Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 14 June 2020

Ek baar ek Sahabi beemar hogaye thy tabhi unki ayadat ke liye kuch saathi aye toh wo sahabi rone lage?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar ek Sahabi beemar hogaye thy tabhi unki ayadat ke liye kuch saathi aye toh wo sahabi rone lage?

Sawal: wo Sahabi kuy rone lage?

A: Maut ke darr se
B: Maut ki sakti ki wajah se
C: Qabr ke azaab ke wajah se
D: Fariston ke sawal jawab ki wajah se
E: Allah ke azab se darr ke wajah se
F: Duniya ki Mohabbat ki wajah se
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

****************

Sahi Jawab - G✅

(unka thikhana Jannat yh Jahnnam hoga yahi soch kar roo rahe thy)

Reference📚:
------
Abu Nazra se riwayat hain, kehte hain ke Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ek sahabi beemar hogaye, is ke saathi is ke pass is ki ayadat karne ke liye aaye, wo rone lage kisi ne is se kaha : Eh Allah ke bande! kyun roo rahay ho? kya tumhe Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ne yeh baat nahi kahi ke apni monchen kaatetay raho hatta ke mujh se mulaqaat karlo? is ne kaha kyun nahi, lekin mein ne Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam se suna, Aap farma rahe thy Allah Subhanahu ta’ala ne apne dayen haath mein ek muthi bhari aur farmaya yeh is (Jannat) ke liye hai aur mujhe koi parwah nahi, aur doosri muthi bhari, yani dosray haath mein aur farmaya yeh is (Jahannum) ke liye hai aur mujhe koi parwah nahi. mujhe nahi maloom ke mein kaunsi muthi mein hon.
-------

ابو نضرہ سے مروی ہے، کہتے ہیں کہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌کا ایک صحابی بیمار ہوگیا ،اس کے ساتھی اس کے پاس اس کی عیادت کرنے کے لئے آئے ،وہ رونے لگا۔کسی نے اس سے کہا: اے اللہ کے بندے! کیوں رو رہے ہو؟ کیا تمہیں رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے یہ بات نہیں کہی کہ اپنی مونچھیں کاٹتے رہو حتی کہ مجھ سےملاقات کرلو؟ اس نے کہا: کیوں نہیں، لیکن میں نے رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌سے سنا، آپ فرما رہے تھے: اللہ تعالیٰ نے اپنے دائیں ہاتھ میں ایک مٹھی بھری اور فرمایا: یہ اس (جنت)کے لئے ہے اور مجھے کوئی پرواہ نہیں ، اور دوسری مٹھی بھری ، یعنی دوسرے ہاتھ میں۔ اور فرمایا: یہ اس(جہنم) کے لئے ہے اور مجھے کوئی پرواہ نہیں۔ مجھے نہیں معلوم کہ میں کونسی مٹھی میں ہوں
--------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3102

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...