Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 14 June 2020

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam jab ek ghazwe mein jane lage to ek sahabiya ne kaha ke mujhe bhi jihad ki ijazat dijiye Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne kaha ke tum apne ghar mein baithe raho Allah Subhanahu tumhe shahadat nasib karega.

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam jab ek ghazwe mein jane lage to ek sahabiya ne kaha ke mujhe bhi jihad ki ijazat dijiye Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne kaha ke tum apne ghar mein baithe raho Allah Subhanahu tumhe shahadat nasib karega.

Sawal 1: Wo ghazwa kaunsa thaa jis mein un sahabiya ne Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se aane ki ijazat mangi?

A: Ghazwa e Qandakh
B: Ghazwa e Khaiybar
C: Ghazwa e Badar
D: Ghazwa e Fateh Makkah
E: Ghazwa e Hunain
F:  In mai se koi nahi

Sawal 2: Wo kaunse khush nasib sahabiya hai jinko Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne shaheeda kaha tha?

A. Umme Waraqah Radi Allahu Anhuma
B. Umme Ayeman Radi Allahu Anhuma
C. Halima Sadiya Radi Allahu Anhuma
D. Summaiya Radi Allahu Anhuma
E. Umme Hani Radi Allahu Anhuma
F. In mai se koi nahi

G. Sahi jawab ka intezar hai
-----------

Sahi Jawab - CA✅

Reference📚:
---------------
Nabi Akram Sallallahu Alahih Wasallam jab Ghazwah Badar mein janay lagey to mein neh (Umm Waraqah RadiAllahu Anhuma) Aap se kaha Allah ke Rasool Sallallahu Alahih Wasallam! apne sath mujhe bhi jihaad mein chalne ki ijazat dijiye, mein Aap ke bimaroon ki khidmat karoon gi, shayad Allah taala mujhe bhi shahadat naseeb farmaiye, Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya tum apne ghar mein baithi raho, Allah tumhe shahadat naseeb karega. Ravi kehte hain : chunancha inhen Shaheeda kaha jata tha, woh kehte hain umm Waraqah Radi Allahu Anhuma neh quran parh rakha tha, Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se apne ghar mein mauzan muqarrar karne ki ijazat chahi, to Aap neh inhen is ki ijazat di, apne ek ghulam aur ek londi ko apne mar janay ke baad azad kar dainay ki wasiyat kar di thi, chunancha woh dono (yani ghulam aur londi ) raat ko Umm Waraqah RadiAllahu Anhuma ke paas gaye aur unhi ki ek chadar se un ka gala ghoont diya yahan taq ke woh marr gayeen aur woh dono bhaag niklay, subah hui to Umar razi Allah Anhu logon mein kharray ho kar elaan kiya ke un dono ke mutaliq jis ko bhi kuch maloom ho, ya jis neh bhi un dono ko dekha ho woh inhen pakar kar laaye, (chunancha woh pakar kar laaye gaye ) to Aap neh un dono ke mutaliq hukum diya to inhen sulli de di gayi, yahi dono they jinhein madinah Munawwara mein sab se pehlay sulli di gayi.
-------------
Narrated Umm Waraqah daughter of Nawfal:
When the Prophet (ﷺ) proceeded for the Battle of Badr, I said to him: Messenger of Allah allow me to accompany you in the battle. I shall act as a nurse for patients. It is possible that Allah might bestow martyrdom upon me. He said: Stay at your home. Allah, the Almighty , will bestow martyrdom upon you. The narrator said: Hence she was called martyr. She read the Qur'an. She sought permission from the Prophet (ﷺ) to have a mu'adhdhin in her house. He, therefore, permitted her (to do so).
She announced that her slave and slave-girl would be free after her death. One night they went to her and strangled her with a sheet of cloth until she died, and they ran away.
Next day Umar announced among the people, "Anyone who has knowledge about them, or has seen them, should bring them (to him)."Umar (after their arrest) ordered (to crucify them) and they were crucified. This was the first crucifixion at Medina.
--------------
Grade : Hasan (Al-Albani)   حكم     :
Reference : Sunan Abi Dawud 591
In-book reference : Book 2, Hadith 201
English translation : Book 2, Hadith 591

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...