Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 1 March 2020

Kaunse Nabi Alahi Salam ne apni qoum se farmaya “kash mere pass quvat hoti ya mein kisi mazboot sutoon ki panah leta”

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse Nabi Alahi Salam ne apni qoum se farmaya “kash mere pass quvat hoti ya mein kisi mazboot sutoon ki panah leta”

A: Rasool-Allah Sallalahu Alahi Wasallam
B: Nuh Alahi Salam
C: Isa Alahi Salam
D: Loot Alahi Salam
E: Yusuf Alahi Salam
F: Musa Alahi Salam
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar jawab G hai toh sahi jawab likhiye❗
***********

Sahi Jawab - D✅

Reference📚:
----------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallahu Alahi wasallam ne farmaya kareem ( Muaziz ) bin Kareem bin Kareem bin Kareem, Yousuf bin Yaqoob bin Ishaq bin Ibrahim Khalil Al Rehman Tabarak wa Tala hain jitna arsa woh jail mein rahay, agar mein rehta aur mere paas koi aata to mein is ki baat qubool karleta. jab un ke paas qasid aaya to unhon nay kaha : un aurton ka kya haal hai jinhon nay apne haath kaat liye thay? Aur Allah ki rehmat ho Loot Alahi salam par ke unhon nay apni qoum se kaha tha. jab unhon nay apni qoum se kaha kash mere paas quvat hoti ya mein kisi mazboot sutoon ki panah leta. is ke baad Allah taala ne jo Nabi bhi bheja woh is qoum ke anbwah kaseer mein bheja
-----
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: کریم(معزز) بن کریم بن کریم بن کریم ،یوسف بن یعقوب بن اسحاق بن ابراہیم خلیل الرحمن تبارک وتعالیٰ ہیں۔جتنا عرصہ وہ جیل میں رہے، اگر میں رہتا اور میرے پاس کوئی آتا تو میں اس کی بات قبول کرلیتا۔جب ان کے پاس قاصد آیا تو انہوں نے کہا: ان عورتوں کا کیا حال ہے جنہوں نے اپنے ہاتھ کاٹ لئے تھے؟ اور اللہ کی رحمت ہو لوط  علیہ السلام پر کہ انہوں نے اپنی قوم سے کہا تھا۔ جب انہوں نے اپنی قوم سے کہا: کاش میرے پاس قوت ہوتی یا میں کسی مضبوط ستون کی پناہ لیتا۔ اس کے بعد اللہ تعالیٰ نے جو نبی بھی بھیجا وہ اس قوم کے انبوہ کثیر میں بھیجا
----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3126

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...