Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 14 June 2020

Rasool-Allah Sallallahu Allahi wasallam ne duniya ke bare mein kya farmaya ke joh kuch is mein baqi hai woh kya hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai!

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Allahi wasallam ne duniya ke bare mein kya farmaya ke joh kuch is mein baqi hai woh kya hai? 

A: Izzat
B: Museebat
C: Ehsaan 
D: Dhoka
E: Dhikhawa 
F: Azmaish 
G: Daulat 
H: Sabr

I: Sahi Jawab ka intezaar?

***********

Sahi Jawab BF✅

Duniya mein srif Museebat aur Azmaish baqi hain

Reference📚:
-------
Muawiya Bin Abi Sufyan RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya duniya mein jo kuch baqi hai woh Museebat aur Azmaish hai aur tum mein se kisi shakhs ke amal ki misaal is bartan ki tarhan hai ki jab is ke uper wala hissa paak saaf ho to is ka nichala hissa bhi paak saaf hota hai aur jab is ka balai hissa gandah ho jaye to is ka nichala hissa bhi gandah ho jata hai.
---------
معاویہ بن ابی سفیان رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:دنیا میں جو كچھ باقی ہے وہ مصیبت اور آزمائش ہے۔ اور تم میں سے كسی شخص كے عمل كی مثال اس برتن كی طرح ہے كہ جب اس كے اوپر والا حصہ پاك صاف ہو تو اس كا نچلا حصہ بھی پاك صاف ہوتا ہے اور جب اس كا بالائی حصہ گندہ ہو جائے تو اس كا نچلا حصہ بھی گندہ ہو جاتا ہے۔
------------------------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1229

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...