Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Sunday, 1 March 2020
Jo shaqs hasad mein mubtala hojaye toh usse kya nahi karna chahiye?
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Jo shaqs hasad mein mubtala hojaye toh usse kya nahi karna chahiye?
A: Dokha dena
B: Badla lena
C: Geebat karna
D: Mazak udana
E: Sirkashi karna
F: gaali dena
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye❗
************************
Sahi Jawab - E✅
Reference📚:
-----
Jabir RadiAllahu Anhu se riwayat hai unhon ne kaha ke Rasool-Allah Sallalahu Alahi WaSallam ne farmaya Jab tumhe koi gumaan hojaye to is par yaqeen nah karliya karo, (ya usay saabit karne ki koshish nah karo) Aur jab tum hasad mein mubtala ho jao to is par amal karte huwe sarkashi nah karo aur jab tumhe bad shagooni ho to apna kaam jari rakho aur Allah par he bharosa rakho, aur jab wazan karo to paldah ko mazeed jhuka do.
---------
جابررضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب تمہیں کوئی گمان ہو جائے تو اس پر یقین نہ کرلیا کرو،(یا اسے ثابت کرنے کی کوشش نہ کرو)اور جب تم حسد میں مبتلا ہوجاؤ تو اس پر عمل کرتے ہوئے سرکشی نہ کرو۔ اور جب تمہیں بد شگونی ہو تو اپنا کام جاری رکھو اور اللہ پر ہی بھروسہ رکھو ، اور جب وزن کرو تو پلڑے کو مزیدجھکا دو۔
----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 21
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Wo amal kaunsa hai jiske liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya ke woh sache dil se...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Jab Allah Subhanhu bande ke saat bhalayee ka irada karta hain to usay duniya mein he jaldi saza deta hain ...
-
Bismillahirrahmannirrahim نَسُوا اللّٰہَ فَنَسِیَہُمۡ ------- Yh Allah ko bhool gaye toh Allah ne bhi inhe bhula diya. -...
No comments:
Post a Comment