zariya bana deta hai jab tak woh apni is azmaish mein Allah Subahnahu ke ilawa kisi aur ke paas nahi jata ya usay teek karne mein Allah ke ilawa kisi aur ko nahi pukarta.
--------------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ كہتے ہیں كہ میں ام عبداللہ بنت ا بی ذباب كے پاس ان كی بیماری میں عیادت كرنے آیا، انہوں نے كہا: ابو ہریرہ! میں ام سلمہ رضی اللہ عنہا كے پاس ان كی بیماری میں عیادت كرنے گئی، انہوں نے میرے ہاتھ میں زخم یا پھوڑا دیکھا، كہنے لگیں: میں نے رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا، فرما رہے تھے: اللہ تعالیٰ كسی بندے كو اس كی نا پسندیدہ آزمائش میں مبتلا كرتا ہے تو اللہ تعالیٰ اس آزمائش كو اس كے لئے كفارہ اور پاكیزگی كا ذریعہ بنا دیتا ہے۔ جب تك وہ اپنی اس آزمائش میں اللہ كے علاوہ كسی كے پاس نہیں جاتا یا اسے ٹھیك كرنے میں اللہ كے علاوہ كسی اور كو نہیں پكارتا۔
-------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3301

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...