Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 14 June 2020

Ek baar ek shaks ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se farmaya ke wo unhe khassi hone ki ijazat dede

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai

Ek baar ek shaks ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se farmaya ke wo unhe khassi hone ki ijazat dede

Sawal :  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne uss shaks se farmaya ke meri ummat ke liye khassi ____ mein hai 

A: Allah Subhanahu ke zikr mein
B: Sadqa khairat karne mein
C: Paanch waqt ki namaz mein  
D: Jihad karne mein
E: Tableeg karne mein
F: Roza rakhne mein
G: Duniya ki qwahishat chodne mein
H: Tahhajud ki namaz mein

I: Sahi Jawab ka intezaar

***********

Sahi Jawab -FH✅

Iss ummat ki khassi Roze aur Qiyam ul Lail (Tahhajjud) hain

Reference📚:
-------
Abdullah bin umro bin Aas RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke ek  aadmi Nabi Sallallahu Allahi wasallam ke paas aaya aur kaha ke kyaا Aap mujhe khassi honay ki  ijazat dete hain?  Aap sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Meri Ummat ka khassi pan rozay aur qiyam ul Lail hain
-------
) عبداللہ بن عمرو بن عاص رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہ ایك آدمی نبی صلی اللہ علیہ وسلم كے پاس آیا اور كہا كہ: كیا آپ مجھے خصی ہونے كی اجازت دیتے ہیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میری امت كا خصی پن روزے اور قیام اللیل ہے۔
-----------
Sahih hadees
Al-Silsila-tus-sahiha Hadees# 2980

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...