❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal : Al-Quran Qayamat ke din ye alfaz kaun kis se kahega?
Hamara intezaar karo hum bhi tumhare Noor se Roshni le le
A. Munafiq log momeeno se
B. Mushrik log momeeno se
C. kafir Momeeno se
D. Burey dost unke achche dosto se
E. Gumrah ummat apne nabiyo se
F. Inmein se koi nahi
G. Sahi jawab ka intezar hai
*********
❗Sahi jawab A❗
-------
Bismillahirrahmanirrahim
يَوْمَ يَقُولُ الْمُنَافِقُونَ وَالْمُنَافِقَاتُ لِلَّذِينَ آمَنُوا انظُرُونَا نَقْتَبِسْ مِن نُّورِكُمْ قِيلَ ارْجِعُوا وَرَاءَكُمْ فَالْتَمِسُوا نُورًا فَضُرِبَ بَيْنَهُم بِسُورٍ لَّهُ بَابٌ بَاطِنُهُ فِيهِ الرَّحْمَةُ وَظَاهِرُهُ مِن قِبَلِهِ الْعَذَابُ
--------
Al Quran : Jis din munafiq mard aur munafiq aurtein unse kahenge jo imaan laye hain ki Hamara intezar karo hum bhi tumhare noor se roshni le le , kaha jayega apne peeche laut jao aur phir waha roshni talash karo , phir unke darmiyan ek deewar khadi kar di jayegi jismein ek darwazz hoga uske andar ki taraf rahmat hogi aur bahar ki taraf azab hoga
Surah Al-Hadid,(57), 13
Tafsir: Ibn Abbas Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Qayamat ke din (pul sirat ke kareeb) kamil andhera cha jayega aur koi insan apna haath bhi nahi dekh sakega us waqt Allah subhanahu ek noor zahir karenge musalman unki taraf jane lagege to munafiq bhi peeche peeche chalne lagenge jab momeen zyada aage nikal jayenge to ye munafiq unko rokne ke liye aawaz lagayenge aur yaad dilayenge ki duniya mein hum sab saath they to momeen jawab denge ki wapas andhero mein laut jao aur wahi noor talash karo.
Tafsir ibn kathir,Surah Al-Hadid (57), 13
No comments:
Post a Comment